Kya aap apne blog ke purane post update karte hai ya phir karna chahte hai ?
Aap me se bhut se blogger yahi sochte hoge ki, kya aisa karna zaruri hai ?
Kyuki ek baar post likh di toh likh di, logo ki priority thodina badalne wali hai, lekin aisa scohna galat hai, kyuki post bhi waqt ke sath purani ho jaati hai aur iska parbhav bhi time ke according kam hone lagta hai.
Kyuki jahir si baat hai, jis topic par aaj aapne post likhi hai, us topic par dusre blogger bhi toh post likhege.
Toh is tarh bhut se blogger ne yadi us topic par post likh di hai toh aapki post toh neeche apne aap hi aa jaygi.
Kyuki ek toh aapki post ko bhut time ho gaya hai aur dusra ye ki unhone time ke sath-sath kuch nayi cheeze bhi toh us post ke ander add kar di hogi.
Ab Google toh sirf ye dekhta hai ki aapke blogger me unique cheez kya hai, aur log us post ke kitne satisfy ho rahe hai, na ki ye ki aapki post kitni purani hai.
Toh aapko apni post time-time par update toh karte rahni chahiye.
Jisse aapki post me wo nayapan bana rahe, jo log dekhna ya padhna chahte hai.
Toh aaj hum apne is article me aapko articles updation se related kuch important tips batayege, jinko apply karke aap, apne article ko acchi tarh aur asaani se update kar sakte ho.
Ye kuch aisi tips hai jinko pechle kuch saalo se kar regularly kar raha hu aur muje ye lagta hai ki jaise mere ko isse faayda hua hai aapko bhi isse bhut faayda ho sakta hai.
For Example : Pechle kuch saalo me maine jab blogging ki shuruwat ki thi toh, main sirf teaching se shuruwat ki thi, jisme mai naye bloggers ya business persons ko make money aur motivation ke tips diya karta tha.
Dheere-dheere waqt change hota chala gaye, aur maine apne teaching ke tarike me bhi kaafi kuch badlav kar liya.
Kyuki yadi aap aisa nhi karoge toh aapke ideas purane hote chale jayege, jiska ki kisi ko koi faayda nhi hoga.
Isliye aapko apni knowledge hmesah update karte rahna chahiye.
Aur ye formula sabhi field (bloggine me bhi) ek saman roop se kaam karta hai.
Toh aayiye dekhte hai kya baatin hai jinko aap apne article ko update karte hue dhyaan me rakh sakte hai.
Purane posts ko update karne ke kuch karan :
Hum ye acchi tarh jaante hai ki kuch bloggers apni purani posts ko upadte nhi karte hai, wo log bas un posts ki safalta se utsahit rahte hai.
Lekin mai ye maanta hu ki sabhi bloggers ko apni posts ( jo update karne laayak ho) ko update karte rahna chahiye.
Iske bhut se karan hai jinko padhne se aapko bhut faayda ho sakta hai.
1. Broken Links :
Kisi bhi blog par kam se kam 1 ye 2 saal me kam se kam 2-4 links toh aapke blog se tut te hi hai. Isko bachane ke liye aapko kuch nayi strategy ke sath kuch aise article updation ke upay nikalna padte hai, jinse ye links na tute.
2. Badalte Vichaar ( Opinion ) :
Zaadatar blogger updation ke baare me apne vichaar badalte rahte hai, jo ki ek human nature bhi hai. Mai jaanta hu ki mere aaj ke vichaar mere pehle ke vicharo se bilkul different hai.
Jab maine apni blogging ki shurwat ki thi aur jo posts maine us time likhi ya padhi thi, wo us time ke liye sahi thi, lekin agar aaj unke baare me koi mere se puche toh mai bhi shyed us baat se agree nhi kruga.
Evergreen Blog Content kaise likhe : Top Tips
Aur unme kuch na kuch toh changes toh zarur karne ki sochuga.
3. Updates :
Na kewal humare vichaar badal gaye hai, balki aaj ke circumstances bhi bhut changes hai.
For Example : Jo posts maine Make Money ke under likhi thi, jaisa ki maine uper article me bataya hai, wo originally ek ad network ke linked thi.
Lekin as time progress us network ne apna model completely change kar diya.
Uska result ye hua ki jis tarike se maine us post ke ander describe kiya tha wo baat kisi ki samj me hi nhi aayi ya phir usko samjna bhut muskil ho gaya.
4. Design :
Aapki kuch post jo aapne bhut time pehle likhi thi, wo shayed apko abhi bhi sahi lag rahi ho, lekin jaise jaise time badlata hai, toh kuch na kuch naya aa jaata hai.
For Example : Pehle toh posts me zaada images nhi lgate thy, lekin aaj kal posts ke beeche me zaada images lagayi jaati hai. Aise hi font style, color aur bhi bhut si post jinme html ka istemaal hota hai, wo aaj kal itni simple nhi rah gayi hai.
10+ Best Responsive aur SEO Friendly Templates Blogger Ke Liye
Toh iske liye kuch na kuch changes iske design me toh karne hoge hi.
Apni posts ko kaise update kare :
Aise bhut se tarike hai jinse aap apni purani posts ko update kar sakte ho.
Yaha mai apni purani posts ko dekh raha hu toh usko mai kaise update karuga, aayiye dekhte hai.
1. Delete it :
Waise toh purani post ko modify karne ka easy rasta ye hai ki aap usko delete hi kar de aur usi topic par nayi post likhe. Lekin mere hissab se ye sahi tarika nhi hai.
Toh hum koi beech ka rasta dudhte hai, yadi aapko lagta hai ki aapki post time ke according poori tarh se outdated nhi hui hai toh aap usme thode bhut changes karke kuch naye quotes, paragraph, photos daal kar usko update kar sakte hai.
Yaha mai aapko batana chauga ki ye sabse simple tarika hai .
2. Quick Updates :
Yadi aapke liye ye zaruri ho gaya hai ki aap purane link ko, naye link ke sath replace kare. Toh aapko is baat ka dhyaan zarur rakhna hoga ki us naye link me aapke purani link ki similarity ho.
Kyuki aapke visitors toh uski post ko, pehle wale keyword se hi jaante hai.
Waise meri advice aapko yahi hai ki link ko bina change kiye hue aap purani post me kuch naye quotes ko add karde. Isse aapki post update bhi ho jaaygi, aur aapko apna link bhi change nhi karna hoga.
3. Updates :
Yadi mai apni blog posts me kuch khass changes karna chahta hu, toh mere ko apne khud ke kuch opinion badlne padege aur ye sab mere ko apne visitors aur market ko dekhte hue karne hoge.
Uske baad hi mai ‘update’ section ko apni post me laagu kar paauga.
Iske kuch acche example ye hai ki jab main phele SSC ke uper article likha tha, toh mere ko uska itna yakeen nhi tha ki ye chalega ya nhi. Lekin jaise jaise mere ko logo ke views milte chale gaye, uske hissab se maine usko develop kar diya.
Toh aaj conditions ye hai ki wo vikasplus ke top 5 articles me no. 2 par aata hai.
Toh aap bhi kuch aisa hi kar sakte hai, lekin iske liye market research bhut zaruri hai.
4. Re-post :
Jaise ki maine aapko bataya ki kaise maine apne ek purane article ko visitors aur reader ki choice ke hissab se ek nayepan de diya.
Lekin agar aapke blog par bhut se article hai aur unke sath kuch naya karna chahte hai toh aap apne kisi bhi post ya article ko repost bhi kar sakte hai.
Isme hota ye hai ki aap apni kisi bhi purani post ki date badal kar usme kuch unique changes karke usko ek naye flavor me bhi logo ko post kar sakte ho.
Isse aapki purani post bilkul naye flavor me aapke blog par aaj ki date me show hone lag jaati hai. Lekin yaha ghor karne wali baat ye bhi hai ki isse aapka URL structure bigad jaata hai.
Toh is apply karne ki advice mai nhi de sakta, kyuki ye aap apni post ka URL bhi change nhi kar sakte, agar kar bhi diya toh agar purani post front page par aa rahi hogi, toh URL change karne se wo google se delete ho jaaygi.
Aur uske badle naye post aa jaaygi lekin wo front page par aaye, ya na aaye isme bhut sa confusion hai, kyuki iske liye SEO aapko alag se karni hogi.
5. New Posts :
Ek naya option jo hai wo hai nayi post ka likhna. ye bhi ek tarika hai jisse aap aapni purani posts ko update kar sakte ho.
Aap ek bilkul nayi post likh sakte hai, jo ki bilkul nayi jaankari ke sath aaygi, jisse aap apni audience ke sath communicate kar sakte ho.
Kyuki waqt ke sath kuch nayi problem bhi aa jaati hai, aur phir aata hai unka solution, toh aap isko lekar hi nayi post publish kar sakte ho.
In this case, nayi posts me aap apni purani posts ke related links daal sakte ho. jisski visitors ko unke topic se related purani posts par jaane ke koi dikkat na ho.
Kyuki aap jo post likhoge wo toh purani post ka hi ek roop hoga, toh agar log purani post ko search karte hue aapki nayi post par aayege, toh unko bhi toh kuch chahiye ki wo purani post par wapas chale jaaye.
Toh iske liye aap purnai post ka link article me share kar sakte ho.
Kon si aisi post hai jinko aapko update karna chahiye :
Aamtor par aap chahte hai ki aap apni sabhi posts ko update kare, lekin ye sahi nhi hai.
Kyuki kuch posts apne hissab se sahi hai, lekin kuch posts ko aapko time aur circumstances ke hissab se update karte rahna chahiye, inme se kuch posts hai.
1. Aisi posts jinse traffic zaada aata hai :
Jo purani posts aapko khass tor par update karni chahiye wo hai, jinse traffic zaada aata hai, chahe phir wo search engines, referral, aur social media se hi kyu na aata ho, aisi posts ko aapko update karte rahna chahiye.
Mai aisi post par zaada dhyaan deta hu, toh purani hone ke baad bhi logo ki no.1 pasand bani hui hai, toh aisi post ko apko update toh karte hi rahna chahiye.
Aapme se kuch log aisi post ko update karte hai, jinse traffic nhi aa raha hai toh unse faayda kya hai, kyuki jab unse traffic pehle hi nhi aa raha hai toh ab kya aayga.
Unke liye aapko SEO karne ki zarurat hai.
Toh ye thy kuch tips jinko aapko post updation ke waqt dhyaan me rakhna chahiye.
Agar aapke kuch suggestion ya problem hai toh aap hume niche diye gaye comment box me likh kar bata sakte hai.
Hum paryaas karege ki unka jawaab zald se zald de.
Thank you.
Hi..vikash ji main Blogging karna Start Kardiya hu..kya mera blog dekh kar Bata Skte hai…kuch kami
Aur ek Sawal hai apse kya main Affiliate programs use kr Sakta hun Jab tak adsense apply nhi karta…
Aapka blog starting ke liye sahi hai, aur ha ager aapke blog par traffic abhi sahi hai toh aap aisa kar sakte hai.
mera ek blog blogger pe hai aur vha agar hum kiis post ko repost kare date badal kar to vha url change ni hota, vahi old post wala rahta hai. To please mujhe ye bataye ki agar url same rahta hai tab to koi problem nahi h na date change karne me?
Nhi koi problem nhi aati hai kyuki url kabhi change nhi hota waisa hi rahta hai jaise ki aapne first time banaya tha. bas aap title change kar sakte hai.
Hi sir me mobile blogging karta hu chrome app se.lekin usme ek problem aa rahi hai
template>>edit html me search box nahi milta hai iske liye kiya karna hoga
Hum iske baare me zaada knowledge nhi rakhte, kyuki hum laptop aur desktop par blogging aur web designing karte hai.
#Sunny
Yr kafi points clear hue is article se par purane article ko new date se update karne ka clear nahi hua. Kya bina url ko change kiye purane post ko update karke new date se repost kar sakte hai, haa to kya isse fayda milega.
2nd question, post par jo comment aate hai kya unse bhi post update hoti hai. Jin posts par regular comment aa rhe ho kya unhe update karna chahiye.
Aur kitne time mein post update karna sahi h.
A1 : Post ko date wise update karne se faayda ye hota hai ki aap aapke naye visitors ko wo post ( famous) front page par hi show hone lag jaati hai, aur yadi aap usme kuch add bhi karte hai toh uske ek alag impression padta hai, ek toh wo post pehle se hi famous hai dusra wo front page par aa rahi hai toh wo aapke blog ke traffic ko badane ke kaam me aati hai.
A2 : Post ko kam se kam 6 month me toh update karte rahna chahiye, jinko aapko lage ki is post me kuch naya add kiya ja sakta hai.
#thanks for reply and suggesitions.
Sunny aap comment ke bare mein bhi thoda bataye, kya comments aane se bhi post update hoti hai. Jin posts par regular comment aa rhe hai kya unhe update karna chahiye.
Haanji unko hi update karna chahiye.
Sir hamko ye bataiye ki jaise aap is cheej ki jaankar dete hai yadi mai waise ki kisi knoedge ki baat net upload karna chahta hoon kya karna padeka iske lite sir aur sir mai mp3 video song net par upload karna chahta hoon sir kaise hog sir please sir give me answer
Sir mai net par good good padhai ka gyaan likhna chahta hoon sir kaise hoga sir pleasre sir email kijie sir email I’d rabbanijaved4 @gmail.com
Sir mai net par aakar mp3 song video song upload karna chahta hoo sir aur jaise aap net par koi bhi cheej likhte hai waise mai bhi likhna chahta hoon sir bataiye kaise hoga sir please
Iske liye aapko sabse phele apni ek website banani hogi, aur uske liye ye zaroori hai ki ye website wordpress jaise kisi bhi paid platform par ho, joki aapko mp3, videos songs uplaod karne ke liye behtarin plugin deta ho.