SEO me jo sabse bada challenge aata hai wo hai, Hard niche market se traffic ka aana.
Iske liye aap bhut se different types ke blog, books aur videos ko dekhte ho, lekin kya aap sure ho ki ye sab aapke liye kaam karege ?
Aapke blog ki improvement ke liye ek important part hai.
Ab har koi toh iske baare me nhi sochta, kyuki unke liye toh wahi purani SEO tricks abhi bhi kaam kar rahi hai, toh unko kya problem hogi.
Lekin agar aap unse alag ho ?
Kyuki aap apna business “hard” niche me operate kar rahe ho.
Aur ye ek true confession hai ki SEO in niches me kaafi muskil ho jaati hai, kyuki iske ander baaki SEO tricks kaam nhi karti.
Haalaki, Maine hard niches par bhut se clients ke sath kaam kiya hai aur unko isse acche se ache SEO result bhi mile hai.
Isliye hum aapne SEO plans ko lekar kaafi confident ha ki aapke liye bhi kaam karege.
Yaha par hum aapki help karne ke liye 5 aisi zabardast tips laaye hai, jisse ki hard niches me bhi aap apne business ya blog par iske badiya SEO result dekh sakte hai. Jo ki aapke liye bhut hi accha kaam karege.
Lekin ye sab shuru karne se pehle,
Hum ye jaan lete hai ki aakhir “Hard Niche” hai kya ?
Hard Niche kya hai :
Hard Niche ki koi formal definition nhi hai, lekin yaha mai aapko blog ka jikar karte hue batata hu, aapka blog niches dwara operate kiya jaata hai :
Aapke pass kam visitors hai ?
SEO competition zaada hai ?
Link building me kaafi mehnat kar rahe hai ( jabki aise blog bhut kam hai, jo aapke link ya subject se related ho)
Naye naye tarike aajma kar frustrated ho gaye hai ?
Yadi aapko blog bhi isi category me aata hai, toh is article ko padhna aapke liye bhut zaada zaruri hai.
Toh yaha mai aapko in sabke baare me apne is article me aage kuch specific example ke sath batauga.
Toh chaliye shuru karte hai.
Evergreen Blog Content kaise likhe ?
Competition aapke scope par depend karta hai :
Yaha mai aapko batana chahuga ki ye sabhi problems, aapke competition se start hoti hai.
Aise blog ya business ko highly rank par pahuchana bhut asaan hai, jiske competition me Internet par bhut hi kam website hai
Haalaki, agar aap 10 experienced SEO’s ke against ja sakte hai, toh ye kaafi bold decision hoga aur kaafi muskil bhi.
Yadi aapka blog ya business bhi kuch aisa hi perform karta hai matlb ki traffic blog ke liye bhut important hai, lekin iske liye competition bhi bhut zaada hai, insurance aur loan me aksar aapko aisa dekhne ko mil jaayga.
Iske liye aapko apni SEO strategy par bhut zaada dhyaan dena hoga aur thodi chalaki se bhi kaam karna hoga, kyuki aap apne sabhi competitors ko toh beat nhi kar sakte.
Iske liye aapko kuch unique keywords ki zarurat hai , aap iske liye research kar sakte hai, keywords aise hone chahiye jo kisi aur ke dimaag me bhi na aaye. Keyword aise hone chahiye jo trendy ho aur evergreen ho, jo time ke sath aur improve kare.
Iske liye aapko thoda smart banana padega.
Yaha hum long-tail keywords ke baare me baat kar rahe hai, jo ki zaada descriptive keywords hote hai aur jinki search volume bhi low hoti hai.
Inki search volume kam hai, isliye ye aur bhi zaada specific, aur targeted oriented aur valuable keywords hai, jinse ek healthy traffic aapke blog par aa sakta hai.
Sort keywords ke mukable long-tail keywords zaada search nhi ki jaati hai, lekin hindi blogging world me long-tail keywords ka short-tail keyword ke mukable bhut paryog ho raha hai.
Ye kisi bhi parkar se naya nhi hai, kyuki long-tail keyword traffic badane me kaafi madad karta hai, isliye isko istemaal karna ek acchi seo strategy ho sakti hai.
Long tail keywords ko kaise dhude :
Jahir si baat hai ki long tail keyword research bhut pehle se chalta aa raha hai lekin zaadatar log is tarf dhyaan hi nhi dete hai. Lekin kuch SEOs jo smart hote hai, wo long-tail keywords ko hi target karte hai, kyuki wo jaante hai ki, in keywords par rank karna asaan hota hai.
Lekin un SEOs ki sakhya bhut kam hai.
Iske baad bhi agar aap bhut se long-tail keywords koj rahe hai, toh aapko humesha bhut se naye keywords milte rahege, agar aapme dhudne ki iccha hai toh.
Kyuki, best keyword khojna itna asaan nhi hai.
Sabse zaada bekar (SEOs jo ki kaafi zaada hai) dhudne ki bajaye, sirf specific keyword ki khoj ki jaaye toh thik rahega, isiliye zaadatar blogger ya businessman Google Keyword Planner ka paryog karte hai.
Lekin hazaro logo ko ye sab ke sapne jaisa lagta hai aur wo sirf yahi cahte hai ki unko bas usi keyword me kaam karna hai, phir chahe wo lena chahte hai, usko is baat se koi fark nhi padta hai, ki us keyword me competition kitna hai ?
Agar link ko search karna muskil ho raha hai toh, kuch hatkar soche :
Kuch niches – jaise marketing, recipes, aur entertainment niches, inko links karna bhut asaan hota hai.
Hazaro, lakho blogs aapko links karna chahege, yadi aapke blogs par quality content hai, wo good causes ke liye bana hua hai.
Lekin kuch niches, jinke blog abhi tak nhi bane hue hai unko toh aap link nhi kar sakte.
Toh iske liye aapko thoda creative hone ke zarurat hai.
Iske liye sirf ek hi effective strategy hai, jisse aap related niches ke links parpt kar sakte ho.
For Example :
Yadi aap ek plumber hai toh aapko in niches ke zarurat hogi :
home DIY
home decor
beauty/life
Basically, Agar aap kisi dusre niche ke baare me soch rahe hai toh aapko us field me specialist hone ke zarurat hai.
Uske baad hi baaki ki SEO tactics aapna role play karti hai jaise – guest posting, forum posting etc.
Chalo aapko hum ek example ke dwara samjaate hai.
Maan lijiye ki aap ek home decorator ho.
Aap kaise ghar ki sajawat karte ho,usko kaise manage krte ho. In fact, ye ek acchi long-tail phrase me convert ho sakti hai.
Ab aapke dimaag me thoda doubt aa raha hoga ki ” aap iske sath kya kar sakte hai “?
Aap apni website ke liye content bana sakte hai aur yadi koi usko padhta hai aur aapke blog par aata hai toh aap usko link up karne ke liye bol sakte hai. Aap isko standard SEO tactic kah sakte hai.
Iske alawa, aap kisi popular website par guest post karne ke ideas ko bhi use kar sakte hai.
Ye sab sirf long-tail keyword par hi rank nhi karta hai ya traffic lata hai, balki, jaise hi aap website par post update karte ho ya nayi post daalte ho, waise hi aapki website par referral traffic bhi aa jaata hai.
Kabhi bhi aadhi knowledge lekar shuru mat karo :
Yadi aap ek Hard niche ko lekar research kar rahe hai toh aapke pass ek brand new website ka hona bhut zaruri hai, kyuki ye SEO ko successful banane ke liye ek lambi yatra ho sakti hai.
Kuch types ke businesses, jaise ki local businesses hai, toh uske liye aapko ek alternative rakhna chaiye : jaise ki aap iske liye dusri website ki domain authority ko use kar sakte hai.
Perfect Headline likhne ke 5 asaan tips
For Example :
Yadi aap apni city me “International courier service “ ke liye results dekh rahe ho toh kuch results aise aapke samne aayege :
Aap in sites me ye dekh sakte hai ki inki khud ki international courier service nhi hai balki ye dursi courier companies se tie up hai.
Yadi aap bhi apni koi aisi service banate ho toh, automatically aapko bhi kisi company se tie up karna hoga, ye aapko acchi search authority dega, jisse ki aapki website zaada se zaada logo ko dikhni shuru ho jaaygi.
Sabse zaada important baat ye hai ki, in sites ko authority hai ki wo kisi bhi website ke sath tie up kar sakti hai, kyuki unki SEO bhut hi acche tarike se hui hai, jisse unki website par backlinks ki quantities, bhut zaada hai.
Aapko bas ye karne ki zarurat hai ki aapne aapko unke important pages par sabse accha dikhana hai aur aapke page par unke backlinks aapko search result me high rank dete hai.
Aapko ye sab karne ke liye link ki bhi zarurat nhi hai, jiski aapko zarurat hai wo hai reviews. (jo aapko batate hai ki aapki website kaisa kaam kar rahi hai)
Competitor analysis : Pehla kadam hamesha important hai :
Sabse pehle toh mai aapko bta du ki sabhi website, kahi na kahi, links toh ho rakhi hoti hai.
Aur Jo tools aapke pass aaj ke time me uplabdh hai, uske baad aisa koi reason nhi hai jisse ki aapko ye lage ki aapki website par zaada link nhi hai.
Ye koi nayi technique nhi hai, lekin ya aaj bhi sabse zaada effective hai aur effective tarike se hi backlinks aur search rankings ko improve kar rahi hai.
Ye zaada hard nhi hai, lekin aapko is technique ko kuch time toh dena hi hoga.
Ye ek simple procedure hai.
#Step 1 : Apne competitor ki ek list banao :
Sabse pehle aapko apni jaise sites ki ek list ki zarurat hai – jo ki aapki competitors hai.
Yadi wo aapki tarh hi hai, toh aap bhi unki tarh hi usi pakar ke links paane ke saksham ho jo links unke pass hai.
Sabse pehle ek list banaye, uske baad apne niches se related popular terms ko search kare aur un sab sites ke top 10 URLs ki ek list banaye :
Yadi unki sites kisi ek specific topic par hai toh, aap sirf unke domain name likh sakte hai, lekin yadi unki website different topics par hai toh aap unke URLs ko copy karke apni list me add kar sakte hai.
Step #2 – Unke backlinks ki bhi list banao :
Agar aapko isse aage badna hai toh aap aapko Ahrefs aur majestic dono hona hoga.
Yaha aapko dhyaan rakhna hoga ki aapko backlinks ki list banani hai, na ki affiliate links ki. Jo ki ab tak ke best link data base hai.
Yadi aap SEO ke liye series hai toh ek choti si monthly cost aapke liye kuch maayne nhi rakhti.
Apni list ke anusaar jaayiye, aur ek – ek karke URLs aur domain name ko site explorer me enter kar dijiye.
Iske baad, aap “backlinks” panel par jakar results dekh sakte hai aur aapko ek hi page par sites ke sabhi backlinks ki information mil jaaygi.
Step #3 – Ab aapko ye dekhna hai ki , kya aap unme se kisi links ko parpt kar sakte hai:
Ab jo asli kaam hai wo yaha par hai.
Aapko un sabhi pages par jaane ki zarurat hai, jo aapko lagta hai ki aapki website ke liye bhi hai aur dekhna hai ki kya aapko usse related link, un pages se mil sakte hai .
Ye ek page ho sakta hai, jisse aap bhut saare links ko pa sakte hai.
Yadi aapke pass ek sahi resource pae hai, toh aap simple tarike se email ke through owner se sampark karke usko apni site ke liye backlinks lene ke convince kar sakte hai.
Dusre tarike ye hai, ki aap unki website par guest post ke dwara links parpt kar sakte hai. Aap website owner ko gmail ke dwara guest post send kar sakte hai.
Yadi aap 100% success rate nhi pa sakte, toh koi baat nhi, aap apne sabhi competitor ke duplicate bhi bana sakte ho.
Jo links bhar se aate hai, unke through ye sabse accha tarika hai.
Finally note, ye hai ki jo tarike maine bataye hai unko soch samjkar use karege, toh bhut hi zald aapko seo traffic improve karega.
Toh ye thy kuch tarike jinko apply karke aap apne Hard Niche se bhi ek accha traffic generate kar sakte ho.
Aap humara ye paryas kaisa laga, humne niche diye gaye comment box me likhkar zaroor bataye.
Aap humse Facebook par bhi jud sakte hai aur humse sawaal jawab kar sakte hai.
Thank you,
luc says
sir phone ka password bhul ja ne par with out data loss aur bina phone ko root kiye phone ka password aur pattern kase open kare
sir mujhe Jo tarike pata h vo ya to fectory reset kar ke lekin sir reset kar ne mai phone ka data cala jata h sir aap koi solutions bataye
sir vese agr phone ka password bhul jaye to mobile repering shop me le ja ne par vo laptop se phone ko connect kar ke aur vo pattern lock ho ya password do no ko hi vo mach kar ke thodi der mai vo phone ko unlock kar de te h sir vo kon se application ka use kar the h
Sunny Singh says
Aisi kisi app ke baare me mere ko nhi pata, aur wo jo app use karte hai wo official hoti hai, jiske liye pay karna hota hai.
luc says
sir aap koi solutions pata ho to bataye Jo aap ko pata ho sir please eske liye koi solutions mujhe chaiye
Sunny Singh says
Phir toh aapko mobile service center par jakar hi pata karna chahiye.
dilip says
mere blog me kya kami hai ki post me high ranking keyword bhi use kiye or seo report 53.1 % hai fir bhi search result me post nahi aati
Sunny Singh says
Humne ye article aapke liye hi banaya hai, isko dhyaan se padhe aur dekhe ki kya samsya hai, mere khayal se aapne wo content likha hai jisme ki competition bhut zaada hai.
lucky says
sir game online h ya offline kase pata kare
Sunny Singh says
Simple hai, online game jab bhi aap khelte hai toh wo login mangta hai, jab ki office game me aisa kuch nhi hota.
Harpreet Kumar says
bhai jo bhi aapne samjhaya hai. me ise or bhi deeply janana chahta hai.
kya iske liye YouTube per Hindi tutorials bhi hai. agar hai toh kya aap mujhe link bej sakte hai.
Sunny Singh says
Iske liye toh english ke article padh sakte hai, ya phir blogging se related books ko read kar sakte hai.
Lucky says
Sir bina game ko download kare kase Jane ki game offline h ya online h sir kuch game download ho ne ke bad online calte h jase Pokemon go sir vase kase Jane
Sunny Singh says
Bina download kiye bina aap ye nhi dekh sakte ki kon sa game offline hai ya online .