Agar aap ek blogger hai aur hindi background se aate hai toh kaise aap acchi english seekh kar apni english language skill ko badha sakte hai ?
Aaj ke apne is article ke dwara hum aapko yahi batane ki kosis karege.
Hum ye aksar dekhte hai, ki log hindi blog banate waqt bhut hi sochte hai, unke mann me bhut se sawal uthte rahte hai.
Jaise ki –
- Hindi blog ko padne wale bhut kam hai ?
- Hindi blog ko aap long term ke liye use nhi kar sakte ?
- Blogging ka saare system, English language ko zaada support karta hai ?
- Hindi blogging me itne paise nhi hai, jitne ki English blogging me hai ?
Ye kuch aise sawaal hai, jo hindi blogger ke mann me uthte rahte hai. Lekin yaha mai ek baat zaroor batana chahuga, ki yaha bhi ek baat matter karti hai, ki aap kis type ki audience ko target karke apna blog banana chahte hai.
Waise Hindi ek regional language hai, aur English universal language hai.
Toh aapka blog agar kuch aise topic ke baare me hai, jisko english me zaada accha likha ja sakta hai, toh aapko Hindi ke sath sath English ki knowledge honi bhut zaroori hai.
Agar apen is article me hum aapko aise tarike batayege, jisse ki aap bhut hi simple tarike se English ko seekh sakte ho.
Toh chaliye shuru karte hai.
Acchi English kaise seekhe :
Society acchi banaye :
Aap me se bhut se log sochte hai ki english seekhne ke liye English Speaking Classes bhut zaroori hoti hai.
Ye kuch hadd tak sahi bhi hai, lekin iske liye aapko in classes ke sath sath apni society me bhi thoda change laane ki zarurat hai. Acchi English sikhne ke liye aapko apne liye acchi society banana bhi bahut jaruri hai. Aap aise friends banaye jo kisi acchi company me kaam karte ho aur acchi English bolte ho. Aise friends ke sath aapko kuch accha time zaroor spend karna chahiye.
Kyoki aap jitna jaada English bolte hue dosto sunoge, utna hi aapke andar confidence aayega. Jab hum acche logo ke sath rahege, toh humara man bhi unke jaisa banne ko hoga.
English Bolne Aur Padhne Ki Practice kare :
English ko seekhne ka sabse pehla kaam ye hai ki aap English News paper, Novels, News etc ko padhe. Mere ko pata hai ki ye itna asaan nhi hai aur aapke kuch samj me bhi nhi aayga.
Lekin aisa karne se aapki words par command banegi, aur jis word ka meaning aapki samj me nhi aayga, us word ko aap dictionary me bhi dekh sakte hai, isse aapko us word ka meaning bhi pata chal jaayga
English ke words ko padhne ke liye aap aaj se hi English Newspaper lena suru kar deejiye. Isse ye hoga ki aapki English padhne ki speed badh jayegi. Aur kisi shant jagah par jakar jor jor se English padhe. Isse aapke padne ki speed strong hogi.
Vocabulary ke baare me na soche :
Normally baat karne ke liye 1000-1500 words ki zarurat hoti hai.
Baaki words toh jaise jaise aap naye words sunte hai, toh wo aapko experience ke sath hi aate hai, bewajah se words ko yaad na kare, isse kuch hone wala nhi hai.
Agar aap kisi competitive exam ki tayaari kar rahe hai, toh uske liye apko vocabulary ki zarurat padti hai, lekin agar aap motive english bol rahe hai, toh uske iye kisi bhi parkar ki koi grammer ya vocabulary ki aapko zarurat nhi hai.
Movie, Serials, Commentary or Magazine :
Kisi bhi cheez ko seekhne ke liye ek acche mahol ki zarurat toh hoti hi hai. Kayi logo ko toh aapne aise bhi dekha hoga, jo ye bolte hai ki unko accha mahol nhi milta, toh wo seekhege kaise ?
Lekin agar aapko mahol nhi mil raha raha hai toh mahol banaiye na phir, roka kisne hai. Lekin kosis na karna, toh iske liye toh aapke pass bhut se bahane ho sakte hai.
Whatsapp se aap apne business ko kaise successful bana sakte hai
Environment me wo sabhi cheeze aa jaati hai, jisse aapko seekhne me bhut madad milti hai. Agar aap acchi tarike se english me baat karna chahte hai, toh phir iske liye kuch time ke liye English movies, serials, News dekhna shuru kar dijiye. Iske sath sath English ke newspaper aur magazines ko padhna bhi shuru kar sakte hai.
In sab cheezo se aapko muskil word samjne me kaafi madad milti hai, aur words ke meaning aap pata kar sakte hai, kyuki english ek word ka 1 se zaada meaning bhi hota hai, toh isse aapki kaafi help ho sakti hai.
Mistake’s karne se darre nhi :
Agar aapko lagta hai ki bolte samye aapse galtiya ho sakti hai, ya ho rahi hai, toh isse ghabraye nhi. Agar aapse galtiya nhi hui toh iska matlb hai, ki aapne abhi tak kuch nhi seekha. Isliye English me normal taking karte waqt ye mat sochiye ki aapko jo kahna hai, uska sahi matlb kya hai, aur iske ander kis tense ki zarurat hogi, bas jo aapko lagta hai, waise hi bol dijiye.
Jo bhi aapki mistakes hai wo time ke sath sath shudar jaaygi. Isme koi darne wali baat nhi hai.
Offline Business ko online le jaane ke shaandar tarike
Toh ye thy kuch aise tarike jinko aap apne daily routine me apply karke English language par apni command bana sakte ho.
Bas ek baat ka dhyaan rakhe aapko kuch bhi aise karne ki zarurat nhi hai, aap jitne is language se daroge, utna hi ye language aapko nhi aaygi. Toh jitna ho sake apne mind ko relax rakhe, aur shuru -2 me kuch words ka use apni daily taking me kare.
Isse aapko ye pta chal paayga ki kis word ka istemaal kaha kaha ho sakta hai.
Aapko humara ye article kaisa laga aap hume neeche diye gaye comment box me bata sakte hai.
Aap hume Facebook par bhi join kar sakte hai aur humari daily update parpt kar sakte hai.
Thank you,
Altaf Hussain says
Suny Sing ji mai Aapki Blogpar Paid post Karna Chahta hu
Altaf Hussain says
Mujhe Is Email Pe Mesage Reply Karey
Altaf Hussain says
Mujhe Is Email Pe Mesage Reply Karey Sikhoweb.com@gmail.com
Sunny Singh says
contact.vikasplus@gmail.com
aap humare is address par apni guest post kar sakte ho.
HINDIGATOR says
Badiya, post hai sir,
Rakesh Kumar says
bahut hi badhiya post hai
Shivika says
Behatreen Post : Hamare blog pe bhi aap logo ka wagat hai
Jahid Anowar says
Bohat Point Rakhi hain apne. Thank you for Sharing….
Umesh Chavan says
Nice Information.