Facebook par is samay 140 crore log hai par har koi Facebook se khush nahi hai. Aap me se kayi sare log aise honge jinko Facebook ki aadat pad gayi hai, ya aapko Facebook me itni sari notifications aati hai, jobhi baat hai aap ab bas Facebook account ko band karna cahte hai.
To Facebook se chutkara(छुटकारा) kaise paye. Apke paas do tarike hai, ya aap apne account ko deactivate kar sakte hai aur ya aap apne Facebook account delete kaise kar sakte hai.
Facebook account delete karne se pehle me aapko batauga ki account ko deactivate kaise karna hai.
Facebook account deactivate kaise kare?
Deactivate karne ka matlab hai ki aap Facebook account thode dino ke liye chod rahe hai aur aap Dubara bhi Apna account activate kar sakte hai.
Deactivate karne ke baad apki Facebook profile aur jo bhi apne aaj tak activities ki hai wo sab Facebook se hat jayegi. Facebook apke data ko sambhal ke rakhega, aap jab cahe apne account ko reactivate kar sakte hai.
Account ko deactivate karne ke liye apne Facebook profile me login kare. Upar right corner me se downward arrow par click kare. Ismese settings par click kare.
Left side me security likha hoga uspar click kare
Agle page par Deactivate Account par click kare
Dobara se Deactivate your account link par click kare
Ab is page me Facebook account delete karne ka karan poochega, karan select kare. Maine “I spend too much time using Facebook” ko choose kiya hai, iska matlab hai “Mai Facebook par bohot jada time laga raha hun”. Karan select karte samye Facebook apko rokne ki koshish karega par aap cancel par click karde.
Karan select karne ke baad Deactivate button par click kare.
Notice: Agar aapke account se Facebook group ya page juda hai, to account deactivate karne ke sath sath ya bhi band ho sakte hai. To behtar hoga ki account deactivate karne se pehle kisi aur ko apne Facebook page ya group ka admin bana de.
Deactivate button par click karte hi aapka account deactivate ho jayega.
Facebook Account Ko Delete Kaise Karte Hai?
Account delete karne ke baad aapka Facebook account hamesha ke liye band ho jayega. Aap deleted account ko dubara se activate nahi kar sakte, aapko agli bar naya account hi bana padega.
Notice: Facebook account delete karne se pehle aap apne Facebook ka poora data download kar sakte hai.
Facebook account ka data download karne ke liye dubara se settings me jaye, (down arrow select karke).
General settings ke andar download data ka option hoga, uspar click kare.
Start My Archive par click kare, isse Facebook aapke liye ek download file banadega.
Page refresh kare aur apke samne Download Archive ka button bana aajayega, Is buttom par click kare aur apne data download kare.
Ab account delete karne ke liye Facebook koi seedha option nahi deta. Par account delete karne ke liye aap apni facebook id ko login rakh kar is link par jaye.
https://www.facebook.com/help/delete_account
ek page khulega jime Delete My Account ka button bana hoga. Is button ko click karke aap apna account delete kar sakte hai.
Button click karte hi Facebook aapse apka password aur koi sawal poochega, is savaal ka jawab dete hi aapka account delete hone ki request chali jaygi. Aapka account 14 dino ke baad delete hoga. Agar aap delete ki request ko cancel karna cahte hai to apne account me dubara se login karke aap apne account ko delete hone se bacha sakte hai. Lekin 14 dino ke baad kuch nahi ho sakta.
Ek baat dhyan rakhiye agar Delete kardia to Facebook account hamesha ke liye chala jayega. To agar aap bilkul pakke nahi hai to ek bar dubara se apna account delete karne se pehle soch le.
Is article me maine bataya ki Facebook account delete kaise kare. Aisi aur posts ke liye hame Facebook par jaroor Link kare.
Thank you 🙂
Ye bhi padhe:
- Facebook ka Password kaise change kare ?
- Facebook par kisi ko kaise block krte hai ?
- Android kya hai ?
chanakya das says
please sir mera fb account delet Lorna chahta ho mai fb account uc mini por khulta ho .
Vikas Plus says
Maine kabhi try nahi kiya. Aap computer par login karke kar sakte hai, ye padhe : Facebook Delete Ya Deactivate Kaise Kare
Usman ansari says
sir agar kisi ka facebook account par koi report karke oski id fake bool de to kya ham jiski id band hai oski id chalo karne me madad kar sakte hai plz ask
Sunny Singh says
I don’t have any knowledge about this.
rawat says
sir, fb delete wali website open kyu nhi ho rhi h? Plz help!
Sunny Singh says
kyuki wo delete ho gayi hai. Ab aapko nayi id banani padegi.
jayanti says
Down arrow batan Kaha aata hai vo mil hi nahi raha hai
Sunny Singh says
Right side me aapki screen me.
Vickie Antiwal says
FB admin kaise create kare
Sunny Singh says
Facebook Page Kaise Banaye
Ramkripa says
bhai mujhe delete krna hai Facebook apna
Sunny Singh says
Aap article me diye gaye steps ko follow kar sakte hai.
shubham kumar says
sir down arrow kaha a at a hai pls ek pic bhej kr samjhaiye na..pls..pls.