Kya aap ab bhi Bluetooth se files bhejte hai?
Jab choti file jaise ki ek do Images ya gaana bhejna hota hai tab to Bluetooth kaam karta hi hai. Lekin agar aapne Bluetooth dwara badi Movie ya Game bhejne ki koshish kari hai to aapko pata hi hoga kitna jada slow send hota hai.
Android mobile ke liye kuch Apps aati hai jinki help se aap Bluetooth se 40 – 50x guna jaada tezi se aap badi badi files bhej sakte hai.
Play store me Fast file transfer ki bohot saari Apps aati hai. Is article me hum kuch best Apps ke baare me baat karege.
1. SuperBeam
SuperBeam aaps faster transfer ki list mai best hai. Kyoki isme file transfer karna bohot hi aasaan hai. Jab bhi aapko kisi bhi device mai files bhejni hoti hai aapko ek mobile se doorse mobile ka QR code scan kanra padta hai.
2. Fast File Transfer
Fast file transfer ka daawa ye hai ki ye app 4min mai 1GB data bhej sakti hai. Is app ko use karna easy hai. Auar aap multiple files ko bhi ek sath bhej sakte hol. SuperBeam ki tarha aap jaldi se file bhejne ke liye QR code ka bhi use kar sakte ho.
Ye aap Windows phone par bhi available hai.
3. Xender
Xender ki khaas baat ye hai ki aap is App se kisi bhi tarha ki file transfer kar sakte hai. Aap Apps aur Games bhi transfer kar sakte ho.
Ye App PC se bhi connect hojati hai, lekin uske liye aapka computer bhi Wifi se connected hona cahiye.
4. SHAREit
Ye duniya ki sabse fast transfer Apps mai se ek hai. Is App se aap photos, apps ek se doorse device mai bina kisi internet connection ke bhej sakte hai. Ye app aapko badi files bohot fast bhejne mai help karti hai.
Ye app Group sharing bhi support karti hai, jiska matlab hai ki aap ek se jada mobiles par eksath files bhej sakte hai.
Bas yahi Apps hai jinko mai apni file send karne ke liye use karta hun. Aap hume neeche comments karke bataye ki in Apps ke sath aapka anubhav kaisa raha.
Aap hume social media par bhi join kar sakte hai. Humare Addresses hai :
Thank you