Aaj kal aap internet par ya news me viral word bhut sunte hoge, ki ye video viral hogi, ye article viral hoga, ye tweet viral ho gaya.
Viral post kya hai ??? Aap sab se dimag me ye sawal bhut baar aata hoga, kyuki aaj-kal ye word bhut baar sunne ko milta hai, aur khass kar social media ( Facebook, twitter, whatsapp etc ) par toh ye ek trend sa ban gaya hai.
Toh aaj hum apne is article me aapko batayege ki Viral post kya hai, aur aap apni blog post ko viral post kaise bana sakte ho ?
Yaha mai aapko sabse phele ye bata dena chahta hu ki sabhi blog post viral nhi ho sakti, lekin ye un post ki quality, content, aur seo tips par depend karta hai ki, aap kis post ke sath kaise deal karte ho. Lekin inke sath sath agar humara blog topic trendy ho matlab present time me humare blog theme se related koi topic trend me ho, toh hume usse related article likhna chahiye.
Toh chaliye ab shuru karte hai.
Viral Blog Post kya hai ?
Viral blog post wo post hoti hai, jo ki bhut logo se share ki jaati hai, ya phir jisnko zaada se zaada log dekhte hai, khass kar viral post social media me zaada hoti hai, kyuki aaj kal social media se har koi juda hua hai, toh ager social media par ek baar koi post publish ho gayi, aur wo logo ko pasand aane lagi, toh usko viral hote der nhi lagti.
Perfect Headline Likhne ke 5 Aasaan Tarike
Photos aur videos ke viral hone ke chances zaada hote hai, kyuki inko log bhi zaada pasand karte hai, aur inka use aap apne blog post ko viral karne ke liye bhi kar sakte ho, kyuki photos ya images ko aap apni blog post me aasani se adjust kar sakte ho.
Aapne aksar dekha hoga ki kuch facebook videos aur images ya youtube videos ko lakho views aur likes mil rahe hai.
Iske alwa bhi viral content ka ye faayda hai ki ye aapko kuch bhut acche backlinks deta hai, jo ki aapke channel ya website ke liye bhut badiya hote hai, aur isse aap zaada se zaada nayi auidence tak apni blog post phucha sakte hai.
Resume aur CV mai kya farak hota hai
Jo topic aapne sabse zaada viral hote hue dekhe hoge, wo hai :
- Funny
- Controversial
- Useful aur unique
- Popular aur trendy topics
Yaha tak aapko ye pata chal gaya hoga ki Viral Post kya hai ? Ab hum aapko aage batayge ki viral post ko likhne ke liye aapko kin cheezo par zaada dhyaan dena chahiye.
Viral Blog Post ko kaise likhe ?
Viral Blog Post likhne ka waise toh koi sceret nhi hai, lekin in sab cheezo follow karne ke baad bhi is baat ki guarantee nhi li ja sakti hai, ye post viral ho jaaygi. Iske baad bhi aap kuch rules ko follow karke kosis kar sakte hai ki aapki post viral ho jaaye.
Badiya content par kaam kare :
Viral post hone ka bhut bada reason hote hai uska content, theme. Yaha aapko is baat par bhi dhyaan dene ki zarurat hai ki usually wahi post viral hoti hai, jina content badiya aur easy to understand hota hai.
Viral post banane ke liye aapko content ki quality par bhut zaada dhaan dene ki zarurat hoti hai, kya pata kon si baat aapki post ko viral bana de. Kyuki jitni zaada cheeze aap uske ander daaloge, utne ki post ke chances badh jaate hai, ki wo post viral ho sake.
Apne Blog readers ko impress kaise kare – 4 tips
Iske liye aapko chahiye, ki aap blog post likhne se pehle thodi apne topic, topic se related dusre article ke baare me acchi tarike se research kar le, kyuki jab tak aap is parkar ki research nhi karoge, tab tak aapko ye pata nhi chalege ki aaj ki audience ko kya pasand hai aur kya nhi.
Research karne ke baad aapko ye pata chal jaata hai ki log kis parkar ke article pasand karte hai, Jaise ki unko zaada pictures, video, audio is tarike ke aap apni post me bhi ye tarike apna sakte ho, aur jo galtiya aapse pehle publish ki gayi posts me hai aap unse bach sakte hai.
Trendy topic par blog post likhe :
For Example : Aap ke blog ka theme hai Technology, toh aap ko technology me new kya ho rha hai aur aap ke blog readers kis baare me jaanna chahte hai in dono chijo ko mix krte huye aur trend ko follow karte huye aapko apna article likhna chahiye and I am sure aap ko ye tricks bahut helpful sabit hogi.
Blog post ke liye new ideas ko generate kare
Apni next blog post ke liye agar aap tension me hai, toh aap ab tension free ho jayiye aur apne readers ke sath ek strong relationship banate hue blogging ko ek naye mukaam tak le ja sakte hai. Apne blog ki post ke liye agar aap ke mind me koi achha idea nhi aa raha hai, toH aap kuch tools ka use kar sakte hai.
Website ki ranking kaise badaye
So hamesha apne ideas aur skill ke sath sath new aur unique likhne ki kosis kare.
mdbarkat says
Vikah bhai apse Muje Personal baatein karni hai
Maina apki YouTube ki sabhi Show Dekhe hai aur main apke Blog se Bahut Kuch Sikha hun.
Kya ap meri Dekh kar Bata sakte hai… Kya Kami hai
Muje footer main Pages add karna hai kaise Kate?
Jankarihindime.com
Sunny Singh says
Abhi humare pass itna time nhi hai ki iska answer ek dum de sake, toh jab humare pass time hoga tab aapko bta diya jaayga.
Hussam Ansari says
bahot interesting baat batayi hai apne ek blogger ke liye ye janna bahot zaroori hai.
Rupali Sharma says
very nice thanks for share
babita singh says
new blogger ke liye badiya post likhi hai aapne. By writing viral blog they will certainly increase traffic to their blog.
Lucky says
sir Maine YouTube video download kiya
savefrom.net website se sir video 3gp144p quality ka tha
lekin video ko open kar ne par video kharab tarike se jaldi jaldi cal kar khatam ho gaya sir video 11minute ka that sir kya problem h sir please bataye
Sunny Singh says
Ye videos ki problem hai ki wo corrupted hoga. Nhi toh saveorm.net se toh videos sahi chalte hai.
Lucky says
sir video corrupted hone ka reason kya h aur ye problem YouTube ke kuch video mai h sir koi solution h is ka? sir new upload video mai bhi ye problem h
Sunny Singh says
Videos ka sahi format me na hona bhi ek karan ho sakta hai, isliye jab bhi youtube apr video upload karke toh uske format zaroor check kare, aur youtube ke bataye gaye formats me se hi ek chune.
Aryan verma says
Thank you…but sir mai chahta hu ki aap mobile no. ko private no. me kaise change kiya ja sakta h iske bare me article jarur likhe kyunki ye mera hi nahi balki bahot se logo ka yh tamnna h….
HindIndia says
शानदार पोस्ट …. sundar prastuti … Thanks for sharing this!! ? ?
kuldeepsolanki says
hi friends