Hum log Facebook ka istimaal apne Friends aur relatives se jude rehne ke liye karte hai. Facebook ki hi tarha Pinterest bhi ek website hai jaha par log status ki jagha apni favorite photos ko share karte hai. Agar aapko Art, Carft, Design, Fashion, Food, Interior designing jaisi creative fields me interest hai to aapko Pinterest jaroor join kar lena cahiye. Ek study ke mutabik pinterest ke 80% users womens hai creative kaamo me womens jaada ruchi dikhati hai.
Pinterest ka naam “Pin” aur “Interest” ko milakar bana hai, jiska matlab hai ki aap apni Interest ki images ko is website par board banakar Pin kar sakte hai. Maan ligiye ki aap kisi website par apne ghar ke naye Furniture ke liye ideas dhund rahe the, ab aap is website se apni pasand ki kisi bhi image ko Pinterest par Pin it button par click karke “Pin” kar sakte ho.
Jaise hum school ya office ke board par PIN dwara kisi bhi photo ko chipka sakte hai, theek usi tarha hum pinterest par ek virtual board banakar internet ki kisi bhi image ko pin kar sakte hai. Aur baaki social networks ki hi tarha yaha par aap Like, Comment, Re-Pin bhi kar sakte hai.
Pinterest ka board kuch aisa dikhta hai
Pinterest itna famous is liye ho gaya hai kyoki ispar laakho logo ne apne pinboard banakar tarha tarha ki images share kar rakhi hai. Aur ye Board itne bhadiya hote hai ki aapko idea lene ke liye kahi aur jaane ki jaroorat hi nahi hai. Aur to aur is website par lakho users hone ke kaaran aap Pinterest ka upyog apni website par traffic bhadane ke liye bhi kar sakte hai. Chote chote business Duniya bhar me apni pehchan bhadane ke liye Pinterest ka use kar rahe hai.
Pinterest par ID kaise banaye ?
Pinterest ko use karne ke liye ispar ID hona bohot jaroori hai, apni Email id dwara aap sirf 5 Min me apna Pinterest account bana sakte hai.
Step 1: Sabse pehle Pinterest.com ko apne browser me kholo. Sign up form me apni Email id aur Password bharkar Sign Up button par click kardo.
Step 2: Is page par apna Naam, Age aur Gender bharkar Come on in par click kardo.
Step 3: Ab Pinterest aapse kuch interest select karne ko kahega. Apne interests select karke Done par click kardo.
Step 4: Ab aage jitne bhi option aayege unme se Skip par click karte jao.
Step 5: Finally apne Email account me jaakar Pinterest dwara bheje gaye Email par Confirm Your Email button par click kardo.
Congratulations ! aapka Pinterest account ab ready hai.
Aage Padhe :
Pinterest Use Kaise Kare?
Hume pichle section me account banana seekha, chalo is section me apne pinterest account ko use karna seekhte hai.
Kisi bhi cheez ko Pin karne ke liye hamare paas ek Pin Board hona cahiye. To chaliye sabse pehle Pinboard banante hai.
- Pinboard banane ke liye sabse pehle upar right corner me apne naam par click karke apna Profile page khole
- Profile ek ander bane Create Board button par click kare
Ab apne board ke baare mai details bhare. Mai ek “New Delhi” ka board bana raha hun jisme mai New Delhi ki Photographs lagauga. Details bhare ke baad Create par click kare.
Chalo ab hamara board ready hai, ab is board me kuch Pin karte hai. New Delhi ki kuch Pins ko dhundne ke liye hum upar search me sabse pehle New Delhi likh kar search karege.
Ab humare saame kayi saari Images aa jayegi. In images par hum Like, Comment aur Pin kar sakte hai. Apne board me is image ko Pin karne ke liye Pin It button par click kare.
Ab Pinterest aapse jis board me Pin karna hai uska naam poochega. Jis bhi board me aapko ye Images pin karne hai, use aage bane Pin It button par click kardo.
Image aapke board me add ho jayegi
Ab yahi prakriya kisi bhi website par bane Pin It button par click karke bhi kar sakte hai.
To chaliye ab aapne Pin karna seekh liye, ab jaake kuch board banakar practice kare, mujhe asha hai ki Pinterest aapko bohot hi interesting lagega.
Aise hi aur articles ke liye aap hamara Private Facebook Group join kar sakte hai.
Aage Padhe :