Aaj ke Aadhunik yug me busy life me hum apne dosto aur ristedaaro ke sath zaada time nahi bita pate hai. kyoki kabhi office se chutti nahi milti toh kabhi hmara mann nahi hota kahi par bhi jane ke liye, kyuki hafte bar ki mahnat ke baad hum chate hai ki kuch araam ke pal apne parivaar ke sath bitaye. aur ye kuch had tak sahi bhi hai, kyuki aadmi ye saari mahnat apne parivaar ke liye hi krta hai.
Lekin 21st century ne hume ek naya upkarn diya hai jisse ki hum apne dosto, ristedaaro ke yaha par na jakar bhi unse jude hue rahe sakte hai. ji ha aap sahi samj rahe hai, wo upkaran hai Mobile Phone ye ek aisa upkaran hai jisse ki hum apne dosto, ristedaaro ka haal-chaal aur unki kabar lete rahte hai aur isse hum apne office se bhi jude hue rah sakte hai.
Mobile Phones aaj ke time me hamaare jivan ka important hissa ban gaya hia ya mai ye kahu ki iske (Mobile Phone) bina hum apna jivan soch bhi nhi sakte. 21st Century Technology(तकनीक) ki century hai. aaj hum dekhte hai ki Mobile Phones kitni Advanced Technology ke aa rahe hai jaise ki hum inme hum Call toh kar hi sakte hai sath hi sath Internet ke through facebook, whatapp, twitter, Gmail etc. se apne dosto aur apne office se bhi jude rah sakte hai.
par kya aap jante hai ki aisa pehle se nhi tha. Mobile Phone kab bana aur isko banane ka credit kisko diya jata hai ? toh aayiye hum kuch aisi hi baato di jankaari aapko apne is artical ke through dete hai.
Aage Padhe:
Mobile Phone ka aaviskaar aur janak:
kya aap jante hai sabse pehle Telephone ka nirmaan kaha hua tha ? 1947 me US me sabse pehla phone banaya tha. ye phone AT and T ki lab me banaya gya tha. iske baad ise aur devlop kiya gaya. 1950s me phone ka use keval civil services ke liye yani force ke liye hi hota tha. jabki aam aadmi ke liye phone 1973 ke baad se uplabdh hua. Ohio, ukild ke Jorge swegart ko 10 june, 1969 me sabse pehla wireless phone America me petent number 3449750 jaari kiya gaya tha.
Martin cooper ek american engineer hai jinhone lagbhag 3 April, 1973 me world ko pehla Mobile Phone diya tha. joki aam logo ke liye tha. jiska weight lagbhag 2 kg tha. sunne me thoda ajib zaroor lagega lekin aisa hi tha. aaj ki century ke hissab se ye bhut bhaari tha. lekin 1980s ki shruvaat me aisa phone rakna status symbol mana jata tha. Martin cooper ne aaj ki leading company Motorola ke sath milkar ye Mobile Phone bnaya tha baad me wo is company ke C.E.O bhi rahe. iske liye unko Marconi award se year 2013 me samaanit bhi kiya gya. ye award sanchaar ki field me incredible work ke liye diya jata hai.
Aaj ke yug me alag alag tarh ke Mobile Phones bajar me uplabdh hai jaise Smart Phones, windows Phones, Android Phones etc aaj har desh apni sanchaar vaivastha ke dum par apne vikas ko bada raha hai. sanchaar vaivastha un important piller me se ek hai jis par desh ki tarkki nirbhar hoti hai.
hum aasha krte hai ki aapko ye artical zaroor pasand aaya hoga evm isse aapke gayn me bhi badotri hui hogi. is artical se related agar aapki koi problem ya sujaav hai, toh hume niche diye gaye Comment Box me zaroor likhe. jisse ki hume apne aane wale articals ke liye inspiration mil sake aur hum un artical me zaroori correction kar sake.
Thank You for Reading.
”padte rahiye aur vikas krte rahiye”
Ye bhi Padhe:
- Skype ID kaise banate hai ?
- Blogger Blog par Read More Button kaise lagate hai ?
- Mobile Phone number se naam aur location kaise pta lagate hai ?
Comments