Facebook developer banner ke baad aap Facebook se related Applications ya games bana sakte hai. Facebook developer banna bilkul Free hai. Kayi badi companies Sirf Facebook Development se hi Lakho Rupeey kama rahi hai.
Facebook Developer Kya hai?
Aap Facebook ki technology ko apni website ya business ko bhadane ke liye use kar sakte hai. Isko use karne ke liye Facebook ek platform deta hai jaise ki “Facebook Developers” Kehte hai. Is platform par jo log register karkar us Technology ka use karte hai, un logo ko Facebook Developer kehte hai.
Facebook Developer Kaise Bane
Facebook developer banne ke liye aap sabse pehle is link par jaye. https://developers.facebook.com/apps/
Is page par jakar Register Now par click kare. Click karne ke baad Facebook security ke liye aapka password puchega.
Password dalne ke baad Submit button par click kare. Ek aur dilog box khulega isme policy accept karne ke liye switch button ko NO se YES kare. Next par click karde.
Yes par click karte hi Facebook aapke pakke proof ke liye aapka phone Number mangega.
- Apna Phone number dale
- Send as Text par click kare
- Aapke phone me ek message aaega, Message mai diye gaye confirmation code ko 3rd box me bhare
- Sabhi details bharne ke baad Register par click kare
Register par click karte hi aap Facebook ke developer ban jaoge.
Ab aap Facebook developer ban gaye hai, aap facebook ki technology ko use karke koi bhi application bana sakte hai.
Is article se related koi bhi jankari ke liye neeche comment kare. Thank you for learning.
Aage Padhe:
- Internet se paisa kaise kamaye.
- Facebook par auto play videos kaise band kre.
- Facebook ke baare me jaroori Jaankari.
Comments