Internet par jadatar cheeze English me likhi hui hai, mai to kahuga ki agar aapko achi english aati ho to Internet par aapke liye bohot se raaste khul jayege. Hum internet se bhi English seekh sakte hai, lekin internet ko chalane ke liye hum thodi bohot English ani cahiye.
Internet ka istimall karne ke liye hum hindi se english mai anuvaad kar sakte hai. Agar aap kisi English jaane wale vyakti se chat kar rahe hai to bhi aap Hindi se English me anuvaad karke uski baat jaan sakte hai. Aur yaad rakiye ye sirf shuruvat ke liye hai, internet ka poora upyog karne ke liye hume achi english seekhni hi hogi. Lekin anuvaad karke hun shuruvat kar sakte hai.
Is article me mai aapko Hindi to English translate (anuvaad) karna sikhauga.
Aage Padhe:
Hindi to English anuvaad kaise kare?
Anuvaad karne ke liye sabse pehle translate.google.com par jaye, ye Google walo ki ek website hai jahar par aap kisi bhi bhasha ko kisi bhi bhasha me translate (anuvaad) kar sakte hai. Aur ye google walo dwara banai gayi service hai to aap ispar bharosa kar sakte hai.
Ab website kholte hai aapke saamne do box bane aa jayege. Pehle box me hum wo bhasha daalege jiska hume anuvaad karna hai aur doosre box me anuvaad ki hui bhasha ka result hume mil jayega.
Maan lijiye hume Hindi ka English me anuvaad karna hai. To hum pehle box me upar chote arrow par click karke Hindi bhasha select karege.
Aur doorse box me jis bhasha me hume result cahiye use select karege.
Hum jo bhi pehle box me Hindi me likhege uska anuwaad hume english me doosre box me mil jayega.
Agar aapko computer me Hindi likhni nahi aati to iski bhi aapko koi dikkat nahi hogi, google ne apne translator mai iska bhi tarika de rakha hai.
Aap English me hi Hindi (yahi Hinglish) me hi type kar sakte hai. Aur google apne aap samajh lega ki aapne kya type kara hai.
Doosra tarika hai ki neeche diye gaye Input Method par click kare. Ab aap jo bhi Hinglish me type karege, Google apne aap apke shabdo ko Hindi me convert kar dega. Aur doosre box me aapko anuvaad kiya hua vakye(sentense) mil jayega.
Agar aap anuvaad kiya hua vakye sunna cahte hai to aap neeche bane speaker box par click karke sun sakte hai.
Aap koi vakye English to Hindi bhi translate kr sakte hai. Bhasao ko badalne ke liye aap pehle box me English aur doorse me Hindi select kar sakte hai.
Aur agar aapko sirf bhashao ki adla badli karni hai to aap “Swap languages” ke button par bhi click kar sakte hai.
Mai to kahuga ki translate.google.com ka naam aap yaad hi karle, kyoki ye bohot hi acha tool hai. Is article ko padhne ke baad kuch translate karke dekhe, aur neeche diye hue comment box me apna anubhav likhe.
Agar aapko ye article acha laga to aap aise hi aur articles ke liye hamara Facebook group join kar sakte hai.
Aapne is article ko padha yahi is baat ka saboot hai ki aap apni life me Vikas karna cahte hai. Aaj kuch naya seekhne ke liye.
Thank You.
ye bhi padhe:
nandan jha says
Hum Hindi my tipe kar rate hai to bhi hindi my aa raha hai kuki humne laguge bhi chinj kiya hai par bhi ye parbolm aa raha hai
Vikas Plus says
Turn On input method par click karke dobara try kare.
Mubarik khan says
Hi dis is nice block I will try ur advice
abhinav rajput says
Jb hm hindi se english mein anuvad krte h to vo hindi mein he aata h aisa kyo
Sunny Singh says
Aapne uper di hui language ko change nhi kiya hoga, ek baar zaroor check kare.
Asif says
Zabardast its working very well for me..
Thanks for your efforts
Lucky says
sir phone ka password bhul ja ne par with out data loss aur bina phone ko root kiye phone ka password aur pattern kase open kare
sir mujhe Jo tarike pata h vo ya to fectory reset kar ke lekin sir reset kar ne mai phone ka data cala jata h sir aap koi solutions bataye
sir vese agr phone ka password bhul jaye to mobile repering shop me le ja ne par vo laptop se phone ko connect kar ke aur vo pattern lock ho ya password do no ko hi vo mach kar ke thodi der mai vo phone ko unlock kar de te h sir vo kon se application ka use kar the h
Sunny Singh says
Aisi kisi app ke baare me mere ko nhi pata, aur wo jo app use karte hai wo official hoti hai, jiske liye pay karna hota hai.
zain says
Ap ho kanha pe muhje ap se Englishes shik ni hai mer wHatsappp nomber 0611452198
Sunny Singh says
Ye toh aap online bhi youtube ke tutorial dekh kar bhi seekh sakte ho.
Waise humara whatsapp num. 8273084169 hai.
Lekin is par aap sirf whatsapp message ke jariye hi baat kar sakte hai.
Queen khan says
Ek advice h apnea sd card ko eject karke factory reset kar sakte ho if u don’t want to lose your images or other files .
I had recently did this 🙂
Try it
thakor naresh says
Bhot hi badiya jankari share kiya hai aapne google translate kebare me aapke is post ko jo English me kam jor hai use jarur padhna chahiye
rajni says
App download krn k baad without internet on kiye anuvad. Hona chhiye like a calculater app kaam krt hai…..
Rishab Yadav says
Ye meri khud se ladai h iski English Kya hogi
Sunny Singh says
These are my own battle
sonia says
mujhe bus ye janna hai ke me jo hindi mai likh rahi hu uska mujhe i think English me bhi thik se ans nahi mill rha hai iske liye mujhe kiya krna chahiye please help me
Sunny Singh says
Isme thoda change ho sakta hai, lekin isse aap ye idea laga sakte ho ki word ko kaise bola jaata hai.
Kyuki speaking english aru written english me thoda toh fark hota hi hai.
nilesh says
Maze engileshse Marathi ya Hindi may matalab cahiye muze vo nahi mil raha hai plz help me
Sunny Singh says
Ye toh aap google search engine me search kar sakte hai. Waha par aapko in sabhi sawalo ka jawab mil jaayga.
ambesh singh says
mujhe english me bat karna sikha do please
Sunny Singh says
Ye sab toh aap english ki books aur youtube par online tutorial dekhkar badi hi asaani se seekh sakte ho.
Imran says
Ek paragraph ya poor and page English to hindi krna hai to Kon sa app download kren
Imran says
Poora page English to hindi translate krna hai to Kon sa app download kren
Sunny Singh says
Ye toh aap file ko copy karke google translate me paste kar sakte ho, uske baat setting me jakar hindi language kar dena, aapka poora page hindi me translate ho jaayga.
Mohd Junaid says
Me apka bahut bada fan hu becouse ap mere margdarshan ho.ap ne hi rasta dhikhaya he aage badhne ka.Mujhe xyz ki mot ki khabar sunkar kafi afsos ho raha he.meri shanubhuti unke poore Pariwar ke sath he.me unki atma ki shanti ke liye God se pray karunga……please translate in english..good night
Sunny Singh says
I am very sorry to hear the news of the death of xyz .I have my sympathy with their whole family will Pray to God for their souls rest in peace.
Hasim says
one question.if would say that whether ..mujhe apna kam dusro se krana hai for exampal tum apna kam dusro se karate ho or mujhe apni bike thik karani hai.,, isme hame dusre se karani hai to hum english mei kaise kahenge
Nikhil Arora says
aap use kar sakte hai “would you please help me”
Mohinirajput says
Hi mujhe ye google app bahot pasnd ayi main mujhe isses bahot kuch sikhne ko milega.thank you so much.thanxxxxx…..
mohammed hyder qureshi says
Mujhe mere school teacher ki tareef karna hain .plz help me how i do
Nikhil Arora says
Toh iske liye aap bhut se hindi/english quotes aate hai, wo aap internet par search kar sakte hai.