Agar aap free website banana cahte hai aur chahte hai ki Blogsopt, wordpress.com se alag kisi platform par free blog ya website banayi jaaye, toh is post me hum aapko batayege ki Blogspot aur wordpress ke alwa aap kin Blogging Platform apna blog/website bana sakte ho.
Tumblr aapke liye ek unique option ho sakta hai, Aap agar blogging me naye hai toh aapko Tumblr ke baare me jaada nhi pata hoga.
Toh aaj hum aapko batayege ki Tumblr kya hai aur Tumblr par account kaise banate hai ?
Tumblr kya hai ?
Tumblr ek Microblogging platform hai, is social networking website ko 2007 me David Karp ne banaye tha aur 2013 me Yahoo ne ise apna liye tha. Jaise ki blogspot Google ka ek product hai waise hi Tumblr, Yahoo ka ek product hai. Jiski service hume apni posts me multimedia ke bhut se features apply karne ki permission deti hai. Jo ki baaki Blogging Platform nhi deta hai.
Tumblr Par Account kaise Banaye :
Tumblr par account banane ke liye sabse pehle aapko Tumblr.com ki official website par visit karni hogi.
Official website par jaane ke baad aapke samne Tumblr ka kuch aisa page open ho jayga. Jis par aapko Log In par click karna hai.
Next page par aapko apni Email Id aur password daalna hoga. 3rd field me aap koi bhi naam choose kar sakte hai. Jaise ki humne RainyWorderlandWerewolf kiya hua hai. In sabko fill karne ke baad aap Sign up par click kar skate hai.
WordPress kyu hai Blogger se behtar ?
Next step me aapko apni Age fill karni padegi aur baad tumblr ki Terms of Service par right click karke Next par click kar sakte hai.
Agle page me aap dekhoge ki aapke samne What’s you into ? ka option bana hua aa jaata hai. Jisme aapko bhut se option diye hue hoge. Jiska use ye hai ki aap jo bhi category select karoge tumblr aapko uski type ki post dikhayega.
Jaise ki aap is image me dekh rahe hai ki humne isme 7 interest select kiye hai. Aapko isme kam se kam 5 interest select karne hote hai. Interest select karne ke baad aap Next par click kar sakte hai.
Jaise hi aap next par click karte hai aap dekhte hai ki aapka Tumblr Blog bankar tyaar hai. Lekin ye abhi tak activate nhi hua hai. Activate karne ke liye aap uper di gaye Green line par diye gaye notification par click kar sakte hai. Jisme aapko apna Email Address ek baar verify karana hoga.
Jaise hi aap Green line par click karte hai toh aapke samne tumblr ki ek notification aa jaati hai. Ab isme aapko This is me ! par click karke ye verify karna hoga ki jo Email Id aapne daali hai wo aapki hi hai ya nhi.
Next step me aap dekhege ki ab aapka tumblr blog ban kar tyaar ho gaya hai aur ab aap isme post kar sakte hai.
Tumblr aapko apni post/Article me lagane ke liye bhut se unique option bhi deta hai, jaisa ki humne uper di gaye image me bataye hua hai.
Ab aapka Tumblr Blog/Website poori tarh ban kar tyaar hai.
Umeed karte hai ki aapko humara ye article pasand aaya hoga. Agar aapke dost bhi kuch unique blogging platform par apna blog banana cahte hai, toh aap unse humara ye article share kar sakte hai.
Aapke koi bhi swaal ya suggestions ho toh aap humne neeche diye gaye comment box me pooch sakte hai.
Thank you.
Comments