Email ka kaam jaroori messages bhejna hai, par Email jadatar Files ya Photos jaisi cheeze bhejne ke kaam aata hai. Par jin logo ke paas naya email account hai unhe shayad emails ke sath file attach karne ke bare me kam pata ho. Is guide me mai aapko Email ke sath File Attach karne ke bare me batauga.
Hum Email bhjene ke liye Gmail ka use karege, agar aapko Email bhi ni banana aata to aap mera pichla article pad sakte hai.
Email me File attach karne ke liye sabse pehle paper clip icon ko dhoonde. Or File attach karne ke liye is paper click icon par click kare.
Paper click icon par click karte hi windows explorer khul jayega, Isme se jo bhi aapne file bhjene hai usko select karo aur open par click kardo.
Open click karte hi aapki file upload honi shuru ho jayegi.
File upload hone ke baad aap Send par click karke us file ko bhej sakte ho
Attachment Delete kaise kare
Agar aapne galti se attachment lagadi hai to us attachment ko delete karne ke liye attachment ke right me diye gaye cross button par click kare.
Ab aap aasani se koi bhi file Email ke sath attach karke bhej sakte ho.
Mera to yahi manna hai ki kuch Seekha hua kabhi bekar nahi jata, kya pata jo file attach karna apne seekha hai use file mai aapka resume ho. Or koi bhi company aisa vyakti apni company me nahi rakhna cahegi jise ki file bhi attach nahi karni aati. Agar aapne abhi tak neeche diye gaye Box mai apna naam aur email nahi daala hai to aapko hamare naye articles ki jankari nahi mil payegi.
Thank You:
Ye bhi Padhe:
- Job ke liye email kaisa likhe .
- Email ko kaise bejte hai(file ke sath).
- Facebook Developer kaise bane ?
comment here
thx…….
Your Welcome Naziya
Is Article ko padne ke liye aapko Dhnyawaad.
haillo freind
Hello
Vikas plus me aapka swagat hai
muze net ke bare me sikhna hai aapki mail ki jankari acchi lagi .
Thank you
prashant
Your welcome parshant
Net ke baare me sekhne ke liye aapko Hume humare Facebook page par join kar sakte hai.
veri nice artical sir
Thank you sahil
Agar aapke kuch sujaav hai, jisse ki hum apne articles ko aur behtar bana sakte hai toh kariya hume zaroor beje. Aapne opinion humare liye bhut important hai.
kya ye sirf computer me hi work karega?
Ye Feature aaj kal saate smart phones aur android phone me bhi aa rahe hai toh mobile me bhi ye kaam karta hai.
thank u so much apne bhut clearly define kiya h.
Your welcome jyoti.
Thanks sir apke sabhi aticles bahot hi help karte hai hamari
Thank you prathmesh .
Humari team ka AIM bhi yahi hai ki humare site par visit karne wale visitors ki poori help ki ja sake .
Mujhe net ke bare me Sikhna hai.
thanks sir mujhe email bhejna nhi ata tha app k is aticle ki vajha se mujhe sikhne ko mila
sir mai puchna chata hu ki android mobile se gmail account per attach file send kar sakte hai kya
Ha bikul kar sakte hai.
Thanks
Thanku sir.. Apke artical bhut kaam k h..jo abi sikh raye h unke liye..