Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Web Designing kya hota hai

February 23, 2016 By Nikhil Arora

Hum logo me ek bohot badi kami hai, hum kaam ki baat par kabhi bhi dhyan nahi dete humara dhyan hamesha faltu ki baato me rehta hai.

Life me jis cheez par dhyan do wo bhadti hai, lekin humara jada dhyan faltu ki cheezo par hi rehta hai. Zadatar logo ko Kapil Sharma ke baare me to pata hoga lekin unhe Resume banae jaisi choti cheez bhi nahi pata hogi.

Tabhi mujhe lagta hai ki bohot se log Life me kabhi Kamyaab nahi ho pate.

Hum log hazaro rupee faltu ki cheeze jaise Movies, Entertainment, Fun me lagate hai jo ki hume kabhi kuch return nahi degi, lekin kabhi bhi ek 200-300 Rs. kisi kitab ya kuch seekhne me nahi lagate jo ki hume lakho me return de sakti hai.

Mera ye sab likhne ki wajha ye hai ki, Aap is article me Web Designing ke baare me janna cahte hai to iska matlab aapka dhyan sahi jagha par hai. Aap Internet par paisa to kamana cahte hai, lekin aapko Web design ke baare me nahi pata to aap kuch bhi nahi kama sakte. Paise ke peeche kum bhago aur gyan ke peeche jada. Jitna seekho ge utna aap kama sako ge.

Chalo koi baat nahi! Aaj me cahta hun ki aap decide karo ki din ka jitna time aap TV + Gaane ko dete hai usse 1 Ghanta jada kuch seekhne ko doge. Matlab ki agar aap 3 ghante un faltu cheezo ko dete ho aaj se aap 4 ghante kuch seekhne ko doge. Jaroori nahi ki aap web designing hi seekho, aap kuch bhi seekho jo aapka man kare. Aage ka article un logo ke liye hai jo Web Designing seekhna cahte hai.

Web Designing Kya Hai?

Jab hum kisi bhi Website ko banate hai, update karte hai, ya plan karte hai usko hum Web Designing kehte hai.

Jaise ek builder ka kaam Building banana hota hai, usi tarha ek Web Designer ka kaam website ko banana hota hai.

Web Designing ke do parts hote hai : Front End Web Design aur Back End Web Developer.

Front End Web Design:

Jaise ki naam se pata chalta hai ki Front End Web Design Front me deal karti hai, yani ki us hisse se jo ki User (Visitor) ko dikh raha hai.

Jab hum kisi bhi Website ko kholte hai to hamare saamne jo bhi bana aata hai wo sab Front End designer ka kaam hota hai.

Front End Web Designing se hamara maksad sirf website ko sundar banana hi nahi hota, web designing ke dwara hume ye bhi dhyan rahkna hota hai ki konsi cheeze kaha joode jisse ki hamri website par aapne wale visitor ko dikkat na ho.

Agar hum is ek Car se compare kare to Front End designer ka kaam Gaadi ko sundar banana hai, Gaadi ke engine se uska koi matlab nahi hai, Gaadi ke andar ki Battery Engine wo sab Back End Developer ka kaam hai.

Back End Web Developer

Web Developer website ke dimag ko banata hai, jaise ki website par agar koi Form bharega to wo kiske pass pochna cahiye, Koi ID/Password daalta hai to konsi profile khulti cahiye aisi cheezo se.

Back End Developer ka kaam visitor ko nahi dikhta, lekin development ke bina ek bhadia website nahi ban sakti.

Aage Padhe:

  1. Apni Website ki Alexa Ranking kaise badaye ?
  2. Android kya hai ?
  3. Internet.org kya hai ? 

 Web Designer banne ke liye kya seekhna padhta hai ?

Ek accha Web Designer banne ke liye Front End Web Design aur Back End Web Development dono ki jaankari honi cahiye.

Front End Design ke liye kya seekhe

Pehle hum Front End Designing se shuru karte hai.

Photoshop Basics :

Jaise hum ghar banwane se pehle architecture se Naksha banwate hai, usi tarha Website design karne se pehle huamra paas ek idea hona cahiye ki website kaisi dikhegi. Kayi log poori website ka design bohot bariki se photoshop par banante hai, lekin jo experts hai wo Photoshop ko sirf ek blueprint ya prototype banane ke liye karte hai.

HTML :

HTML ka matlab hai Hype Text Markup Language. HTML ek markup language hai jiska use Website ka structure (dhancha) banane me hota hai. HTML ek language (Bhasha) hai jo ki Code ke roop me likhi jaati hai.

HTML bohot seekhna bohot hi aasaan hai. Ek baar HTML seekh ki to aap ek simple se Static website bana sakte hai.

CSS :

CSS ka matlab ha Cascading Style Sheet. HTML hamari website ko structure dene ke kaam aati hai aur doosri aur CSS hamare HTML se bane structure ko design dene ke kaam aati hai, ye hamare design ko Style dene ke kaam aati hai.

JavaScript:

Yaha hum poori tarha se programming karna shuru kar dete hai. HTML/CSS hamari website ko bana deti hai, lekin design ko interactive banane ke liye Jiska use hota hai.

Interactive se mera matlab jaise aap Facebook par upar Friend request wale icon par click karte hai to neeche ek drop down khul jata hai. JavaScript ye detect karta hai ki User ne aapki website par kya Action kiya hai aur us action ke hisab se wo design ko badal deta hai.

Jab kisi website par upar images Ghum rahi hoti hai to JavaScript ghumata hai.

HTML aur CSS milkar ek bohot achi Static Website bana sakte hai. Agar aapne sift Photoshop, HTML aur CSS seekh lia to aap kisi IT company me Job bhi dhund sakte hai aur ek achi Website bana sakte hai.

Back End Web Development ke liye kya seekhe

HTML/CSS/JS se aap static website bana sakte hai, static website me hum database entry, Login, Register jaise features nahi bana sakte.

PHP

Waise to backend par bohot se languages chal sakti hai, lekin shuru me PHP seekhna sabse aasaan hai. PHP bohot hi powerful hai aur isse har feature perform ho sakta hai. Facebook PHP par hi banayi gayi thi.

PHP seekhna isliye bhi faydemand hai kyoki isse hum kam paiso me hi website bana sakte hai.

Isse hum WordPress par web site design karna bhi seekh sakte hai, duniya ki sabse jada website aur blogs WordPress par bane hai, to PHP seekhne se aapke liye WordPress banana asaan ho jayega.

DataBase

Jab hum Facebook par ID banate hai ya YouTube par video dekhte hai. To ye sara data jaha store hota hai use hum Data Base kehte hai. Sabse jada use hone wala Data MySQL hai. Ise seekhn ke baad apni website par logo ka data bhi store karwa sakte ho.

MySQL jaise data base me kuch bhi store karwane ke liye PHP jaise language ka use hota hai.

Kaha Shuru Kare

Bohot se log ye sawaal poochte hai, mai aaj aapko step by step batata hun ki kya karna hai.

  • HTML seekhna shuru kardo
  • Stath sath photoshop ke basic seekhlo, photoshop me bohot jada advanced jane ki jaroorat nahi hai. Basic aane cahiye.
  • Jab HTML me aapka haath chalne lag jaye to CSS seekhna shuru kardo
  • Roj HTML / CSS ka use karke kuch na kuch banano
  • HTML / CSS ko achi tarha seekhne ke baad JavaScript seekhna shuru karo
  • JavaScript ke basic jaanlo
  • Phir PHP shuru karo, aur kuch projects banakar dekho
  • WordPress par websites banana seekho
  • Ab PHP aur DataBase ko sath sath use karke koi simple sa project banao.

Itna sab karne ke baad aap ek bhadia level ke Web Designer ban jaoge. Itne skill hone ke baad aap Internet par Freelance word karke dollars me paisa kama sakte ho. Ya kisi achi company me Job ke liye apply bhi kar sakte ho.

Web Designing ek aisa skill hai jiski aane waale time mai bohot demand ho jayegi. Expert level par jaane ke liye mehnat lagaegi. Lekin mehnat se darne waalo ke liye life me sirf gareebi hi likhi hai.

Agar aapko abhi bhi Web Designing ke baare me koi question hai to neeche comment kare, aur mujhe iska jawaab bhi de ki “Kya aap Web Designing seekhna cahte hai ?”

Thank You :

Ye bhi padhe:

  1. Web Hosting kya hai ? 
  2. Blogger par Free website ya Blog kaise banate hai ?
  3. Internet se Ghar bethe paise kaise kamaye ? 

 

Filed Under: Web Design Tagged With: design, internet, Website

Comments

  1. Neeraj says

    October 30, 2015 at 4:45 pm

    Tnx for provide this….

    Reply
    • Vikas Plus says

      October 30, 2015 at 4:52 pm

      Neeraj agar aapko Web Designing dwara apne skill bhadane hai to aap hume contact kar sakte hai.

      Reply
      • Dharmaraj says

        January 30, 2016 at 10:49 am

        Ya i am interested pls mail me details on webword@india.com
        Dharmaraj

        Reply
        • Vikas Plus says

          January 30, 2016 at 2:15 pm

          Aap hume humae Facebook Group me join kar satke hai.

          Reply
      • Naimpasha makandar says

        August 17, 2016 at 7:15 am

        Ji aap ka number message kariya 9535613909 mera whatsapp numberbhi yahi he

        Reply
        • Sunny Singh says

          August 23, 2016 at 1:53 pm

          8273084169

          Reply
      • sanjay says

        November 27, 2016 at 6:35 pm

        Yes I interested my connect noa. 9654296031

        Reply
    • mohd fayyaj says

      March 27, 2016 at 7:57 pm

      Sir mare pass yeh sabh sekh ne ke liye bhi paisa nahe hai yeh sabh hum internet per bhi sekh sakte hai sir pls just fast reaply ek bat our yeh sabh mai karna chata hou lekiin paisa nahe hone ki wajah sayad nahe kar pao our yeh sab mane padha pls sir koi aasan tarika batato ki mai ghar bhathe yeh sabh sekh saku filhal to mai bike maqenic ka kam sekh raha hou pls sir ese padh jarour lena

      Reply
      • Sunny Singh says

        March 28, 2016 at 10:25 am

        Aap iske liye humare Facebook Group me jakar web designing related post ko follow karke us par bataye gaye processor ko follow kar sakte hai.

        Reply
        • RAJ KUMAR DIWAKAR says

          July 18, 2016 at 9:36 am

          i m Raj web designing sikhna hai

          Reply
    • Pradum chauhan says

      April 19, 2016 at 4:41 pm

      Bhai html code kha se laye

      Reply
  2. Neeraj says

    October 30, 2015 at 5:12 pm

    Bahut achha blog hai bro..

    Reply
    • Sourav says

      June 11, 2016 at 10:14 pm

      Sir m bhi is corss ko karna chata hu
      Sir mujhy y corss acha laga
      Many isk bary m sab khuc pad liya h too sir m jana chata hu ki is m kitna paisa lagjaiga

      Reply
      • Sunny Singh says

        June 13, 2016 at 10:54 am

        Agar aapme sikhne ka janoon hai toh aap youtube par bhi online tutorial dekh kar bhi free me sikh sakte hai.

        Reply
  3. Neeraj says

    October 30, 2015 at 5:13 pm

    Nice blog

    Reply
  4. bhagirath says

    November 10, 2015 at 10:05 pm

    aap wap desing video dara bata sak te he ye mera gmail id he use par
    bhagirathp45@gmail.com

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 14, 2015 at 7:32 pm

      Hume web designing ka ek course plan kar rahe hai. Aap jaada jaankari ke liye mujhe Facebook par chat kare.

      Reply
      • ankita says

        April 9, 2016 at 11:35 pm

        Sir app bohot Acha kam karte ho

        Reply
        • Sunny Singh says

          April 11, 2016 at 10:42 am

          Thanks ankita
          and keep following vikas plus

          Reply
          • Kiran chauhan says

            November 13, 2016 at 8:25 pm

            helo sir

  5. Neetu says

    November 12, 2015 at 11:40 am

    Muje Internet ki help se web designer banna hain..aur muje sirf basic computer ka knowledge hai.. blogger pe website bnaani hai apki taraah kisi ke blog pe atrical pad ke……Thanks..

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 14, 2015 at 7:26 pm

      Hum Webdesigning sikhane ke liye ek course plan kar rahe hai. Agar aap us course ka hissa banna cahte hai to hume Facebook par message kare..

      Reply
    • Raghav says

      December 19, 2015 at 4:07 pm

      Hello Neetu Mujhe Web designing and Developing aati hai main sikha sakta hoon.. yahan se mujhe contact karo- Mobance.com

      Reply
      • Vikas Plus says

        December 24, 2015 at 11:51 am

        Vikas plus Facebook group mai post karo, waha aapko bohot saare students mil sakte hai.

        Reply
      • nicky kumar says

        July 20, 2016 at 4:59 pm

        Only php site design krwane h

        Reply
        • Sunny Singh says

          July 21, 2016 at 10:33 am

          Toh aap humse Facebook Group me sampark kijiye, yaha hum aapse Php se related sabhi parkar ki baat kar sakte hai.

          Reply
  6. bhagirath says

    November 16, 2015 at 9:59 am

    aap ka fb id kya he

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 16, 2015 at 11:23 am

      Meri FB ID https://www.facebook.com/vikas.plus.7

      Reply
  7. maulik says

    November 19, 2015 at 4:01 pm

    Isse blogger per acount bana sakte hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 19, 2015 at 9:29 pm

      Agar aap website apni pasand ki achi website ya blog cahte hai to aapko web desiging seekhni padegi, ya phir kisi web designer se website banwani padegi. Hum web designing ke baare mai bhi sikhate hai apni private online coaching mai, agar aap iska hissa banna cahte hai to hum facebook par message kare. Agar aap simple ek blog banana cahte hai to yaha click kare.

      Reply
  8. amit yogi says

    November 25, 2015 at 2:03 pm

    yes I wana learning web designing of top lavel

    Reply
  9. amit yogi says

    November 25, 2015 at 2:24 pm

    kitane time ka eska deploma hoga

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 25, 2015 at 8:24 pm

      Web designing ka koi diploma nahi hai hamare paas, ye to sirf ek skill hai. Diploma ki koi jaroorat nahi hai.

      Reply
  10. amit yogi says

    November 25, 2015 at 2:25 pm

    aur kitane tyme main hum badhiya level ki web designer ban skte hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 25, 2015 at 8:25 pm

      Agar aapne achi tarha mehnat kari to aap 3 – 6 mahine ke ander ander webdesigner ban sakte hai. Aur earning bhi shuru kar sakte hai.

      Reply
  11. AkshayBaisla says

    November 26, 2015 at 1:58 pm

    Very Good jankare

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 26, 2015 at 2:03 pm

      Dhynawaad
      Is Article ko padne ke liye, Agar aapke pass koi sujaav jo jisse ki hum apne aane wale Articles ko aur Bedtar bana toh hume zaroor bataye.

      Reply
  12. Amrendra kumar sah says

    December 6, 2015 at 2:15 pm

    Samajh me nahi aya

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 8, 2015 at 10:26 pm

      Kya baat samajh mai nahi aayi. Mujhe bataye mai phir use improve karne ki koshish karuga.

      Reply
  13. ashish dwivedi says

    December 17, 2015 at 12:04 pm

    website ban jane ke baad usse earning kaise hogi kya site me traffic aane par paise milte hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 24, 2015 at 11:48 am

      Website ban jaane ke baad Google Adsense dwara ya phi affiliate marketing dwara earning ki jaati hai.

      Reply
  14. vaibhav ugale says

    December 20, 2015 at 12:20 pm

    Mene photoshop aur webdesign ka course lagaya hain esase fyda hoga
    Mene koi bhi html css in sabke bare me kuch nahi janta to direct web design karne se kya hoga

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 24, 2015 at 11:40 am

      Haam pehele photoshop se hi shuru karna cahiye. Mai bhi online web desiging sikhata hun, Vikasplus.com ko maine hi design kiya hai. Agar aap seekhna cahte hai to mujeh Facebook par contact kare (Vikasplus7 facebook id). Thank you.

      Reply
  15. sumit kumar says

    December 24, 2015 at 1:53 pm

    Kya bai koi ese site nhi h kya jesse hm onlion web desiging sek ske
    Agr ho bai to plzz btaeye

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 24, 2015 at 5:43 pm

      Aap mujhe Facebook par personal message karo. Mai khud web designing sikhata hun. Aapko add karluga. (Facebook id vikasplus7 hai)

      Reply
  16. Srinath Kumar says

    December 24, 2015 at 5:49 pm

    Nice
    I’ll do this.

    Reply
  17. ashutosh singh says

    December 27, 2015 at 10:52 pm

    maine ek blog banaya hai usper traffik ek bhi nahi aaraha hai maine sub submit kar diya hai google bing me sitemap bhi dale hai roboto.txt bhi enable kar diya hai lakin jab maine alexa rank apne blog me lagaya to no data aise aaraha hai plz help bhai badi paresan hu bada mehnat kiya hai bhai

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 20, 2016 at 1:18 pm

      Abhi aapka Blog open nhi ho raha hai toh hum abhi kuch nhi bata sakte hai.

      Reply
  18. Mukesh Sharma says

    December 28, 2015 at 6:42 pm

    Hello mera name Mukesh hai aur mujhe Web design me. Interest hai main HTML Me basic knowledge rakhta hoo aur main ek kusal web developer banana chahata ho kya aap meri madad kar sakte hai ki main kya karo aur kaha se. Main (up ke Gorakhpur ) ka rahane wala ho …

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 19, 2016 at 11:40 am

      Ok Jaisa ki aapne btaya ki aap ek kusal web developer banana chahte hai toh aap humse apni profile ke sath humare Facebook Group par sampark kar skate hai.

      Reply
  19. yuvraj says

    December 29, 2015 at 10:37 pm

    Mujhe esi side bna ni h ye kese bnai gyi h iski jnkri mil akti h kya
    http://www.jatfun.tk
    Plz

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 19, 2016 at 11:51 am

      Aapne isse bhi behtar site bana sakte hai. jiske liye aapko web designing seekhni padegi
      aur iske liye aap humse humare Facebook Group me sampark kar sakte hai.

      Reply
  20. krishna says

    January 1, 2016 at 4:32 pm

    thankyou sir itni jankari dene ke liye

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 4, 2016 at 11:27 am

      Your welcome Krishna
      Aagr aapko is article se kuch help mili ho toh aap apne friends ke sath is article ko share kar sakte hai. jisse ki unko bhi is article se benefit ho sake.

      Reply
  21. Himanshu Gaur says

    January 7, 2016 at 2:37 pm

    Bro ek baat bataiye ki hum apne blog ke liye picture kaha se download kare.

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 19, 2016 at 11:26 am

      Aap apne blog ke liye bhut si site se picture download kar sakte hai.
      Hum apni website ke liye pixcel.com se hi pictuer download karte hai.

      Reply
  22. Arya says

    January 11, 2016 at 5:15 pm

    Hii bro
    Main apne Android phone ka #Mac_Address change karna chahta hu
    Kaise hoga plz tell me

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 19, 2016 at 2:57 pm

      Android phones me #Mac_Address change nhi hota hai.

      Reply
  23. sunset Kumar says

    January 13, 2016 at 7:17 pm

    Web Designing Shikhne me kitana kharch aayega aur time kitna lagega aur ye bhi btaye ki alag alag sare course ko sikhe to acha hoga ki nahi thanks

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 19, 2016 at 11:10 am

      Web Designing se sambandit kisi bhi jaankri ke liye aapni profile ke sath hume Facebook Group me sampark kare.

      Reply
  24. bhupal bhakuni says

    January 16, 2016 at 2:32 pm

    sir me wap designing sikhna chahta hu

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 19, 2016 at 11:08 am

      Web Designing seekhne ke liye aap Humse apni profile ke sath humare Faceook Group me sampark kar sakte hai.

      Reply
  25. Tarannum says

    January 23, 2016 at 10:45 pm

    web designing me kya koi future h???

    plz rply

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 25, 2016 at 11:06 am

      Ji ha bilkul web Designing ka bhut bright future hai, Lekin depend karta hai ki aapko isme kitna interest hai, agar aap creative hai toh aap definitely hi bhut acche web designer ban sakte hai aur acchi earning bhi kar sakte hai.
      Mai khud ek web designer hu aur agar aapko web designing seekhne ke baare me kuch puchna hai toh aap humare Facebook Group me puch sakti hai.

      Reply
  26. shashi baghel says

    January 24, 2016 at 12:41 pm

    me c++course karna chahati hoo mujhe puri jankari de ki eske liye kya kena hoga kitni education ki jarurat hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 25, 2016 at 11:41 am

      c++ toh aap youtube se bhi seekh sakti hai iske liye koi proper education ki toh koi zarurat nhi hoti ya phir aap apne city ke kisi bhi acche institute se bhi seekh sakti hai.

      Reply
  27. shashi baghel says

    January 24, 2016 at 12:44 pm

    plz reply answer mai kuchh krna chahati hoo

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 25, 2016 at 10:51 am

      Aap ye bataiye ki aap kis field me job karna chahti hai, jaisa ki aapne bataya ki aapne nurse helper ka course kiya hai toh aap Hospitals me resume daal sakte hai, jisse aapko requirement ke according job mil sakti hai.

      Reply
  28. shashi baghel U.P ETAH says

    January 24, 2016 at 1:04 pm

    mene nurse helper ka bhi course kiya me achhi job krna chahati hoo

    Reply
  29. jafor iqubal says

    January 26, 2016 at 7:31 pm

    yea mary leya bohot bora helpfull ha
    thank you

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 27, 2016 at 10:33 am

      Thank you jafor
      Agar aapko is article se help mili hai toh aap is article ko apne friends ke sath share bhi kar sakte ho.

      Reply
      • Syash Mishra says

        March 21, 2016 at 2:19 am

        Hi sir,
        Meri personal website hai.
        Usko badiya dang se kaise publishing karun….?
        Syashmishra.hack.in
        Syashmishra.wapka.me

        Reply
        • Sunny Singh says

          March 21, 2016 at 1:49 pm

          Aap isko normal tarike se publish kar sakte hai aur sath sath apne article facebook, instagram, linkdin etc aur bhi bhut se social media platform par bhi publish kar sakte ho jisse ki zaada se zaada logo ko apki website ke baare me pata chalega aur aapki website ka traffic increase hoga.

          Reply
      • Balendra mishra says

        December 10, 2016 at 7:32 pm

        Sir mine IT branch se BE keya Hi mughe web design and web development sekhna hi iske leye hame kya karna hoga aur sekhne me ketna time lagega aur ketna kharcha ayega plz tell me sir

        Reply
  30. Nafees says

    February 6, 2016 at 9:24 pm

    Sir html/css kaha se sikhe kya iska cours hota hai
    aur sir mai blog bnana chahta hu to
    sir problem ye hai ki paytm mobikwik ka promocod kaha se laye
    jaise aur bloger hai
    vo post karte hai to
    akhir vo kaha se pata karte plz help me sir

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 16, 2016 at 12:30 pm

      Blogger par Website/Blog kaise banate hai ?
      Humara ye article aapki bhut help kar sakte hai.
      thank you

      Reply
  31. sanchita jain says

    February 9, 2016 at 8:29 pm

    Sir Mene Html Me Ek File banayi Notepad Me Uski Coding Likhi But bo Coding Hindi Me Hai Jab Hindi Me likhl Lo Usko Run Karo Tho output He Nhi Aa Raha Bo Hindi ko Suppport Nhi Kar Raha Aap Bata Sakte Ho Kya Karu

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 20, 2016 at 2:50 pm

      kya aapne uper metaset daala hua hai ? utf ‘8’ etc

      Reply
  32. sanchita jain says

    February 11, 2016 at 1:00 pm

    Hello sir Me Notpad Par Hindi Font Ka Kaise use Karu

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 15, 2016 at 12:29 pm

      Aap formet option ke dropdown me jaakr font change kar sakti hai aur usme kruti dev 010 select karke Hindi typing kar sakti hai.

      Reply
  33. guddu aman says

    February 12, 2016 at 8:11 pm

    bahut achha kaam kiye hai aap sir.
    mujhe bahut achha laga.
    aap logo ko bahut achhi jankariya dete ho..
    very nice.
    allah aapko hamesha khush rakhe.

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 15, 2016 at 11:06 am

      Thank you guddu .
      Aapka motivation hi hume different type ke article likhne ke liye hoshla deta hai.

      Reply
  34. rinku pathak says

    February 13, 2016 at 10:17 am

    Me sekhna chahta hu
    But kaise ye smjh me nahi aa ra
    Me self sekh skta hu kya kisi book se
    To please un books ke name suggest kijiye meri mail id pe thank you

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 15, 2016 at 10:54 am

      Ji ha bilkul aap self bhi seekh sakte hai aur books se bhi, aap youtube se tutorial, aur related website se bhi bhut kuch seekh sakte hai. Books ke naam se liye Book Download karne ki best websites par click kijiye.

      Reply
  35. BhaRatvarSh says

    March 2, 2016 at 10:07 am

    laptop aur computer mein Kaun most powerful hota hain.
    Plz. reply

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 2, 2016 at 11:33 am

      Depend karta hai ki aap kya kaam karte hai. Agar aapki field ka work hai toh aapke liye laptop best hai aur Agar zaada tar offcial work hai toh aap apne liye ek desktop le sakte hai. waise meri advice yahi hai ki aap Laptop zaada use kare. Isse zaada jaankari ke liye aap humara Show bhi dekh sakte hai.
      #Askvikasshow

      Reply
  36. ravi singh says

    March 2, 2016 at 11:57 am

    jab hum website banate samya kya kya dhayan rhakhna chiye

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 3, 2016 at 1:48 pm

      Website ka Title, content aur uska design . Kyuki yahi kuch cheeze hai jo aapki website ko accha banati hai. waise is baare me vistar me jaane ke liye aap humare #askvikasshow ko bhi follow kar skate hai . usme humne aapka ye swaal add kar liya hai zaldi hi hum uska jawab apne show me dege.

      Reply
  37. kamal says

    March 12, 2016 at 2:07 pm

    php language mein basic kaise sikhe

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 19, 2016 at 10:29 am

      Hum jald hi Php ka basic course launch karne wale hai kripya aap humse humare Facebook Group me sampark kar sakte hai.

      Reply
  38. Asif Shehzad Saeed says

    March 12, 2016 at 10:47 pm

    Sir I m From Pakistan . mey nay ye pochna hay k kia html ,css, java script aor php k bagher koi tareqa nahe hay k q k ye to bhot purani technique hay aj k age me to koi simple way nahe hay kia ? muj ko ye bhot mushkil lagta hay

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 17, 2016 at 10:40 am

      Mere Khyaal se asif itna bhi muskil nhi hai, bas thodi dedication aur hard work ki zarurat hai. kyuki ye shuru me hi hard lagti hai lekin jab aa jaati hai toh bhut hi simple hai.
      Toh mera suggestion ye hai ki aapko css etc seekhne ki kosis karte rahna chahiye.
      Thank you

      Reply
  39. vishal Biray says

    March 13, 2016 at 11:22 am

    Y plzzzz btaaa sktae ho ke post ko categories wise kaisae kartae hai..

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 28, 2016 at 10:28 am

      Pehle toh aap ye bataye ki aap platform use kon sa kar rahe hai.

      Reply
  40. pawan singh says

    March 25, 2016 at 7:28 pm

    nice bro m ap ko ak bat puchu ke waddesin kay lay ko sa softwer kam m laya jata h bro

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 26, 2016 at 10:52 am

      waise toh bhut saare software lekin hum zaadatar Bracket use karte hai.

      Reply
  41. sanjay says

    April 10, 2016 at 12:44 am

    Sir, sabse pahle hindi me jankari dene ke liye bahut bahut thanks sir, please web design shikhne ki shuruwat ghar par kar sake to step by sept HTML CSS etc ki jankari batane ka kashat kare

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 11, 2016 at 10:41 am

      Sabse pehle toh aapka dhanywaad aapke liye humne ek naya group web designing ke liye banaya hai jiske dwara hum aap logo ko web designing se related apna basic ko course teach karege.
      Toh iske liye zaada jaankari aap hume facebook group me puch sakte hai.

      Reply
  42. yash saifi says

    April 14, 2016 at 12:22 pm

    drop down menu ki stylesheet kese banate hai

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 16, 2016 at 11:07 am

      Iske liye toh aapko java script aani chahiye.

      Reply
  43. dimpi soni says

    April 16, 2016 at 5:15 pm

    agr me ye karna cahti hu to mje kya subject lena hoge

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 18, 2016 at 10:38 am

      Subject ki koi requirement nhi hoti hai, bas aapko math ki acchi samj honi chaiye, baaki app internet ke jariye pata kar sakte hai.

      Reply
  44. SAURAV JAIN says

    April 17, 2016 at 7:59 pm

    mujhe expert level ka
    ‘web designer’ ban na h.

    Reply
  45. Pradum chauhan says

    April 19, 2016 at 4:43 pm

    bhai html code kha se laye

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 5, 2016 at 2:15 pm

      Blogger me HTML Code kaise Add karte hai ?

      Reply
  46. kush sharma says

    April 28, 2016 at 11:29 am

    sir web design sikhne ke liye kya chaiye mtlb 10pass ya 12 pass
    plze rlp fast??

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 28, 2016 at 1:52 pm

      kam se kam 12 lekin iske sath aapko computer ki acchi knowledge honi chahiye.

      Reply
  47. Ashutosh Saini says

    April 30, 2016 at 7:15 am

    Kya isko krne se gov job mil skti h

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 2, 2016 at 12:06 pm

      Ji ha bikul acche web designer ki toh aaj kal bhut demand hai.

      Reply
  48. Mahesh kumar kushwaha says

    May 6, 2016 at 11:54 am

    Sir aap ki jankari hame bhut achhi lagi sir mujhe sab much shikhna h HTML, PHP JavaScript mail kitane Dino me shikh skate h

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 7, 2016 at 11:20 am

      ye toh aap ki khud ki protantional par depend karta hai waise agar aapka dimaag tez hai aur aap dedicated hai toh zald hi aap sab kuch seekh sakte hai.

      Reply
  49. Best Web designing services in hyderabad says

    May 11, 2016 at 5:11 pm

    Helpful post.Thank you so much for such a wonderful post

    Reply
  50. Mohd sahaban says

    May 12, 2016 at 8:58 pm

    Sir wpa aur wps wifi password ko kaisn hack kare please iske bare koi article likho plz

    Reply
  51. vibha says

    May 13, 2016 at 12:23 pm

    Hallo sir aap ki facebook ID kiya hai sir mujhe sab much shikhna h HTML, PHP JavaScript mail kitane Dino me shikh skate h

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 13, 2016 at 1:48 pm

      Aap humse Vikasplus group sampark kar sakti hai.

      Reply
  52. Rashid ansari says

    May 15, 2016 at 10:49 am

    hello sir plz check my blog

    Reply
  53. Rashid ansari says

    May 15, 2016 at 10:58 am

    cpm kya hota hai

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 16, 2016 at 10:54 am

      adsense ki technical jaakari

      Reply
  54. kaminee thakur says

    May 26, 2016 at 3:15 pm

    Very very helpful post. Sir, I am also interested to learn web designing. What should I do.?

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 26, 2016 at 5:57 pm

      Watching youtube tutorials and learn web designing.

      Reply
  55. tarkeshwar says

    May 27, 2016 at 9:31 pm

    PHP WAPSITE KAISE BANAYE BATAIYE PLESH

    Reply
  56. amjad says

    May 31, 2016 at 3:43 pm

    sir i have done MBA i want to do web designing .can i do and earn money ..

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 1, 2016 at 10:40 am

      Yes, If you are a good web designer you will earn more money than any other profession

      Reply
  57. sahil kumar says

    June 5, 2016 at 5:43 pm

    4g ka asli matlab kay hota h

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 6, 2016 at 10:30 am

      4G ( Fourth Generation )
      3G aur 4G Networks kya hai?

      Reply
  58. K. D. REDDY says

    June 13, 2016 at 11:44 pm

    Thank you sir or any articles bolo Sir plz

    Reply
  59. chiku says

    June 15, 2016 at 10:04 am

    sir ye course krne k baad kitne paise kama skte hai mahine k plz tell me

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 15, 2016 at 11:38 am

      Ye aap par depend karta hai ki aap kitne acche web designer bante hai jitne acche aap web designer banege, utne zaada hi aap paise kama sakte hai.

      Reply
  60. rajkumar lilhare says

    June 24, 2016 at 6:58 am

    Sir jaise aapki website hai vikash+.com vaise hi muze bhi apni site bana hai to pahle kya karna hoga plz Reply me sir

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 24, 2016 at 2:51 pm

      Iske liye sabse pehle aapko hosting aur domain karidni padegi, phir website design karni hogi.

      Reply
  61. Shyam naag says

    June 24, 2016 at 1:19 pm

    Sir
    Kya laptop me blog k sare kam honge?

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 24, 2016 at 2:44 pm

      Ji ha

      Reply
  62. rajkumar lilhare says

    June 25, 2016 at 1:54 pm

    Sir hosting aur domain ke liye kitna paisa investment karna padega

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 25, 2016 at 2:49 pm

      WordPress Website ke liye Best Hosting services
      iske ander humne kuch offer diye hue hai aap unko try kar sakte ho. waise alag alag companies ke plan different hai.

      Reply
  63. monika rathore says

    June 29, 2016 at 2:51 pm

    Sir Good morning,
    sir muje web par work karna bhot acha lgta hai.. muje Web Designing corse karna hai.. is corse ke ly koi acha coching center ya College batay. or is corse ko krne ke ly kitni fees hoti hai.
    muje life me kuch alg krna hai……
    sir plz help me…..

    Reply
    • Sunny Singh says

      July 3, 2016 at 9:54 am

      web designing ke institute ya college metro cities me aapko zaada mil jaayge. Jaise ki delhi, chandigarh, mumbai etc aur inki fees bhi alag alag hoti hai kyuki ye courses bhi bhut baago me divide hota hai. jaise php, photshop, css etc toh iski fees bhi alag alag hoti hai.
      Agar aap isko karna chahte hai toh aapko poore mann se isko krna hoga.
      Best of Luck

      Reply
      • monika rathore says

        July 4, 2016 at 2:58 pm

        Thank you sir……

        Reply
  64. Sajid khan says

    July 14, 2016 at 7:39 am

    Sir, Web Designing ke proffesnol course with certificate me something kitne paiso ka kharcha aata h…
    Plz ek idea bta do, taki m eske liye soch saku

    Reply
    • Sunny Singh says

      July 14, 2016 at 2:58 pm

      Waise toh aap online hi seekh sakte ho kyuki waha aapko zaada variety milti hai, jo ki aapko offline me nhi milti.
      Baaki aapki samj hai, isme lagbhag 50000-70000 tak ka kharcha aa hi jaata hai kisi bhi acche institute se karne me.

      Reply
  65. Govinda says

    July 27, 2016 at 7:48 pm

    Sir, pahle to m apko thanks kahunga ap bahut acha kam Kar rahe ho aur muje Web designing sikhani h…

    Reply
  66. Govinda says

    July 27, 2016 at 7:56 pm

    Sir, muje y course karana h lekin m ek gaon ka ladka Hu muje English ati h lekin utani jyada nahi aur apke fb group ka nam kya h

    Reply
    • MISS AMMY says

      August 1, 2016 at 5:44 pm

      HEY
      same here but aap agar internet use krte ho agar apke apke paas android mobile/PC hai to aap english wala information copy krlo and google translate me apni man pasand bhasha me convert krlo
      😀 mai bhi aisa hi krti hu

      Reply
  67. Govinda says

    July 27, 2016 at 7:57 pm

    Rply plz

    Reply
    • Sunny Singh says

      July 28, 2016 at 10:44 am

      Facebook Group aap is link par click karke humre group se jud sakte hai.

      Reply
  68. sana says

    July 30, 2016 at 1:09 pm

    sir mujhe aap ke sumjhane ka tarika bohot accha laga .you are motivating the beginners.sir mujhe ye Sab online seekhna hai to kya karna padega .thank you .

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 2, 2016 at 11:30 am

      Sabse pehle toh aapki english iske liye acchi hona zaruri hai, iske baad aap youtube par tutorial ya phir isse related blog padhkar bhi seekh sakte hai.

      Reply
  69. chandreshwar says

    July 31, 2016 at 9:59 pm

    awesome post sir……
    me b web Desingner bnna chahta hoon
    …..
    .or iske liye me traning b le rhaaaa hooon muje web Desing me bahut intrst haiiiiii…………..

    Reply
  70. MISS AMMY says

    August 1, 2016 at 5:38 pm

    well ye computer ke aise topics ko hate krti thi mere parents kehte the k sikhlo ye sab but i ignore them but apki post padh ke mujhe bhi aisa lagne laga hai k mujhe bhi ye sikhna chaiye 🙂
    YESS MUJHE BHI WEB DESIGNING SEEKHNA HAI
    or itna to mujhe pata hai k agar mujhe free me sikhna hai to mai ye sb net pe hi sikh sakti hu
    mujhe diploma ki ya other classes ki zaroorat bhi nahi padegi agar mai ise dil se kru to 😀
    AAPKO GOD HAMESHA ACCHA RAKHE AAP BHT HELP KRTE HO HUM JESO KI
    REALLY 😀
    MY BEST WISHES WITH UH ALWAYS 😀

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 2, 2016 at 10:44 am

      Your most welcome Ammy.

      Reply
  71. kamal says

    August 1, 2016 at 7:47 pm

    I am interested to learn web designing
    ager aapka koi institute hain toh kya main vha aaker web designing k bare main or Jaan skta hu jisse mera interest or bade…….
    Thank you reply as well as possible

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 2, 2016 at 11:35 am

      Humara koi institute nhi hai, ha ager aap web designing seekhna chahte hai toh humse humara facebook group me jud kar seekh sakte hai, lekin ek baat mai aapko pehle bata du ki ye jo course hoga, wo paid course hoga.

      Reply
  72. Ajeem ahmad says

    August 10, 2016 at 12:11 pm

    Sir mujsa HTML and JAVE SCRIPT AATI HA
    Please sir muja c s s ka bare ma bato
    Main web digging karna chata hu

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 9, 2016 at 11:47 am

      Toh aap kisi bhi acche institute ya phir online tutorial dekh kar web designing seekh sakte hai.

      Reply
  73. devendra rajak says

    August 14, 2016 at 6:09 pm

    sir main web designing sikhna chahta hu. Kiya aap mujhe web designi sikhaoge

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 16, 2016 at 10:48 am

      Ji ha hum seekha sakte hai, lekin iske liye kuch charge lagega.

      Reply
      • Varun Gupta says

        October 5, 2016 at 12:48 pm

        Sir can you please help me…. Kitna charges honge?

        Reply
        • Sunny Singh says

          October 6, 2016 at 10:58 am

          Vikasplus.com/media
          Aap is site par jkar plan aur baaki details dekh sakte ho.

          Reply
  74. ajay sain says

    August 17, 2016 at 11:34 am

    ky iski koi book milti h agr
    milti h to kha kis naam se plz tell me

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 17, 2016 at 1:26 pm

      Ji ha iski book milti hai java script, HTML basic aur advanced, PhP etc book market me avaliable hai aur iske liye aap online tutorial bhi dekh sakte hai.

      Reply
  75. Syed saim khan says

    August 18, 2016 at 8:59 am

    sir mai apka student banna chahta hu plz facebook id bataye ya ap add kare
    fb id— smartjob@india.com

    Reply
  76. Manish Warekar says

    August 28, 2016 at 9:06 pm

    sir ji web designing 12th kebad kr skte hai kya pls btao sirji my whts aap numb.9921613721

    Reply
  77. Manish Warekar says

    August 28, 2016 at 9:08 pm

    sirji web designing 12th ke bad kr skte h kya

    Reply
  78. Manish Warekar says

    August 28, 2016 at 9:11 pm

    muje bhi krna h sir web designing lekin 12th ke bad kr skte h kya pls btao sir my whts aap numb.
    9921613721

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 29, 2016 at 10:54 am

      Ji ha aap 12th ke baad website designing ka course kar sakte hai.

      Reply
  79. Nilesh sahu says

    August 31, 2016 at 11:34 am

    hyy
    sir m. krna chata hu
    give me your contact num.

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 31, 2016 at 2:52 pm

      Aap is number par hume whatsapp msg kar sakte hai. 8273084169

      Reply
  80. Bhupender kashyap says

    September 4, 2016 at 4:08 pm

    sir kya me core php dwara bnayi gyi site ko free webhosting or free domain name me add kr skta hu agar kr skta hu to kese kru smajh me ne ara kuch plz help me

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 6, 2016 at 1:18 pm

      Nhi kar sakte .

      Reply
  81. pawan raj rajput says

    September 5, 2016 at 11:56 pm

    wap desining ke liye mujhe kya karna padega mujhe addob photo shope , pagemakar , HTML ye sab to yaad he. hmm pehle HTML me pura code lenguage likhenge fir use save karne par .html se save karenge or internet exploral me dekh sakte he par mujhe java script nahi aati he

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 6, 2016 at 10:12 am

      Agar aapko javascript nhi aati toh bhi aap ek acchi website toh bana hi sakte hai, lekin wo website primary banegi, aaj ki tarh se nhi banegi, jaise ki aaj kal pop ups, dropdown etc features aate hai.

      Reply
  82. Mr. Rakesh chauhan says

    September 10, 2016 at 10:34 am

    sir aap se baat karna hai sar plz aap apne no. se 7080931396 par mised call kijiye sir aap ki bahut kripa hogi ya to sir aap apna whatsapp no. rakesschauhan15072001@gmail.com par bhej dijiye

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 10, 2016 at 12:21 pm

      8273084169

      Reply
  83. dinesh says

    September 10, 2016 at 11:03 am

    sir. ye jo aapne web desgine ke bare batya hai kya isko sikhne ki koi hindi mai e-book mil jayegai kya..thanks you.

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 10, 2016 at 12:19 pm

      Web designing seekhne ke liye market me bhut si books available hai, ya phir aap youtube par online tutorial dekh kar bhi seekh sakte ho.

      Reply
  84. Abu salba says

    September 10, 2016 at 3:34 pm

    Sir MuMujhe html aur css sikhna hai java scrip bhi kaise sikhen koi online ya offline site ho to bbtao please

    8604392014 a hamra whatsapp number hai
    Please isi per bta denge

    Reply
  85. sujeet kumar says

    September 16, 2016 at 7:36 pm

    mai sujeet kumar hu mera engliah bahut kAmjor hai to kya mai web designing sikh sakta hoo

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 17, 2016 at 11:11 am

      Ha seekh sakte hai, lekin iske liye kam se kam aap jo spellings likhte hai, wo aapko yaad honi chahiye, kyuki is choti choti spellings ka web designing me bhut fark padta hai.

      Reply
  86. naresh detruja says

    September 16, 2016 at 10:52 pm

    Bro awesome information diya hai aapne nice aarticle

    Reply
  87. syed aquib says

    September 29, 2016 at 5:03 pm

    DMain ek 9th pass hoon meri age 21 years hain Aur mujhe english thodi thodi ati lekin roman achi ati hain to kya main ye web design aur web devepper ban skata hoon computer ka thoda bhot nowledge hain plz reply me kya main ye kar sakta hoon

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 30, 2016 at 2:12 pm

      Ban toh aap sakte ho, lekin iske liye aapko kaafi mehnat karne ki zarurat padegi.

      Reply
  88. Ajay Kumar says

    October 2, 2016 at 8:14 pm

    sar me computer ka Adca course kar raha hu…mughe a to z website disising sikhna hai…..kya kre
    aap madad kare pls

    Reply
    • Sunny Singh says

      October 6, 2016 at 12:32 pm

      Aap online blogging ke jariye ya phir youtube par online tutorial dekh kar seekh sakte hai. Aur apne doubts neeche diye jaane wale comment me likhkar unke jawab pa sakte hai.

      Reply
  89. ankit says

    October 22, 2016 at 3:01 pm

    Mera ek blog h usme m adsence create kRNA chahta hu Lenin ho hi nhi RHA h aap kr skte ho kya m Id bta dunga please

    Reply
    • Sunny Singh says

      October 22, 2016 at 3:26 pm

      Iske liye aap humari adsense series ko padh sakte hai.

      Reply
  90. Bavinder kaur says

    October 25, 2016 at 1:04 pm

    Hello sir, sir mene web designs ke bare me pda muje kafi interesting lag.Sir kiya me ghar pe hi phone pe sikh sakti hu please sir reply

    Reply
    • Sunny Singh says

      October 26, 2016 at 12:07 pm

      Nhi iske liye aapko kisi acche teacher ki zarurat padegi, ya phir aap online youtube tutorial dekh kar bhi seekh sakti hai.

      Reply
  91. Dinesh Nath says

    November 4, 2016 at 7:21 pm

    thank you sir.
    web Designing ki jankari dene Ke liye. ye mujhe bahut acha laga. sir mujhe shikhana h..
    sir mujhe bhi aapka student banana h.. mujhe aapna fb I’d mera gmail PR sent kr do plz
    mera gmail I’d h…
    dineshgoswami1292@gmail.com

    Reply
    • Sunny Singh says

      November 5, 2016 at 11:46 am

      AGar aap humse judna chahte hai toh aap hume facebook group me join karke humse jud sakte hai, waha hum aapko thoda detail me batane ki kosis karege.

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2023 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact