Hum me se bohot logo ko kayi bar TV, Internet ya ki poster par QR code laga dikhata hai. Leking kya aapko pata hai ki QR code hota kya hai?
QR code ek code hai jo ki machine dwara hi padha jata hai. Ye code Black and White squares ka bana hota hai. QR code ko hum 2D bar code bhi kehte hai. Agar aapne kabhi nahi dekha to ye kuch is tarha dikhta hai.
QR code mobile camera ki help se scan hota hai. Is code ko scan karne ke baad aapke mobile me code ke andar store ki hua data khul jayega. Agar aapne Aadhar card dekha hoga to usme bhi ek QR code aata hai. Aadhaar card ke QR code ko agar aap apne mobile se scan karege to mobile me jiska Aadhaar card hai uski jaankari aa jayegi.
QR code ke dwara website bhi khul sakti hai, Apps bhi download ho sakti hai kayi showroom wale QR code ke dwara discount bhi dete hai. Chalo ab dekhte hai ki QR code scan kis tarha kare.
QR code scan karne ke liye sabse pehle apne mobile me “QR code reader” app download kare.
Ab apni nayi installed app me jaakar kisi bhi QR code ko scan karke dekhe.
Is article mai sabse upar diye gae code ko agar aap scan karege to aapke mobile mai Vikasplus.com khul jaegi.
Aap bhi apna QR code aasani se bana sakte hai. Internet par bohot se websites hai jo aapko QR code generate karne me kaam aati hai. Mai apni website ke liye QR code http://www.qrstuff.com/ se banaye hai.
Kya aapne kabhi QR code ka istimaal kiya hai, agar haan to apna experience neeche comments me likhe.
Thank You:
Aage Padhe:
- Bit Torrent kya hai aur isko use kaise krte hai ?
- Computer par Whatsapp kaise chalaye ?
- Web Hosting kya hai ?
Amlesh Kumar says
kya mobile se qr code ko padha ja sakta hai
Vikas Plus says
Ji ha humne jo aaps is article me batyi hai, unke dwara QR code ko padha ja sakta hai.
zameer ahmed says
Qr code hum bhe bna sakte hain kiya??
Vikas Plus says
Ji ha bilkul aap Qr bana sakte hai !
QR Code banaye ! yaha par click kijiye .
jagmohan singh maravi says
QR cod anko se banta hai ya sabdo se
(@Shivam) says
QR Code bnane se kya labh hai aur kaise bnaye …….?
Sunny Singh says
QR code banane ki bhut si apps aati hai aap google play store par jakr pata kar sakte ho. aur iska fayda ye hai ki aap original cheezo ki pehchaan kar sakte ho.
sahil says
mai apna redeem code kai bnau
Sunny Singh says
Iske liye app aati hai aap uska istemaal kar sakte hai. Jo ki aap Google play store se download kar sakte hai.
aman pasi says
Kya apne phone pe qr code bans sakti h
Sunny Singh says
Ha aise bhut si apps aati h aap waha pr sampark kr sakte hai
arvind says
Whatsapp ka qr code kha milega
Maine whatsapp web pr bhi dekha mobile me mila nhi
Sunny Singh says
Apne mobile ke whatsapp settings me jakar aap whatsapp web ka option open kar satke hai aur jisme ki ek scaner hoga, phir computer me whatsappweb.com par jakar usme jo QR code hoga usko search kar satke hai.
Priyanka says
Helo esa krne pr ky mere friend mere msg dekh skata h kya
Sunny Singh says
Nhi.
sikandar says
mere dost ka wifi on rhta lekin pw nhi pta use uske mobile me koun sa app dalu ya scan kaise kru
Sunny Singh says
Iske liye toh koi app nhi aati hai, aap settings me jakar wifi on karte hai wo apne aap hi search karne lag jaata hai.
mukesh says
gar koi mere whatsapp web se apne qr code scane kar le toh hum kaise bach sakte hai kya karna chahiye plz bataye