Aaj hum apni nayi Guide shuru kar rahe hai. Jiska naam hai Make Money Guide.
Actually humare visitors (chahe wo website, facebook, youtube etc ke ho) ne hume iske baare me bhut likha hai, humare pass bhut se emails bhi aaye hai, jisme bhi yahi pucha gaya hai ki “aap make money ke baare me kyu nhi likhte ” ?
Lekin jaisa ki humne aapko pehle bhi bataya hai ki, humara aim aapko (visitors) skills provide karna hai, jisse aap online hi nhi offline bhi successful ban sakege aur aapko obviously ek nayi skill aa jaygi.
Phir bhi apne visitors ki demand ko dekhte hue humne ek Make Money Guide banayi hai, jisse ki aapko online money making se related bhut se articles padhne ko mil sakege.
Toh aayiye shuru karte hai.
Log humse puchte hai ki “Chitika, Bidvertiser , revenuehits aur uc union kya hai aur ye kaise kaam karte hai” ?
Isliye aaj hum Chitika ke baare me baat karege :
Chitika Ads ke liye apply karne ki step by step poori jaankari :
Chitika kya hai ?
Chitika ek search targeted advertising network hai. Ye mainly Pay Per Click ( as Adsense does ) system par kaam karta hai. Chitika Duniya ke Top ad network me se ek hai. English Blogging se bhut bade naam jaise Darren Rowse Chitika ki service ko promote karte hai.
Chitika kaise kaam karti hai ?
Chitika bhi baaki Ad Network ki tarh hai Pay Per Click hi kaam karti hai, jaise ki humne aapne Adsense wale article me bhi bataya tha ki, jab koi Business man/company apne product ko promote karne ke liye kisi bhi ad network ko contract deti hai. Toh wo ad company Blog/website ko us company ke ads dikhane ke liye deti hai aur ads par click ke hisaab se paise bhi deti hai. Jaise Google Adsense aapko deta hai.
Chitika par account kaise banaye ?
Chitika par account banana bhut hi asaan hai aur is par zaldi approve bhi ho jata hai.
Chitika par account banane ke liye aapko sabse pehle Google Search Engine me Chitika search karna hoga. Uske baad jo sabse pehle website khulegi (www.chitika.com) par click karke uske home page ko open kijiye.
< Step – 2 > Website par click karne ke baad Chitika ka Home page aapke samne khul jayga. Usme aap Right side par Sign up par click kar sakte hai.
< Step – 3 > Sign in karne par click karne ke baad aapke samne jo agla page khulega us par aapko apna Email Address daal kar, neeche diye gaye Go button par click karna hoga.
< Step – 4 > Ab aapke samne chitika ka ek form khul jayga. Jisko aapne bilkul sahi sahi fill up karna hoga.
- Name : Is column me aap apna naam daal sakte hai.
- Username : Agli field me aap username daalte hai ( jisse ki aap apni website ho run kar rahe hai. )
- Website URL : Isme field me aap website ka address daalte hai.
- Password : URL daalne ke baad aap agli field me Password ko daalte hai ( ye aapko abhi generate karna hota hai, jo aap kuch bhi daal sakte hai)
- Confirm Password : Jo pehle column me aapne password daala hai thik usko hi aap is column me bhi daalte hai.
- Country : Last column me aapko country select karna hota hai ( Jisme ki maine India daal hua hai )
Pura form sahi sahi fill up karne ke baad hum form ko Submit par click karke submit kar dete hai.
Jaisa ki picture me dikhaye gaya hai ki Application Under Review hai. Iska matlab hai ki aapki application chitika ke pass chali gayi hai aur wo usko dekh kar 1 working day me aapko bata dege ki aapki Application approve hui hai ya nhi. Aur yadi nhi hui hai toh wo iska reason bhi likh kar bejege.
Asha karte hai ki aapko is article se chitika advertise ke liye apply karne me help mili hogi.
Agar aapke koi swaal ya sujaav hai toh aap hume zaroor bataye. Kyuki ye website humne aapke liye banayi hai, isliye aapke reviews aur sujaav humare liye bhut important hai.
Aap humse social media par bhi judkar apne sawaal ya sujaav de sakte hai, aur humari daily updates bhi pa sakte hai. Humare social media addresses hai :
Thank you.
Alkesh says
Sr ager chitika hume add deta he to uske liye chitika ka niyam kya hoge. jese ki google AdSense ke liye 200-300 visit dali ke hone chaye or 6 month purani hone chaye site to sr chitika ke bhi ase he niyam hoge to we kya he sr please puri jankari de.
Sunny Singh says
chitika me aisa kuch nhi hota aap isko apna blog banae ke baad 20-25 quality article likhne ke baad kabhi bhi apply kar sakte ho . Chitika ki zaada jaankari ke liye aap Chitika ki Terms and condition ko detail me padh sakte hai
rksharma says
Dear friend your website very helpful. I want talk and help 9414862846
Sunny Singh says
Thank you
keep following vikas plus
Satish Kushwaha says
Bro …kya aap bta skte ho ki chitika ke sath AdSense bhi use kar skte hai kya?
Sunny Singh says
Ji ha kar sakte hai kyuki ye ek affiliate program hai joki aapke dwara diye gaye link se download hone wale product par aapko revenue deta hai. Zaada jaankari ke liye is article ko padhe : http://apptricker.in/earn-money-uc-union-appshare-program/
Mazhar says
Sir kya facbook page me bhi ad laga sakte hain? facebook page ka url use kar sakte hain?
Sunny Singh says
Ji ha lekin uske liye aapko facebook ko paise dena padta hai wo sab free nhi hota.
Aaliya Khan says
How much you earned from this website?
Sunny Singh says
I’ll just starting to earn money.
So its not quite much as you accepted
himanshu says
Sir ek bahut bada condusen hai aur mera bhi bhi mujhse khata rahata hai ki blog me add lagate hai adanse aur chitika kisi ke bhi dono pay per click se payment karti hai aise me to hum aone blog me add laga kar hum khud din bhar add per click karte rahe aur mera bhai bhi dinbhar add per click karta rahe aisa. aise to rupees ka mountain khada ho jayega to mera sawal yahi hai aisa to hota nahi hiha to iska funda kya hai
Sunny Singh says
Agar aap apne aap click karte rahege, ya phir aap apne kisi friend ko bol dege ki click karte raho. Lekin google ko ager response nhi mil raha hai, jaise ki aap ads par click karke kuch purchase nhi kr rahe ho, ya phir aapki website par zaada ads click ho rahe hai toh google aapki website ko block kar deta hai.
chandan kumar says
Hi sir
mera kuchh questions hi ise solve kijiye
1)mai chitika par apply kiya tha to mujhe turant uska code bhi mil gaya kiya chitika turant code de deta hi
2)code aa gaya to use kaise aur kaha pest karu
3)aap mera blog chek karke bataiye kiya sav kami hi
Sunny Singh says
Humne article me poori tarike se samjaya hua hai.
Quick Knowledge says
Sir mujhe ye bataiye ki Chitika ke sath sath Adsense use kar sakte hain.. agr hum Chitika ke sath hain to kya Adsense se approval milega?
Please help …