Mobile site se paise kamana, website se paise kamane ki tulna me zaada asaan hai, kyuki mobile Ad-network se approval milna, web Ad-network se approval milne se zaada asaan hai. Yadi aapki mobile site par accha traffic hai, toh aap sirf CPM rate se hi, bhut paisa kama sakte ho.
Uc-Browser duniya bhar ke behtarin mobile browser me se ek hai. Uc-Browser Union ne ab mobile site owners ko bhi unki site ke CPM rate ko dekhte hue paisa kamane ke ek asaan tarika de diya hai.
UC Union kya hai aur ye kaise kaam karta hai :
UC-Browser ek internet use karne ke liye mobile browser hai. Uc-Browser company ne apna pehle browser sirf mobile devices ke liye hi banaya tha, jo PC me kaam nhi karta tha. Uc-Browser aaj ke samaye me poori duniya me famous hai khass tor se India aur china me. Ise China ki company ne banaya hai, jiska attractive feature, aapko fast internet browsing experience ke sath high speed downloading ki facility bhi dena hai.
UC Union ek advance affiliate program hai, jo Alibaba Group dwara banaya gaya hai, ye aapko apki site par dikhaye jaane wale ads aur apps ke installation par aapko paise deta hai. Ye CPM par kaam karta hai aur CPA par kaam karta hai.
CPM kya hai ?
CPM ( Cost Per Thousand Impression ) Uc-Browser ne apne ads ke liye ek minimum price rakha hua hai. Yadi aapni moble site visitors ko thousand time dikhti hai, uske baad hi aapko CPM dwara minimum price milta hai.
UC Union ke liye kaise apply kare :
Sabse pehle jaise hum baaki cheeze search karte hai, thik waise Google Search Engine me UC Union search karte hai. Search karne ke baad jo pehli site open hoti hai, us par click kar ke site ko open karte hai.
Ab aapke samne UC Union ka Home page open ho gaya hai, jisme aapko left side me bane sign up button par click karna hota hai.
Sign up par click karne ke baad aapke samne ek form khul jayga, jisko aapne bilkul sahi sahi fill karna hai.
- Username : Yaha aap apna username fill karte hai ( ye kuch bhi ho sakta hai )
- Password : Yaha aap apna password fill karte hai. jisse aapka UC Union account open hoga. )
- Confirm Password : Password ko dobara fill kijiye.
- Country : Yaha aap apne country ka naam daal sakte hai.
- Online Contact : Is column me aap apna online contact fill kar sakte hai ( jo option diye hue hai unme se )
- Email : Is field me aapna Email Address daaliye.
- Contact No : Apna mobile no daaliye.
In sab ko fill karne ke baad neeche diye gaye Terms and Condition ke samne box me right karne ke baad submit ke button par click kijiye.
Next step me aap Management par click karte hai. Click karne ke sath hi aap dekhte hai ki aapke samne ek page khul jaata hai, is page me aapko Submit Application/Site par click karna hota hai.
Submit Application/Site par click karne ke baad aapke samne ek form bana hua aa jayga, jis par aapko apni site ki information fill karni hai.
- Site Name : Site ka naam
- URL : Site ka URL
- Category : Maine others select ki hai aap is drop down ko open karke different Category chun sakte hai.
In sab field ko fill karne ke baad aap neeche diye gaye continue button ko click kar sakte hai.
Next step me aapko Add Pub par click karna hoga,
Add Pub par click karne ke baad aapke samne ek form khul jayga, jisko aapne bilkul sahi sahi fill karna hai.
- Cooperation : Isme aap Cash ke samne tick kar sakte hai.
- Type : Jis bhi Type ke ads aap apni site par lagana chate hai aap unke samne click kar sakte hai.
- Choose Site : Kis site par ad lagana chahte hai, wo fill kijiye
- Ad Space Name : Ad ka naam.
- Ad URL : Ad Space URL ka naam.
- Integration Method : Ad method select kijiye.
- Ad format : Aapko ads ki method kya chahiye, wo select kijiye.
Form poori tarah fill karne ke baad Continue par click kar sakte hai.
Ye sab formality fill karne ke baad UC- Union aapko email ke jariye 3 din ke ander bata deta hai ki aapki application approve hui hai ye nhi.
Aapko humara ye article kaise laga aap humne neeche diye gaye comment box me likh kar bata sakte hai. Yadi aapke koi sujaav ya samsya hai, toh bhi aap hume zaroor bataye, jisse ki hum apne aane wale articles me quality la sake.
Thank you.
Vicky Pawar says
Achya he but adsense se Acha koi bhi network nahi he….
by the way bhai hum ek site me adsense ko kitni bar apply kar sakte he
Sunny Singh says
Adsense ko sirf ek site par ek baare hi apply kar sakte hai.
Vasim says
Ni bro adsense ko ap jitni br apply krean .apply kia jaa skhta hy ya mera experience hy.Maine apni site google adsense main aik br apply ki approve ni hua (terms and policy page missing honea ki waja sa )dbar 1week bd apply kia aur approved hogya aur ab ads bhi show hoa rhea hain.Best tip to approve adsense is to make fist non hosted youtube adsense than add your site….
Satish Kushwaha says
क्या इसे एडसेंस के साथ use कर सकते हैं?
Sunny Singh says
UC Browser toh sirf mobile par hi chalta hai aur waha par adsense ads nhi dikhayi dete. Toh ye aapko uc browser par dikhane wale ads provide krata hai.
Sandeep Jinagal says
Aap Uc Union Ki Ads kisi Bhi sites par use kar sakte ho.
Uc union ads ko aap apni site par kahi bhi laga sakte ho, iss se apke adsence par koi farak nahi pdega.
Orr Iss Trah ki Koi Problem Nahi Hai ki apki Ads ke liye viewer ke pass Uc Browser hi ho.Uc union ads unn webmasters ke liye faydemand hai Jinke pass mobile site hai. Jinke pass mobile se jayda traffic aata hai.
Or Uc union desktop browser mein isliye faydemand nahi kyuki Uc union sirf Apps ko promote Karti hai. Isliye uc union ads par click karte hi ye aapko playstore mein redirect karti hai. Jo ki desktop browser mein possible nahi hai.
Baki Mobile site ke liye ye ek super ads network hai.
Uc union mein aapko 2 option milte hai.
1 Banner Type
2 Direct Apps Link
1 Banner type: Iss type ki ads par jabb bhi viewer click karta hai toh Uc script uss mobile se pta karti hai ki usme konsi aap install hai,or konsi nahi.Uske baad vo uss random app ke liye playstore mein redirect karti hai.
2 direct apps link: Isme aap kisi specific aaps select karke banner dal sakte hai. matlab jab bhi user uss par click karta hai toh vo uss specific app ke liye playstore mein redirect hota hai fir jahe vo app installed ho ya nahi.
Isme aapko per aap install ke 30 se 70 ruppey mill jate hai. Joki bhut supper cool hai.
dilip says
kya ise use karne ka koi charge h
Sunny Singh says
Nhi.
Saddam says
Sir maine uc union me accounts banaliya hai or usne improve bi kiya hai per yeh nahi samajh me aye ki app ke link kaha se lu thora vistar se bataye or ad space name ad space URL name ke matlap kys hay
Sunny Singh says
Ad space name ka matlab hai ki jis kisi app ka apne apne uc browser par ad dikhana hai uska naam. URL ka matlab us app ki official site ka url. EX. Vikasplus.com
Mohsan iqbal says
Jin ki website ni hai apni woh kya kry muje email pe inform kr dy plz
Sunny Singh says
Internet se paise kamane ke kuch assan tarike
sabse pehle toh aap ye article padhiye, phir jo trika aapko accha lage usko follow kijiye.
Faraz says
Mera account for approve ho gya Hai buy jab me promotion tab pe click Marta Hu to Confirm option pe click disabled rehta Hai. Uspe click he major Hota
Faraz says
Iski wajah se ad code he aa pata
Sunny Singh says
Iske liye aap UC union ki terms and conditions ko padh sakte hai.
V K Singh says
bhai…ek site h bhaskar.com uss par uc browser me bhi adsense ads show hota h….iske alawaa aur bhi kai aisi sites h…. aisa kaise hota hota h.
Sunny Singh says
Sorry V K Singh ji abhi humari team is par research kar rahi hai, waise zaada baat toh hume pata chal gayi hai, lekin phir bhi jab research poori hogi tab hi hum aapko kuch bata paayge.
bharat jangir says
Bhai jis ki website nahi ho wo kya kare…..?
Sunny Singh says
Iske liye toh aapko website ki zarurat toh hogi hi.
jeet Makwana says
ad name aur ad URL me kyã karna he please muje jaldi bataye
Sunny Singh says
Jab aap kisi bhi ad ko apne blog par chalana chahte hai toh us ad ma naam aapko form me fill up karna hota hai toh wahi ad name hota hai.
Aur URL ( Uniform resource locator ) ye ek parkar ka link hota hai, jo aapki kisi videos aur article ka address bhi hota hai , jisko type karne se visitor direct aapki website par aa sakta hai.
jeet Makwana says
me k7ch samja nahi….!
sahil says
bhai bs ek bat puchni hai jse ucunion aapko app share ki link deta hai jse 9apps kya hum us link ko short URL bna kr Aur custom name de kr Facebook per post kr sakte hai
Sunny Singh says
Nhi
kumar abhishek says
1.kya mai blogger par dictionary site bana sakta hu?.
2. aachha rahe ga ya nahi blogger pe?
3.gar nahi to mai kon si website use karu as godady, wordpress etc
4. godady pe website banne mein kina paisa lagega
sir mai vikashplus.com use karta hu.@please meri help kare
Nikhil Arora says
Blogger par dictionary website banana sahi nahi hai. Aapko WordPress website banani hogi, agar aapko website banwane mai meri help cahiye to aap mujhe contact.vikasplus@gmail.com par sampark kare.
Ajay kumar says
are bhai me uc-union sai 6 month sai earning kr raha ho but me dusra acount k leyai sinup kr rha ho ho ni raha 7 din ho gya hai please matag karo
Sunny Singh says
Iski jaankari aap UC-Union ke support enquiry se le sakte hai.
Ravi says
Meri website uc union me approve nhi ho rhi h 10 din ho chuke h kya kru
Suraj yadav says
Mera website uc Union pe pending pda hai jbki 15 days ho gye hai.
GAINDLAL SAHU says
mai uc union me apply kiya but 2 month ho gya abhi tk pending bta rha hai.. koi upay btaiye
kashif says
sir newshunt ya dailyhunt par kaise apni site submit kar sakte he
dharmendra jadhav says
sir meri id approved nhi hui h 20 din ho gye asa kyo…pending bta raha he me kya kru chnz kr du kya site ya ase hi rahne du…….3 site dal di thi mene.. aap btao plz
Sunny Singh says
Aap thoda wait aur kar sakte hai.