Hum jab bhi online paise kamane ke tariko ke baare me janana chahte hai, humare dimaag me sirf kuch hi tarike hai jo baar baar aate rahte hai.
Jo ki traditional tarike hai, jinse hum sochte hai ki hum inse paise kama sakte hai.
Example –
- Ad networks ( Adsense, Chitika, Infolinks, Revenuehits etc )
- Affiliate Marketing
- Paid service
- Online courses
Ye kuch aise traditional tarike hai, jisne hum sochte hai ki hum in sab tariko ko apply karke asaani se blog se paise kama sakte hai.
Lekin jaisa aap soch rahe ho aisa hi nhi, kyuki in sabhi tariko ye paisa kamane wakayi bhut muskil kaam hai, agar thoda sa bhi dhyaan ider-uder ho gaya, toh aapki pehle ki gayi saari mehnat par paani bhi phir sakta hai.
Wo toh aaj kal blogger ki ek baadh si aa gayi hai, har koi bas paise kamane ke baare me likhta ja raha hai, aur wo log dekhate aisi hai ki jaise unko isse bhut faayda ho raha hai aur in tariko se paise kamane me koi mehnat nhi karni hoti.
Lekin asal jindgi me aisa nhi hai.
Agar aapko Internet ke jariye online work karke paise kamane hai toh aapko badiya strategies aur time management ki bhut zarurat hai.
Vikasplus ko run karte hue humse bhut se log puchte hai ki “aap paise kamane ke baare me itna nhi likhte jitna ki baaki blogger likhte hai ?”
Toh mai un sabhi humare visitors ko sirf itna kahna chahta hu ki
“Sapne dekhne se kuch nhi hota, unko poore karne ke liye himmat aur lagan ki zarurat hoti hai”
Agar mai paise kamane ke baare me likh bhi du toh kya ye zaruri hai ki wo tarika aapke bhut kaam aayega, jo mere kaam aaya hai ?
Nhi, kyuki sabki aapni skill hoti hai aur sab uske hissab se hi mehnat karte hai.
Aap me se bhut se humare visitors ne online courses ki shuruwat bhi ki hai, lekin wo un courses se paise nhi kama pa rahe hai. Toh aaj ki post unke liye hi hai aur jo log course bana kar online paise kamana chahte hai, wo bhi is post ko dhyaan se padhe.
Online courses aaj kal aisa kaam hai, jo trend me hai. Sabhi log apne – apne course launch kar rahe hai aur wo ye sochte hai, is kaam ko karke wo ek acchi ‘healthy income’ earn kar sakte hai.
Lekin yaha aapko kuch aisi badi mistakes ke baare me batana cahuga, jissko aksar log online course banane me kar dete hai.
Toh chahliye shuru karte hai:
#1 – Jo course bana rahe hai uske baare me poori jankari rakhe :
Jab hi aap kisi course ko banate hai, toh aapko us course ko use karne wale ke baare me bhi sochne ki bhut zarurat hai. Wo kon hai ? Kya reader ko course ke baare me kuch pata hai ? Unka is course ko karne ka maksad kya hai ? Wo kaise aapke dwara di gayi information ka use karna chahte hai ?
Yadi aap really me chahte hai ki log aapke course se kuch seekhe, aur unko iske result bhi mile, toh aapko is baat ko bhut dhyaan dekar karna hoga, ki aap unko aise jaankari de jisse ki unki, unke aim ko paane me ek acchi madad ho paaye.
Imagine kijiye ki aap web designing ke uper koi course bana rahe hai. Isme aapko dhyaan dene ki zarurat ye hi ki ek course ko likhna aur ek professional web designer ke jaise logo ko samjane me bhut fark hota hai.
Kyuki aapko toh sab aata hai, lekin jinko nhi aata unke hissab se course banana, ki unko kis baat me problem aa sakti hai, wo kya sawaal puch sakte hai, unko kis parkar ki support chahiye ?
ye kuch aisi baatin hai jinka aapko bhut dhyaan rakhna chahiye.
Isliye course ko banate samye aur publish karne se pehle bhi course ki poori tarike se proof study kare, ek-ek baat par bhut dhyan ne ki zaurat hai.
#2 – Kosis kare ki sabhi detail course me fit ho jaaye :
Jo bhi aapke seekha hai usko seekhne me aapki saalo ki mehnat nhi hui hai.
Course banate samye sabse badi galtiyo me se ek hai, jo log aksar karte hai, course me related subject ki poori jaankari ka na hona.
Aapko chahiye ki aapni saari knowledge, value aur wo sabhi cheeze jo aap sochte ho ki aapke visitors ko jaani chahiye wo sabhi course ke ander add kar sakte ho.
Yaha samsya ye aati hai ki, aisa koi tarika nhi hai, jisse ki saari information beech ek sath absorb ho jaaye, isiliye hume iske baare me shuru se hi sochna padta hai aur in sabhi cheezo ko course banane ki shurwat me hi include karna hota hai.
Evergreen content kaise likhe ?
Aap jaha aaj kade hue ho, aapko yaha pahuchne me aur apni skill develop karne me me kaafi time laga hoga, lekin aapki thodi se jaankari aur experience, aapke readers ke liye bhut zaada zaruri ho sakti hai.
Ek dum se zaada jaankari dene ki bajaye aapko chahiye ki topic ko chote chote baago me divide karke, unki information hi aap readers ko de sakte hai, jo unke liye bhut upyogi sabit ho sakti hai.
#3 – Video recording kare aur PDF file banaye :
Jo course aap banate hai usme sirf ek accha content hi nhi hai, balki aur bhi bhut kuch hai.
Ye sahi hai, ki videos aru PDFs file students ko usefull information provide karane me kaafi help karti hai, lekin wo ek course se badkar bhi bhut kuch hai.
Youtube kya hai ? aur isse paise kaise kamate hai ?
Isse phele ki aap ye dono formet apne content me banaye, kuch baatin hai jo aapko dhyaan me rakhne ki zarurat hai.
- Unhe kis tarah ke support ki zarurat hai ?
- Kaise aap unke sath involve ho sakte hai ?
- Unko kaise pata chale ki unke liye kya sahi hai aur kya galat ?
- Jo unhone seekha hai, unko kaise apply karna hai ?
- Course se pehle ya course ke baad kya zarurat ho sakti hai ?
Course ek process hai, jisme aap apne student ko shuru se last tak ki journey karte hai. Isse pehle kisi parkar ka koi content likhte hai toh wo poori journey ke baare me sochne layak baat hogi.
#4 – Student Support available karna :
Main is baat ko lekar bilkul sure hu……Jab bhi aap apne sale page koi daalte ho toh aapke pass do option hote hai: isko kam paise me kharide aur sirf content paaye ya phir zaada paise de aur support/coaching paaye, jo aapki future me help kar sake.
Problem yahi hai ki jab aapko pta hai, ki aapko ek support ki zarurat hai, jisse aapko result acche mile, toh aap course dete samaye isko course ke ek part ke roop me kyu nhi dikhate ?
Isme purchase karne wale ki bhi galti hai, ki wo aisa koi course na kharide jisme ki customer support na ho.
Online learning ki sabse badi problems me se ek hai, Support ki kami. Students ko isko badlne ki zarurat hai. Kyuki unko kabhi bhi content ko samjne me, technical problem ko solve karne me kisi bhi samye aise customer support ki zaurat padti hai, jisse ki wo apni problem ka solution asaani se pa sakte ho.
Ek badiya Blog writer kaise bane ?
Ager aapko pata hai ki aapke students ko apka support chahiye ( ya phir aapke support krne se unko behtar result mil sakte hai) toh aapko chahiye ki unko samye-samye par customer support available karte rahe.
Aap unke liye ek forum, provide kara sakte hai, or supoprt group, live calls, ya phir yaha tak ki phone ya email support bhi available kar sakte hai.
#5 – Income ke baare me sochna :
Courses aapki income badane ka ek badiya tarika hai, aur aap isse bhut paise bhi kama sakte hai aur aap ek time bhi bhut students ko seekha bhi sakte hai, na ki ek time me 1 hi student ko, lekin shuru me hi aisa hoga, aisa aap nhi soch sakte.
Iske liye aap bhut door tak jaana hoga, ye aapke liye sirf ek course ek tor par nhi hona chahiye, jisko bas banaya sale kiya aur chod diya, ya aapke studetns ke liye life changing bhi sabit ho sakta hai.
Internet se ghar bathe paise kaise kmate hai ?
Zarurat hai toh sirf thoda dhyaan dene ki.
Aapko chahiye ki aap apne courses ko acche se promote kare, sign up karne me studetns ki help kare, Pehle, baad me aur beeche me sabhi questions ka answer de, live support provide karaye, course ko implant karne me help kare aur bhi bhut kuch jo aap kar sakte hai.
- Courses ke jariye aap apni audience ki business setup karne me help kar sakte ho.
- Courses se aap apni income ko increase kar sakte ho.
- Courses ek bhut bada plateform hai, jiske jariye aap apni knowledge ko bada sakte ho.
Toh ye thy kuch tips jinko apply karke aap ek accha course bana sakte ho.
Aur aapke students ko bhut kuch seekha aur unse bhut kuch seekh bhi sakte ho.
Agar aapke koi swaal ya sujaav hai toh aap humne neehe diye gaye comment box me bata sakte ho ya humse puch bhi sakte ho.
Thank you,
nice article…mera apse ek swal hai mera adsence account blogspot pe
apporoval ho gaya tha aur adds bhi show hone lage the lekin jab maine
domain lagaya aur adsence me site management ki madad se waha domain lagaya lekin abhi tak domain me adds show nhi ho rahi pure 15din ho gaye….
plz help me
Bhot hi accha jankari diya hai aapne bro nice aarticle
kya mai 10t ka maths subject aur iti ka employbility skills ka onlline course ka blog bana sakta hoo isme koi paresani to nahi aayege
Iska ager aap youtube channel banaye toh zaada accha hoga.