Aajkal Internet par lagbhag har cheez uplabdh hai, aur bazaar se kam rate par. Aapne Flipkart ke baare me to suna hi hoga. Flipkart ek Shopping website hai jaha se aap apni jaroorat ki lagbhag har item khareed sakte ho.
Flipkart India ki sabse popular website hai, Flipkart dunia ki badi websites jaise ki Amazon ko bhi takaar de rahi hai. Indian customers jo abhi online payment karne me jada comfortable nahi hai Flipkart Cash on Delivery ki suvidha bhi deti hai, aur agar aapko product me kuch kami lage to aap use Flipkart ko return bhi kar sakte hai.
Online website par samaan isliye sasta hota hai kyoki flipkart par sellers ki maintenance cost kum hoti hai aur sale jada. Aap bhi flipkart par seller bankar apna samaan beche sakte ho. Seller baane ka tarika hum alag article mai padhege, abhi hum is article me pehle Flipkart par account banana seekhle.
Flipkart Account Kaise Banaye
Step 1: Flipkart ka account banane ke liye sabse pehle Flipkart.com par jae aur Signup button par click kare.
Step 2: Apna mobile number daale aur Continue par click kare
Flipkart aapke mobile par ek SMS bhejega verification code ke sath.
Is code ko agle form me likhe, aur Flipkart ID ke liye Password Daale, phir Sign Up par click karde.
Ab hum apni account detail me jaakar apne Naam aur Address daalege.
Step 3: Name daalne ke liye Upar My Account > Account par click kare, aur form bharke “Save Changes” karde.
Step 4: Address daalne ke liye, Left menu me se Settings ke under Addresses select kare
Yaha aap apne address add kar sakte hai.
Address add karne ke baad Save Changes par click kare.
Step 5: Ab hum apne Email Address bhi daal lete hai jisse ki hame Flipkart apne naye offers aur hamare shopping ke bills hume Email par bhejta rahe.
Email add karne ke liye left menu me Settings ke under Update Email/Mobile select kare. Ab from me apna Email id daale OK par click kare.
Aapko ek Email milega jisme Flipkart ka Verification code hoga.
Is verification code ko aap Email se Flipkart ke form me daalde aur Save Changes par click karde.
Ab aapki Flipkart ID poori tarha se ready hai. Ab aap jo cahe wo apne Flipkart account se kharid sakte hai.
Agar aapko ye article accha laga to aise hi aur articles ke liye humara Facebook Group join kare.
Thank You 🙂
Aage Padhe:
- YouTube par Offline videos kaise download kare ?
- Free Wallpaper download krne ki best websites ?
- Internet se free e-book download krne ki best website ?
md mofizul sk says
Pls accounts kaisae kholae batau
Vikas Plus says
kya aapne upar article padha ? usme saari details hai. Aapko kya problem aa rahi hai?
haseen says
flipkart ki delivry service kin cities me h kya sirf Delhi jaisi badi cities me hai mene try kiya that etawah city me accept nahi kiya
Vikas Plus says
Kuch cheeze hoti hai jo sirf kisi kisi city mai jaati hai, lekin jaadatar cheeze aapki city mai available honi cahiye. Aap check karne ke liye product page par bane PIN Code form mai apni city ka PIN code daal kar check kar sakte hai.
bhagirath says
fipkar ko blog par kes laga thai affilatu mar keting
bhagirath says
aap ki wapsite ka templet ka kya name hai or aapne khonsi wapsite se downlod ki ya hai
Vikas Plus says
Mai ek web designer hu, ye template maine khud banaya hai. Agar apke website banwani hai toh aap mere se facebook par sampark kar sakte hai.
kiran gupta says
Mai jb dhi koi product ko select krti h to .use kaise oder kru.pl mujhe btaye.
Sunny Singh says
koi bhi product select karke aap Add to Card karke buy kar sakti hai.
neha says
apne bataya ki koi bhi shop ho ya koi bhi business ho use internet se connect karne k liye registered karwana hoga .par mujhe nhi malum ye kese kaha karwate h or kitna pesa lagega.mera ek Coaching centar h jisme silai ka bhi kam hota h or mai computer ka bhi shuru karna chahti hu .koi rasta dikhao taki mai apne business ko sahi se stand kar saku.isse bahot umide h mere ghar valo ko.plzzzz halp me
neha says
apne bataya ki koi bhi shop ho ya koi bhi business ho use internet se connect karne k liye registered karwana hoga .par mujhe nhi malum ye kese kaha karwate h or kitna pesa lagega.mera ek Coaching centar h jisme silai ka bhi kam hota h or mai computer ka bhi shuru karna chahti hu .koi rasta dikhao taki mai apne business ko sahi se stand kar saku.
Sunny Singh says
Jaise ki aapne bataya ki aapka ek coaching center hai toh aapko iske liye ek website bana sakti hai, sabse pehle aap free website se starting kar sakti hai, uske baad agar aapki website par traffic aana shuru ho jaata hai toh aap isko ek paid website me bhi convert kar sakti hai, jisme aapko kuch yearly charge dena hoga, lekin isse aap apni website ke design ko behtar bana sakti hai.
Dursa ye ki aap Facebook page, Google Ads, Facebook Group par apne coaching center ke naam se account bana kar apne business ko promote kar sakti hai.
Kuldeep dewangan says
Thankyou online shopping id batane ke liye
Bharat joshi says
mughe apna prodect sale karna h flipkart par bataye kaise my mob. no 7340483481 main email nahi use karta hu plz call me
Rohan singh says
shoping karte wakt landmark ka optation aata hai usme kya bharna hai
Sunny Singh says
Jo bhi aapke ghar ke pass famous cheez ya jagah ho. Jaise mera ghar kisi mall ke pass hai toh aap us mall ka address daal sakte hai ya near …. karke add kar sakte hai.
priya says
Flipkart se ki gye shopping ko return kaise krenge pls btaye…..