Jab aap koi nayi website banate hai toh aap ya toh apne kisi product ki publicity kar rahe hote hai ye phir aapko articles, post ya content likh kar apne visitors ke through adsense ya dusre Ad network se paisa kamana hota hai.
Lekin jo log website banakar kaamyaab hue hai wo log bhut kam hai aur jo fail hue hai unki sakhya bhut zaada hai, kyuki aapke article kitne bhi acche kyu na ho, lekin jab tak aapki website ka conversion rate kam nhi hoga, tab tak aap website se earning karne ke baare me toh soch bhi nhi sakte. Yahi ke major karan hai ki log isme zaada kamyaab nhi hote.
Kisi dusre successful blogger ko dekh kar blogging karna aaj kal trend sa ban gaya hai, log sochte hai ki “Agar ye blog banakr paise kama sakta hai, toh mai kyu nhi”.
Lekin hum sab uski earning ke peeche ki mehnat ko nhi dekhte, jisse hum fail ho jaate hai.
Website se paise kamane ke 4 behtarin tips
Toh is article me aage mai aapko kuch aisi tips duga, jisse ki aap apni website ka conversion rate badakar ek healthy earning kar sakoge.
Toh chaliye shuru karte hai :
Humare jin visitors ko ye nhi pata hai ki website ka conversion rate kya hota hai ? toh sabse pehle unko batate hai ki ye kya hai ?
Conversion Rate kya hai ?
Jab aapki website par aane wala traffic aapki website se hone wali income me convert hota hai, toh usko conversion rate kahte hai. Jab aapke visitors apke dwara lagaye gaye ads par click nhi karte, toh ye kam ho jaata hai aur yadi karte hai toh ye zaada ho jaata hai.
Iska parbhaav aapki income par bhi padta hai, jis website ki income zaada hogi, toh uska conversion rate bhi zaada hoga.
Conversion Rate ko badane ke kuch asaan tarike :
#1 Quality Content likhe :
Quality Content ek bhut important tarika hai, jo aapki website ke conversion rate ko bada sakta hai. Kyuki jab tak visitor aapki website par rukega hi nhi toh wo ads par click kaise karega ?. Ye ek simple logic hai, jisko bhut se naye bloggers samj nhi pate hai aur sochte hai ki zaada se zaada content daal kar wo ads se earning kar skate hai, jo ki bilkul hi galat hai. Toh jina ho sake, apni website par quality content, post daale, jisse ki visitor aapki website par attract ho, aur article kam se kam 800-1000 words ke hone chahiye, jo logo ko zaada der tak bandh kar rakh sake.
Perfect Headline Likhne ke 5 Aasaan Tarike
#2 Social Media par Focus kam kare :
Jab aap apni website ki publicity karna chahte hai toh aapko sirf ek tarika dikhayi deta hai wo hai Social Media ( Facebook, Google+, Twitter etc ) lekin in sites se aane wala traffic targeted traffic nhi hota, toh wo aapke conversion rate ko kam nhi kar sakta.
Jo Traffic search engine ke through aapki website par aata hai wo aapke liye zaada faydemand hota hai kyuki wo kisi purpose se aapki website par aaya hai, toh uske zaada chances rahte hai ki wo aapki post poori padega, aur ads par bhi click karega.
Toh aapna focus search engine par zaada lagaye, ki kaise apne content ko top par pahuchaye , na ki is baat par ki kisi spam content ke jariye apni website ka traffic badaye. Isse kuch fayda toh hoga nhi, lekin logo ka trust apki website se dheere dheere kam ho jayga.
#3 Posts me Photos ka istemaal kare :
Jab aap koi content ya article likhe toh usme sabse pehle ye dikh le ki uski quality kaisi hai aur dusra ye ki usme pictures kaisi daalni hai ? kyuki ek survey me ye sabit hua hai ki humre dimaag me wo baat zaada satik bathti hai, jo ki hume pictures dwara samjaayi jaati hai.
Isliye aapne ye bhi dekha hoga ki chote baccho ko alphabet bhi pictures ke sath sikhaya jaata hai, taaki wo asaani se usko samj sake. Isi tarh aap bhi apne content ko pictures ke sahare describe karne ki kosis kare. Jisse ki visitos aapki website par zaada se zaada time expand kare. Jitna zaada wo aapki website par rahege, utna aapki website grow karegi.
#4 Be Clear :
Ek baat socho ki aapki website ek “online store ke samne” hai. Toh jab bhi koi naya visitor aapki website par aakar rukta hai toh, aapko is baat me poori tarh clear hona chahiye ki wo chahta kya hai aur aap usko kya de sakte hai.
Agar wo aapke “homepage” par aata hai aur aap usko next – next karke bhut se pages par bej dete ho toh, usko toh apne pasand ki cheez mil hi nhi rahi hai. Is karan se uska interest aapki website se kam ho jayga aur wo tabhi aapki website chod dega.
Toh is tarike ke steps ko banane se pehle ek baat par clear rahe ki, jo visitor aapki website par aata hai usko wahi kuch mile jo wo chahta hai.
Ye thy kuch tarike jisse aap apni website ke conversion rate ko bada sakte hai aur apni website ki income ko badha sakte ho.
Aapko humara ye article kaisa laga, aap hume neeche diye gaye comment box me likh kar hume bata sakte hai, ya phir aapke kuch sujaav ho toh bhi aap neeche likh sakte hai.
Thank you,
Manish says
Muj eto Conversion Rate ke baare me nahi pata tha thank you sir batane ke liye.
Abhimanyu kumar kushwaha says
NICE