Aaj kal social media ek bhut hi accha tarika hai apne well wishers se connected rahne ka, chahe aap kahi par bhi ho, aap apne business, friends aur relative se asaani se connected rah sakte ho.
Social media ka naam sunte hi hume bhut si app yaad aa jaati hai hai jaise Facebook, Whatsapp, Youtube etc. In sabhi apps ka use hum apno se lagatar connect hone ke liye kar skate hai.
Lekin ek bhut hi zaroori baat ye bhi hai ki hum in apps se paise bhi kama sakte hai ya shyaad aap bhi in websites/apps se paise kama bhi rahe ho.
Jaise ki humne apne phele articles me aapko Social Networking Websites ( Facebook, whatsapp, tumblr etc) par account banana sikhaya hua hai.
Toh aaj hum aapko btayege ki aap kis parkar youtube par abhi apna ek channel badi asaani se bana sakte ho. Kyuki youtube banne se aap youtube par videos, tutorial, motivational speech daal kar bhi paise bhi kama sakte hai.
Youtube kya hai :
Youtube ek parkar ki social networking website hai , jaise Facebook, Instagram, Blogger etc. Lekin youtube par aap article ya post likh nhi sakte ho. Youtube par apna ek Channel banakar us channel ke jariye apni videos daal sakte ho. Ye videos kaisi bhi ho sakti hai, lekin ek baat ka dhyaan rakhe ki ye videos kisi bhi parkar ye youtube ki privacy ko effect na karti ho.
Tumblr par account kaise banaye ?
Youtube par videos daal kar aap ek acchi khaasi earning pr kar sakte ho, aur bhut se log isse acchi earning kar bhi rahe hai.
Youtube ki shuruwaat Chad Hurley, Steve Chen aur Javed Karim ne 2005 me ki thi. Youtube ye teeno young founder pehle PayPal ke liye kaam karte thy.
Youtube par sabse pehla videos iske co-founder Javed karim ne 23 April, 2005 me upload kiya the, jiska naam tha “Me At The Zoo”
Youtube par channel kaise banaye :
Youtube Channel banane ke liye sabse pehle aapko youtube.com par jaana hoga.
Website par jaane ke baad aapko right side par bane blue color ke Sign In box par click karna hoga.
Gmail par account kaise banate hai ?
Jaise hi aap sign in par click karoge toh aapke samne gmail ka ek form bana hua aa jayega, isme aapko apni gamil ke e-mail id ko fill karna hoga aur next step me apna password daalna hoga.
Jaise hi aap Youtube par sign in kar lete ho, toh aapke samne left hand side par My Channel ke naam se ek option bana hua aa jayga, aapko is option par click karna hoga.
Next step me aapko Create Channel par click karna hai.
Isme aap agar aapni profile pic ya cover image lagana chahte ho toh Add Channel Art par click karke apna cover page ya profile pic add kar sakte ho.
Next step me aapko Right side par profile icon par click karke, usme bane Gear Box par click karna hoga.
Click karne ke baad aapke samne kuch aisa form bana hua aa jayga, jisme aapko View Additional Features par click karna hai.
Abhi tak aapka youtube channel verify nhi hua hai , toh isko verify karne ke liye aapko Verify button par click karna hai.
Youtube par Offline videos kaise download kare ?
Jab aap verify button par click karte ho toh aapke samne ek aisa form open ho jaata hai, ab account verify karne ke liye aapke samne 2 option aate hai.
- Ya toh aap apne mobile no. par call ke jariye OTP (opne time password) le sakte ho.
- Ya phir aapke text message ke jariye OTP mil jayga.
Iske baad neeche bane box me aap apna Mobile Number fill kar sakte ho aur submit par click kar sakte ho.
Next step me aapke mobile phone par jo 6 digit ka OTP message aaya hai usko aap is field me fill karke submit kar sakte ho.
Submit karne ke baad aap Continue par click karke aage badh sakte ho.
10 Tarike Youtube par jada subscribes laane ke
Jaisa ki is Screen Shot me hum dekh sakte hai, ki aapka account ab verified ho gaya hai. Toh ab aap isko use kar sakte hai.
Thank you,
Anil says
hello sir
mujhe aapse template ke baare me question puchhna tha ki template ka jo footar hai isme gooyabi template created by seobloggertemplate likha hai jab me ise remove karta hu toh jab koi meri site open karta hai toh 2,3 second me seobloggertemplate ki site open ho jati hai me aisa kya karu ki gooyabi template created by seobloggertemplate remove ho jaye aur meri hi site open ho
Saeed Saiyad says
Hi bahut achhe se samjaya he.
Aap artical ke pic kaha se dowanload kar te ho.
Sunny Singh says
Ye pics aap Pinterest.com se download kar sakte hai.
Deepak kunar says
sunny sir apka article bahut accha hai
Thanks
sir kis prakar se vedio upload karke earning kar sakte hai
sir please email me
Sunny Singh says
Isme humne videos upload karne baare me bhi bataya hua hai, aur isse zaada jaankari aap humari youtube series ko padhkar parpt kar sakte hai.
Md alam says
Bahut acha laga sir bahut acha laga thank you sir
uddeshya sachan says
Sir main channel banana chahata hun kuch kharch to nahi hoga ….aur kisi type ki problem to nahi hogi please bata dijiye
Sunny Singh says
Nhi aap youtube par channel bana sakte hai, ye bilkul free hai. Bas aapko koi bhi video upload karne se pehle youtube ki privacy ko ek baar padna hoga.
Shashank says
Video Danloud karke uploud kar sakte hai
Sunny Singh says
Download karne ke baad upload kar sakte hai.