Aagar aapko koi Facebook par pareshan kar raha hai to aap us vyakti ko hamesha ke liye block kar sakte hai. Block krne ke baad na to vo vyakti apki id dekh payega, na aapki photos.
Facebook me kisi ko block karna bohot hi aasaan hai.
Facebook par block karne ka tarika
Step 1: Privacy Setting Khole
Sabse pehle to apne account me login kare. login karne ke baad upar right corner me ek button bana hua hai jispar ek tala (lock) bana hua hai. Us button se privacy setting khulti hai. Is button par click kare.
Step 2: Akhiri option par click kare
“How do I stop someone from bothering me?” (“mai kisi ko mujhe pareshan karne se kaise roku?”) par click kare. Click karte hi ek box khul jaega.
step 3: Naam dale
Ab is box me aapko jisko bhi block karna hai uska naam ya email id dale.
Naam dalne ke baad Block button par click kare
Step 4: Block kare
Ab aapke samne ek lightbox ajayega jisme aap jisko block karna hai uske naam ke aage block button par click kar sakte hai.
Ab aapko facebook batayega ki, Jisko apne block kiya hai wo apki:
- Posts nahi dekh payega
- Tag nahi kar payega
- Invite bhi nahi kar payega
- Chatting nahi kar payega
- Aapko friend request bhi nahi send kar skega
Poori tarha block karne ke liye neech diya gaya Block button dabaye.
Aur wo vyakti block ho jayega.
Facebook par Unblock kaise kare
Agar aapne maze maze me kisi ko galti se block kar diya hai to tension nahi, aap usko unblock bhi kar sakte hai.
unblock karne ke liye privacy settings mai jakar, “View all blocked users” (“Sabhi blocked logo ko dekhe”) par click kare.
ab jisko bhi aap unblock karna cahte hai uske naam ke samne likhe unblock button par click karde.
ab pakka karne ke liye confirm button par click kare
Ab aapne seekh liya hai ki kisi ko block kaise karte hai, ab aap jise cahe use block kar sakte hai. Ek aur baat dhyan de ki kisi ko jab aap unblock karte hai to aap use unfriend bhi kar dete hai, usko dobara se apni freind list me add karne ke liye aapko fir se use friend request bhejni hogi.
Seekhne ke liye aapka Dhyanwaad:
Ye bhi Zaroor Padhe:
- Facebook Developer kaise bane ?
- Website par Facebook commenting system kaise lagaye ?
- Facbook Group kaise banaye ?
Leave a Reply