Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

RAM kya hai ?

December 8, 2015 By Nikhil Arora

Hum log jab Mobile ya Laptop ke baare me baat karte hai to RAM ke baare me jaroor poochte hai.

Leking RAM hoti kya hai? – “zaada RAM matlab zaada speed”. Haan aap sahi hai par RAM ka matlab kya hai?

RAM ko Random-Access-Memory kehte hai, ye kisi be computer ya device ka sabse jaroori hissa hai. Bohot se logo pata hai ki RAM speed bhadane ke kaam aati hai lekin unhe usse zaada nahi pata. RAM itini jaroori cheez hai ki maine socha ki chalo iske baare me ek article hi likh diya jaye.

Mujhe lagta hai ki ye ek bohot hi interesting topic hai jisko seekhne ke baad aapko computer ki working ki zada jaankari ho jayegi.

Computer me 2 type ki Memory hoti hai.

Pehli type ki memory wo hoti hai jo ki data ko store kar ke rakh sakti hai jab wo working me ya Power se judi nahi hai, jaise ki hamari Pen Drive, Internal Memory ya Hard Disk. Ise hum Physical Storage bhi kehte hai.

Doosri type ki memory hoti hai jisme se Power hatate hi poora data khatam ho jata hai, is memory ko RAM kehte hai.

Humare mobile/laptop me ek aur part hota hai processor aapne suna hoga – Dual Core, Quad Core. Processor dimag ki tarha hota hai, ye hi control karta hai ki konsi cheez kaha se utha kar, kaise chalani hai. Lekin processor sirf unhi cheezo ko chala sakta hai jo RAM me hoti hai.

Generally RAM kam hoti hai aur Internal Memory usse kahi guna zada. Jab aap koi App chalate hai to wo aapki App mobile ki Internal Memory se RAM me transfer hoti hai aur phir RAM me jaakar processor dwara chalai jati hai.

Mai aapko RAM aur Hard Disk kaise kaam karta hai usko 2 boxes lekar samjhata hun. Ek Mobile ke example lete hai.

1. Abhi mobile switch OFF hai. To RAM me koi power nahi jaa rahi isliye wo khali padhi hai. Aur sabhi apps ka data internal memory me hai.

mobile-switch-off-hai

Aage Padhe :

  1. Laptop ki Battery life Badane ke kuch asaan tarike !
  2. Laptop kharidne se pehle in baato ka rakhe khyaal !
  3. Twitter ID kaise banate hai ?

2. Jaise hi aapne mobile ko ON kiya to aapka OS yani ki Kitkat ya Lolipop load ho gaya, ye isliye load hua kyoki poora system ispar hi chalta hai. Aur sath hi jaroori apps jaise ki Phone Calling bhi load ho gaya.

mobile-switch-on

Yahi karaan hai ki jab aap apne mobile par koi bhi App nahi chala rahe hote aur aapki RAM phir bhi use ho rahi hoti hai.

3. Ab jab aap apne mobile par koi aur App kholte hai to wo bhi RAM me chali jaati hai. 4-5 Apps chalane ke baad RAM lagbhag Full ho chuki hai.

Apps-chalane-ke-baad-ram

4. RAM ke full hone ke baad agar aap koi aur App chalate hai, to wo us App ki jagha banane ke liye kisi aur App ko wapas Internal Memory me bhej deti hai.

ram-full-ho-chuki-hai

5. Aap dekh sakte hai ki RAM kam hone ki wajha se ek App ko chalane ke liye hume doosri App ko wapas bhejna padha, is aage peeche bhejne se hamare mobile ki speed slow hoti hai. Aur jitni badi RAM hogi utni hi zada Apps ko hamara mobile ek sath bina atke/ruke chala sakta hai.

zada-ram-zada-speed

Theek hai ye kuch basic baat hai RAM ke baare me jo mujhe lagata hai ki aajkal har ek ko pata hoti cahiye.

Agar aap aisi aur jaanakari cahte hai, ya aapka koi sawaal hai to aap hamare Facebook Group me post kar sakte hai.

Mujhe asha hai ki aapko ye post pasand aayi hogi.

Thank You 🙂

Ye bhi padhe :

  1. Perfect Headline likhne ke kuch asaan tarike !
  2. OTP kya hai ?
  3. Android kya hai ?

Filed Under: Computer, Mobile Tagged With: Laptop, Mobile

Comments

  1. Anil says

    February 24, 2016 at 9:15 pm

    Thanks for give most important knowledge of Ram

    Reply
  2. Anil says

    February 24, 2016 at 9:49 pm

    thanks for give most important knowledge of RAM

    Reply
    • Sunny Singh says

      February 25, 2016 at 11:14 am

      your welcome Anil

      Reply
  3. aryan says

    March 13, 2016 at 12:00 am

    Nice post bro 1 number blog can you check my blog http://www.about2pc.com 🙂

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 15, 2016 at 2:50 pm

      Thank you aryan

      Reply
  4. Azim says

    March 22, 2016 at 1:39 am

    MashaAllah, bahut achi tarha SE samjaya hai, bahut ashani SE RAM ke baare mein samaj aaya hai, muje bahut bahut pasnd aaya, thank you so much Sir,

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 22, 2016 at 10:46 am

      Your welcome Azim
      Keep following vikas plus .

      Reply
  5. deepak says

    March 31, 2016 at 9:01 am

    Thanks yar kya ap thoda sa jankari system disc k bare me denge

    Reply
  6. Aryan says

    April 9, 2016 at 2:33 pm

    Very nice article bro

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 11, 2016 at 10:50 am

      Thank you Aryan

      Reply
  7. Satyendra says

    April 22, 2016 at 10:19 am

    Sir what is processor and how many types of it

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 25, 2016 at 10:54 pm

      4 type ke main processor hote hai.

      Reply
  8. Satyendra says

    April 22, 2016 at 10:30 am

    Nice post sir keep it continue

    Reply
  9. laxma. thakur says

    May 14, 2016 at 11:36 am

    Sir bhoth ache se samj aaya or bhoth aasani se samj main aaya if you don’t mind to kya aap mujay GB TB k bary main main b bta skte he sir please

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 24, 2016 at 10:38 am

      GB Gigabyte 1,073,741,824 Bytes | One billion Bytes
      TB Terrabyte 1024 GB,

      Reply
  10. Magsingh rathore says

    May 19, 2016 at 6:04 am

    Bahut badhiya bataya hai RAM ke bare me

    Reply
  11. anand vishwakarma says

    May 22, 2016 at 5:17 pm

    Sir! RAM ko adhik kar sakte hai wihout app??
    Aur sir! AMD A6 procceser kya hai??

    Reply
  12. basanta sandil says

    May 24, 2016 at 4:27 pm

    thank you sir g,

    Reply
  13. sameer hassan says

    May 24, 2016 at 9:48 pm

    thankx sir

    Reply
  14. Abhishek singh says

    June 11, 2016 at 4:13 pm

    Achha he good

    Reply
  15. abuzar says

    June 22, 2016 at 2:04 pm

    sir 1gb ram kitni ram hoti hai answer sir

    Reply
  16. Ram says

    July 1, 2016 at 9:51 am

    thanq sir you give for most infromation

    Reply
  17. golu says

    July 1, 2016 at 10:09 am

    ddr1 ram pahle se computer me laga hua hai jo 500mb ka dusra ram lagana chahta hun per ran kz clock speed ya jo mhz speed wo dono ram mein same hona jaruri hota hai

    Reply
    • Sunny Singh says

      July 1, 2016 at 10:49 am

      Ye thoda technical question hai toh m chahuga ki iske baare m aap kisi hardware engineer se sampark kre

      Reply
  18. Umesh Chavan says

    July 15, 2016 at 9:57 pm

    very nice inforamtion

    Reply
  19. naresh detruja says

    September 18, 2016 at 1:30 pm

    awesome information diya hai aapne aapke is a article se bhot sare visitors ko ram ke bare pura info miljayega thenks

    Reply
  20. Vinay says

    October 2, 2016 at 5:00 pm

    Nice Explain….

    Reply
  21. naeem ansari says

    October 5, 2016 at 4:05 am

    Thanx.

    Reply
  22. Mahipal Rana says

    October 8, 2016 at 5:31 pm

    Nice information

    Reply
  23. Gayatri Goswami says

    October 10, 2016 at 7:15 pm

    thank you sir…

    Reply
  24. Msd says

    November 27, 2016 at 10:15 pm

    Thanks sir ji

    Reply
  25. ajay says

    December 10, 2016 at 9:36 pm

    bahuti achhi jankari likhi hai apne..

    Reply
  26. ajay kumar says

    December 27, 2016 at 11:59 am

    thaks mujhe achha laga

    Reply
  27. Shahrukh idrishi says

    January 13, 2017 at 10:53 pm

    awesome information diya hai aapne aapke is a article se bhot sare visitors ko ram ke bare pura info miljayega thenk so much sir

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact