Agar aap Facebook ka use kar rahe hai to aap kisi na kisi Facebook group me to jaroor hoge. Mai to apna jadatar time Facebook groups me hi bitata hu aur mujhe hafte me 2-3 koi naya group join karne ki request aa hi jati hai.
Par ye Facebook group hota kya hai, Facebook group aur page me kya farak hai aur ye Group banate kaise hai? Mujhe laga ki kyo na ek simple sa article likh diya jaye jisme in sab savalo ka mai aapko jawab de saku.
Facebook Group Kya hai?
Facebook page ek newspaper ki tarha hai, jo page ko like karta hai use jo bhi page par nayi jankari aati hai mil jati hai. Doosre hath par Facebook Group jaise ki naam se pata chalta hai ek jaisi soch rakhne wale logo ka samudye hai aur ye ek manch hai jisme logo ek doosre se hamesha sampark banaye rakh sakte hai, ek doosre ke sawalo ka javab de sakte hai.
Facebook page par jiska page hai wo hi apni updated daal sakta hai lekin group me jo koi bhi vyakti group ka member hai apni samasya pooch sakta hai ya apna sujhav/update daal sakta hai.
Group ek club ki tarha hai, yaha thodi privacy hai aur group ke admin ki parmition ke bina aap group ke memeber nahi ban sakte. Group ke andar ki activities bahar ke logo ko nahi pata rehti.
Group kisi bhi type ka ho sakta hai Doctors ke group se lekar Local Shopkeepers ka group kuch bhi bana sakte hai.
Facebook Group kaise banate hai?
1. Add Group par click kare
Jise Facebook id se aap group bana cahte hai use id se Facebook account me login kare.
Login karne ke baad upar right corner me down arrow buttom par click kare. Is menu me se create group select kare.
aapke same ek lightbox bana aa jayega.
2. Group Ka Naam Rakhe
Sabse Pehle Group kar naam Bhare, ye naam kuch bhi ho sakta hai, par is naam ko aasaan rakhe ki logo ko aasani se yaad rahe.
3. Group me ek member add kare
Group banane ke liye aapka ek koi dost group ka member hona cahiye ye Facebook ki shart (condition) hai. Kisi ek dost ka yaha naam daal de.
4. Privacy Setting Choose Kare
Ab aapka ye tey karna hi ki ye group kin logo ke liye hai.
- agar aap cahte hai ki koi bhi vayakti is Facebook group ko, group ke memebers ko aur group ki posts ko dekh sake to Public choose kijiye.
- Agar aap cahte hai ki group ko aur uske members ko log dekh sake par wo group ki posts ya activities ko na dekh sake to Closed par click kare.
- Aur agar aap cahte hai ki aapka group bilkul secret ho, bahar ka koi bhi vyakti ise na dekh sake, jabtak ki wo group ka member na ban jae to aap Secret choose kare.
Privacy select karne ke baad Create par click kare, aisa karte hai Facebook apse group ke liye icon select karne ke liye kahga.
Group ka icon select karke OK par click kare
Aur ligiye aapka group ab ready hai.
5. Group ko setup kare
Group banane ke baad uske andar group ke bare me kuch janakri daalkar setup kare. Sabse pehle hum group ke liye cover image lagayege. Cover image lagane ke liye upload photo par click kare
apni photo ko select kare aur open par click kare.
cover image lagane ke baad apne group ke baare mai kuch Description bhare. Description logo ko ye batayega ki ye group kis bare mai hai.
Ab aapka group poori tarha se ready hai. Ab aap cahe to logo ko apne group mai add kar sakte hai, aur log bhi aapke group me add hone ke liye apni request aapko bhej sakte hai.
Group ki setting kaise badle
Agar aapne apne group me kuch galat detail daal di hai jisse ki group ka naam, aur ya aap group ki kisi setting ko change karna cahte hai to aap Notifications button ke saath lage down arrow par click karke aur usme se Edit Group Settings ko select karke aisa kar sakte hai.
Group ke bare me aur Jankari
Notifications: Agar aap group se sambandhi sari activities ki notification ko bund ya shuru karna cahte hai to notification button par click karke aap aisa kar sakte hai.
Message: Group ki ek khass baat hai ki aap group se jude sabhi logo ko ek sath message kar sakte hai, Iss feature ko jada mat use kijiyega kyoki aisa karne se log pareshan bhi ho sakte hai aur apke group ko chod bhi sakte hai.
Event: Maan ligiye ki apka local group hai aur aapke group me sabhi aas paas rehne wale log hi hai. Ab aap in logo ko sunday ko rakhi gayi kisi meeting me bulana cahte hai. Aap aise karyekrmo(Program) me logo ko bulane ke liye Events ka use kar sakte hai.
Events me jakar + Create Event par click kare
Lightbox me event se sambandhit sare jaankari dale aur create par click karde. Create karte hi aapke group ke sabhi members ko event ka invitation chala jayega.
Files: Aapke computer me koi kitab ya photo hai jo sirf aapke group ke members hi download kar sakte hai? aisi cheezo ke liye Files ka use hota hai.
Files me jakar + Upload File par click kare.
File ke bare me kuch detail dale, Choose File par click karke File upload kare aur save par click karde. Ab aapke group ke members tak ye file pohoch jayegi.
Ab aapne Facebook group ke bare me kafi kuch jaan liya hai, mujhe lagta hai ki ab aap araam se group bana sakte hai. Agar aapko Facebook group se related koi bhi savaal ka javab cahiye to neeche diye gaye box mai comment kare.
Thank you is article ko phadne ke liye.
Aage padhe:
- Facebook Page kaise Banate hai ?
- Facebook ka password kaise badle ?
- Facbook Page kaise Delete kare ?
raj aror says
मैं अपने secrate ग्रुप को पब्लिक करना चाहता हूँ,,,, बिना मेंबर कम किए,,,,क्या ये संभव है,,????
Vikas Plus says
Iske liye aap apne group ki settings me jaakar group ko public kar sakte hai.
anees Ansari says
Hello sir mere group me 77 500 log hen glti se group secret ho gya to please halep me ab public kese hoga bina members kam kiye
Yashpal CU says
Hello sir,ek question tha.. Jise hum group banate h toh koi setting batao jiss se group me koi bhi post kr sake or wo bhi bina #admin ke approve se… 😛
Please help kro…. 😀
Vikas Plus says
Iske liye Facebook par Open group bana sakte hai. jisse aapke group me koi bhi post kar sakta hai.
mohit says
Sir mere friend ne sab admin ko group se hta diya he ab mere group mai koi admin nhi mai apne group ko recovr kaise kru
Sunny Singh says
Mohit aapko kis type ki recovery karni, aapne ye baat clear nhi ki hai. plz pehle ye baat clear kijiye.
Alam says
fb me verifi id kya hota hai koi btayega