Aapki profile picture aapko dosri Facebook profile se alag dikhange ke liye hoti hai, agar apko koi dost Facebook par add karna cahata ho to use aapke naam ke kayi log mil sakte hai, apki profile picture aapko ek hi naam wale baki logo se alag karegi. Profile picture change karne ke liye ye sunishchit karle ki apke computer ya mobile phone par pehle se picture save hai.
1. Sabse pehle aap apne Facebook account me login kijiye aur apna profile page kholie. Profile page kholne ke liye upar diye gaye menu par me right side par apni purani profile pic par click karo
2. Apni profile me jab aap profile pic par mouse lekar jaege to ek camera bana aajeaga, us camera ke sath likha hoga update profile picture. Is camera par click karege to ek box khul jaega
3. Is box me se Upload Photo par click kare
Click karte hai apke samne windows explorer khul jayega, isme se aapne jo picture lagani hai select karke , open par click kare.
Open click karte hi apki profile picture upload honi shuru ho jayegi
4. upload hone ke baad aap profile picture ka size set kar sakte hai apne hisab se
Pic ka size set karne ke baad Crop and Save par click kare.
Ab apki nai profile picture lag jaegi.
Profile Picture select karne ke liye Tips.
- Pehla impression banaye: Profile picture aisi lagaye jaisa aap apni personality ko darshata ho. Jaise ki agar aap naukari ki talash mai hai to aap aisi picture laga sakte hai jisme aap ek dum professional look me kuch kaam kar rahe ho, isse logo par ye impression padega ki aap serious insaan hai, aur apne kaam ko serious lete hai.
- Simple rakhe: Apni profile picture ko simple rakhe, Facebook dosto se judne ke liye hai, to simple down to earth banke rahe jisse ki samne wale ko aapse baat karne me snkoch na ho.
- Smile Kare: Gusse wali ya jada serious photo mat lagaye, welcoming smile rakhe aur log aapke sath jada comfortable rahege.
- Film Stars Mat Lagaye: Haan mai manta hun ki aapka favorite film start Salman Khan hai. Par ye aapki personal profile hai, aap isme apni hi picture use kare.
Aapke profile picture Lagana seekh liya, ab aap kabhi bhi apni profile picture change kar sakte hai.
Agar profile picture badalne mai aapko koi problem ari hai to neeche diye gae comment box mai jaroor pooche. Article padne ke liye
Thank You
Aage Padhe:
- Facebook ka password kaise change kare.
- Faceook ko De-activate kaise kare.
- Facebook Developer kaise bane.
salam mera sawal he perofaile pic koi copy na kar sake asa koi tariqa baten
Salaam salaam. Zubair bhai Nahi esa koi tarika hai hai. Internet open mizaaz ka hai thoda
Facebook se profile picture kaise hataya jata hai.
Profile icon par click karke aap apni FB profile pic delete bhi kar skati hai.
Mera sabal ye h agr passaward bhul gye to kya kiya jaye
Facebook password kaise change kare ?
Is article ko padhkar aapko help milegi.
Fb account me apna no. Daale or privacy lga de only me.. or jb bhi password bhool jaye to forget password kre aapke us no. Pr otp aajayega fir aap new password rakh sakte hai