Aaj ke apne is article me hum aapko batayege ki kaise aap apne hindi blog ko social media par famous kar sakte hai.
Ager aap blogging karne hai toh, apne ye aksar dekha hoga ki english blog hindi blog ki tulna me zaldi famous ho jaate hai, ya phir hindi blogging ko log itni importance nhi dete jintna ki wo english blog ko dete hai. Log ye sochte hai ki ager english me blogging ki jaaye toh ye zaada faaydemand sabhit hoga, besides iske ki aap hindi blogging kare.
Toh aaj hum apne hindi blogger ki kuch aisi hi ek main problem ka solution le kar aaye hai, ki kaise wo apne hindi blog ko social media ke platforms par famous kar sakte hai.
Toh chaliye shuru karte hai.
Hindi blog ya phir kisi bhi blog ko ager aap social media par famous ya popular karna chahte hai toh aapko blog posts ko social media ke different – 2 platform par share karna hoga, aur platform kya hai ? Hum aapko neeche diye gaye kuch steps ke jariye batayege.
Social Media ke Platforms :
Facebook :
Recent time me Facebook sabse bada social media platform hai, aaj toh har tisra aadmi facebook ka use kar raha hai, isliye ye sabse accha tarika hai apne hindi blog ko promote karne ke liye.
Aap apni posts ko apne fb profile par share kar sakte hai. Agar aap blog posts ko Facebook pe promote karte hai toh average 20 -30% traffic badh sakta hai, aur haa isse traffic ko aur badhana hai toh facebook ne kuch aur features bhi iske ander add kiye hue hai, jo ki khass business, website, blogging etc ke liye bhi hai.
Facebook par popular hone ke 7 behtarin tarike.
In features se aap bhi apne blog ke liye kuch naya kar sakte hai.
Facebook Page :
Aapne facebook wall par apne blog posts ko share kiya lekin tab bhi traffic koi khass increase nhi hua ? Ab aap apne blog ke liye blog name se facebook page banaye jaise ki humne banaya hua hai.
Aapke friend list me jitne bhi log add hai unko invite kare apne page ko like karne ke liye bol sakte hai.
Facebook page kaise banate hai ?
Isse page pe har ek post share karte jaye aur apne readers ko motivate karte jaye daily kuch naa kuch uss page pe likhke . Jisse ki logo ko ye lage ki page active hai, kyuki ager aap page banakar chod dege toh logo ko interest bhi aapke page aur blog se kam hota hua chala jaayga. Isliye social media par humesha aapko active rahna chahiye.
Facebook Group :
Aapne page bhi bana liya aur thodi traffic bhi aane lagi . Phir bhi aapko ye lagta hai ki ye traffic kam hai aur aapko zaada traffic chaiye toh aap facebook par apne blog ka Facebook Group bana sakte hai.
Aur usme bhi apne friend list ko add kare aur unko bhi kahe ki apne dosto ko jo interested hai unko add karne ko kahe . Waha bhi apne blog ke har nayi post ko promote kare, aur group members ko active rahne ke liye har dusre ya tisre week me Question & Answer event rakhe.
Maan lijiye aapka blog Competition se related Question, Answers ke baare me hai, toh uss segment me jo bhi group members ki confusion hai job ke baare me usse clear kar sakte hai.
Whatsapp :
Whatsapp aaj facebook ke baad sabse zaada use hone wali app hai. Aap iska bhi use apne blog ki traffic badane me use kar sakte ho.
Aap apne blog ki link aur posts ko whatsapp me apne dosto ke sath ya fir whatsapp me groups ya phir broadcasted channel bakar share kar sakte ho.
Youtube :
Ager aap apni website par online tutorial banankar dalna chahte ho toh aapke liye youtube ka option ek dum badiya rahega. Youtube duniya ki sabse badi video site hai, jaha par aapko kisi bhi subject se related video mil jayegi.
Youtube ke kafi alternatives hai jaise Dailymotion, Vimeo. Lekin Youtube google ki hi service hai aur baaki service ki tarha free hai.
Youtube kya hai aur Youtube par channel kaise banaye
Agar aapko apne blog ki traffic badhani hai toh Youtube Facebook ke baad sabse accha tarika hai blog ko promote karne ke liye.
Agar aap apne blog ke har post ka video banate ho aur youtube pe share karte ho toh yeh aapka sabse accha decision sabit ho sakta hai.
Isse kya hoga ki blog ka promotion bhi hoga, aur ye aapke blog ke traffic ko bhi badhega aur Youtube se aap paise bhi kama sakte ho Ads laga kar.
Iski detail jankari ke liye aap humari youtube series ko padh sakte hai.
Agar aapko Youtube pe upload karne ke liye video banana nahi aata toh koi baat nahi, us ke liye aapko graduate hone ya phir koi course karne ki koi jarurat nahi hai .
Aise bohot sare softwares hai jiski madad se aap acche videos bana sakte ho. Unme se main hai Camtasia , Screenflow for Mac , Youtube Video Editor , HitFilm Express aur Apowersoft ,etc . Isme se kafi free bhi hai . Toh in sab ka use aap video edit karne ke liye kar sakte hai.
Google plus :
Ager aap Google search engine ka use karte hai toh aapko Google ki baaki services ke baare me toh pata hi hoga, ager nhi pata hai toh yaha hum aapko kuch aisi hi ek service ke baare me batate hai jis service par aap apne hindi blog ko promote kar sakte hai.
Is service ka naam hai Google Plus.
Google ki hi seva hokar bhi ye service pehle itni popular nahi thi. Lekin dhire dhire Google plus ki popularity badh rhai hai, aur yeh Bloggers ke liye sabse acchi baat hai.
Normally sabhi bloggers Google plus ka use karte hai apne blog ki traffic badhane ke liye . Iska ek plus point yeh hai ki aap apni blog post automatic share kar sakte ho.
Aisa aap apne blog ki ek community bhi bana sakte hai. Ye tarika bhi aaj kal trend me hai.
Twitter :
Twitter bhi ek accha jariya ban gaya hai, apne blog ki traffic badhane ka.
Twitter par ID kaise banate hai ?
Aap twitter pe bhi facebook ki tarha personal twitter profile aur apne blog ki twitter profile banakar uspe blog posts promote kar sakte hai. Lekin aapko blog post ki detail likne ke liye sirf 140 words hi diye jaate hai. Toh twitter pe tweet link aur title ko short likhe.
Pinterest :
Pinterest ek photo sharing social website hai. Aap apne blog posts ke photos jo ki aapne khud banaye ho, toh unko aap link ke sath Pinterest par share kar sakte ho. Aap ko karna yeh hai ki aap apne blog ke photos yaha share kar sakte hai. Kyuki aane wala time me pinterest bhut famous hone wala hai.
Toh ye thy kuch platforms jinko aap apne hindi blog ko promote karne ke liye share kar sakte ho.
Ager aapke pass is baare me koi aur jaankari hai jo ki humne is article me nhi batayi hai toh aap humse zaroor share kare.
Aap hume facebook par bhi follow kar sakte hai.
Thank you,
Sandeep kumar says
Bahut achi post h apki mene bhi apne blog ko famus karna cahta hu ap mere blog ko dhekho kya kya kami h muje batao please m use dur karunga
Hussam Ansari says
Bilkul social media se hum traffic apni site par badha sakte hai kyu ki aajkal to sabhi iska use kar rahe hai aur specialy ye new blogger ke liye aur zyada faide mand hai.
Lucky says
sir blog ka comment box change kar ne ke liye kya kar na hoga sir template change kar ne par bhi comment box change nhi hua.
Sunny Singh says
Disqus commenting system kaise lagaye ?
kamlesh parihar says
Bhai acch jaankaari share ki aapne
mera ek sawal hai ki jab hum domaine lenge to kya hamari saari post ki link change ho jayegi kya
Sunny Singh says
Nhi.
tilak says
Agar aap ko jaankari ho toh please help
Rakesh kumar says
India mein yahi sab se badi problém hai yaha log sirf WhatsApp aur Facebook hi use karte hai, agar twitter account bnane ka naam bhi lo to wo bhi na bane. Lekin ek blogger ke liye ish thinking ko badlna lagbhag namumkin hai
yasir khan saqlaini says
nice post sab hi apne blog ko promote karne ke liye apke tips ko follow karte hain
Utpal Konwar says
Achhi post … Padhke aur janke moja aaya … bro mera ek question hai…. comment post ke jo niche notify me follow up box rohte hai woh koun sa plugin use karne por rohta hai..
Nisarg says
sir mera aapse ek quastion hai ki aap ki site par aate hai to jo email subcription ka popup aata hai usake liye aap konsa plugin ka use karte ho.
Sunny Singh says
Convert Plug
Kuldeep Singh says
Nice article, mujhe aapka ye article bahut pasand aaya. Please keep posting