Freelancing ya Freelancer !
Ager aap ek blogger hai toh aapne aksar ye sabad toh zaroor suna hoga, lekin kya aapko pata hai ki, Freelancing ya Freelancer kya hai ? aur ye kaha kaam aata hai, ya phir isse paise kaise kamaye jaate hai ? Toh aapke inhi sabhi sawalo ka jawab aaj aapko humare is article me mil jaayga. Toh humare is article ko dhyaans se padhiye, aur apne dosto ke sath bhi share kijiye.
Kya pata aapki thodi si awareness unki life badal de.
Agar aap internet user hai toh aapko ye pata hi hoga ki aaj ke time me internet par paise kamane ke bhut se tarike hai. Lekin inme se kon ka tarika aapke liye fit rahega, shyed aapko ye abhi tak nhi pata hai. Ya phir jo tarike available hai, unko ya toh aap karna nhi chahte ya phir wo aapke liye kaafi muskil hai.
Ye baat toh aapko bhi pata hogi ki online paise kamane ke liye kaafi struggle karna padta hai, jaise ki mai yaha ek example dena chahta hu.
Aaj kal sabhi log ( jo internet user hai ) wo blogging ko paise kamane ka sabse accha tarika mante hai, wo ye sochte hai ki bas ek free blog bana kar aur kuch article ya post likh kar acchi earning hone lagti hai.
Lekin wo ye nhi jaante hai ki, internet par rozana lakho blog bante hai, lekin unme se kitne kaamyaab hote hai, ye toh aapko bhi pata hai. Blogging karne ke liye time, paise, hardwork aur sabar ye sabhi lagte hai, phir jakar kahi ek accha blog banta hai.
Aur paise kamane ki baat toh aap abhi chod hi dijiye.
Lekin phir bhi ager koi aapse puche ki kya koi aise tarika hai blogging ko chodkar, jisse ki hum internet se bhut zaldi paise kama sakte hai, toh wo hai Freelancing.
Toh chaliye aaj hum aapko batayege ki kaise aap ek acche Freelancer ban kar badiya paise kama sakte hai.
Freelancing kya hai ?
English me ek kahawat hai “Work smarter not harder” aur ye kahawat internet ki duniya me bilkul sahi bathti hai.
Is kahawat ko kahne ka humara matlab yahi hai ki Freelancer kuch isi method par kaam karta hai.
Iske ander aap kabhi bhi kitne bhi clients ke liye online kaam kar sakte hai, iske liye aapke pass ek acchi skill honi chahiye, phir chahe wo skills Designing, SEO, Developer, Video making etc koi bhi ho sakti hai. Ye sabhi skills freelancing ke under aati hai.
Hindi Blog ko kaise famous karna chahiye ?
Isme aap online clients milte hai, jo aapko aapki skill ke hissab se online hi work (project) dete hai, jis kaam ko aapko kuch time ke ander kar ke dena hota hai, jiske badle wo aapko paise dete hai.
Toh is method ko Freelancing kahte hai.
Freelancing Sites :
Ab agar aapke ander skill hai aur aapko ek chance ya mouke ki talash hai, toh hum aapko yaha par batayege ki kaise aap apne hunar ko freelancing ke jariye, online apne ghar bathe kar sakte hai.
Aur iske ander aapko kisi bhi parkar ka koi charge bhi nhi dena hoga.
Chaliye ab ye jaante hai ki, in freelancing website par aapko kaise aur kya karna hoga ?
Aapke dimag me ek baat zaroor aa rahi hogi ki aapse wo vykti kaise sampark kare, jisko koi kaam karwana hai, ya usko kaise pata chale ki aap ye particular kaam karte hai ?
Iske bhut se tarike hai, jaise ki internet par ki jaane wali social networking. Iske jariye wo vaykti aap tak pahuch sakta hai, jisko kaam karwana hai, ya phir freelancing website ke dwara bhi aap apne customer tak pahuch sakte hai.
Offline Business ko online le jaane ke shaandar tarike
Freelancing websites, aapko ek aisa platform provide karati hai, jaha par buyer aur freelancers ek dusre ko asaani se dhund sakte hai aur ek dusre ke sath interact bhi kar sakte hai. Aaj kal internet par aapko aisi bhut si websites mil jaaygi, jaha se aap apna business asani se chala sakte hai.
Chaliye yaha mai aapko ek aisi hi freelancing website ke baare me batata hu, jisse aapko is website ko samjne me kaafi help milegi.
Is site ka naam hai : Fiverr.
Fiverr freelancers aur buyers dono ke liye hi ek ultimate platform provide krata hai, yaha par freelancers bhi register kar sakte hai aur buyers bhi register kar sakte hai.
Ye kisi particular talent ke liye nhi hai. Jaise ki aapko pata hai ki alag-alag freelancers ke pass alag-alag talent hote hai, toh ye freelancers apne talent ki details ke sath apni GIG ( fiverr ki ek term) publish karte hai aur buyers yadi dhundte -2 aapki GIG tak aa jaate hai toh wo aapko hire kar sakte hai aur aapse kaam karwa sakte hai.
Aapke kaam ke badle me wo aapko direct paise dete hai. Jisme alag -2 sites ka apna alag -2 hisaab hota hai. Jaise ki Fiverr par minimum imcome ki bhi freelancer ki $5 hoti hai.
Isi parkar aur bhut si websites hai, jaha par aap apna freelancing ka kaam dhund sakte hai. Yadi aapko aisi sites apr kaam dhudne me problem aa rahi ahi toh aap direct bhi kayi companies ya online organizations se contact kar sakte hai.
Bhut si websites par likha hua bhi hota hai, ki unhe kaam karne ke liye freelancers ki zarurat hai, aap aisi website ki dhund sakte hai.
Freelancing karne ke liye kya kare ?
Aapko kaam start karne ke liye, Sabse pehle Freelance ki website par Jana hoga.
Phir Aapko ussme sign up karna hoga, kyuki aapko pehle account banana hoga. Bina account ke freelancing possible nahi hai.
Series Blog Post Likhe aur Apna Traffic Badaye
Account banane ke baad aapko profile me apni kabliyat(skill) dalni hogi, yani ki Aap kya kya kar sakte ho. Jaise content writing, website development, android software making, blog making, hosting providing etc.
Jab bhi koi apki profile check karega toh, Aapse contact karega ya aapko unke requirements ke hisab se kaam karne ke liye aapko unke requirements box me apne price yani ki aap wo kam kitne paise me kar sakte ho iski detail dal sakte ho.
Aapki service acchi lagne par wo aapse contact kar lega or aapse apne ya design ke baare aapko bata dega or aapka kam suru ho jayega.
Aapko humara ye article kaise laga aap humse neeche diye gaye comment box me bata sakte hai.
Thank you,
Lucky says
sir Maine opera mini aap ka apk file download kiya aur jab install kara to aap not install aa RHA h sir ye kase shai hoga?
sir play store se bhi kar ne mai ye problem aa rahi h
Sunny Singh says
Apne phone ko reset kar ke check kar sakte hai.
Rashid Ansari says
hello friend aap apne blog se kitne earn karte ho per month
Sunny Singh says
Hum blog se zaada earning karte aur na hi is tarf dhyaan dete hai, humara main business web designing hai. Toh humari main source of income wahi hai.
Ankur Jain says
sir , trulancer website meh acct number dena sahi hoga .
Sunny Singh says
Ha, tabhi toh aapke customer aapse contact kar sakege.
arif says
Sir aapne kaun kaun sa course kiya hai
Sunny Singh says
Hum ek web designer hai.