Aapki Sabhi services Gmail se lekar YouTube Google account ka istemaal karti hai, hum kabhi kabhi ise Gmail account kehte hai lekin asal me ye Google account ki ID hoti hai jisse hum Gmail chalate hai.
Agar aapne seekhte seekthe kayi sare Google accounts bana liye hai, ya aap Google account kisi wajha se delete karna cahte hai to mai is article mai aapko sikhauga ki ye sab kaise karna hai.
Google Account Delete Karne ke Steps:
1. Sabse pehle Google Account (accounts.google.com) ki link mai jakar login karo.
2. Aapke samne ek page khulega jisme ki ek box mai Sign-in & Security likha hoga, us box par click karo.
3. Left me ek menu bana hoga, uss menu me se “Delete your account or services” par click karo
4. Is page me apna Google account poori tarha se Delete karne ke liye Delete Google Account par click kare
5. Ab Google aapko kahega ki “Ye account ek baar Delete hone ke baad dobara kabhi wapas nahi khulega. Aap is account ka sara Data download karke rakh sakte hai”. Agar aap apne account ka data download karna cahte hai to download your data par click kare, aur apna data download karle.
6. Is page par neecha aapko Google ki kuch conditions ko check karna hoga.
Conditions check karne ke baad DELETE ACCOUNT button par click kare. Click karte hi aapka Google account hamesha ke liye Delete hojaega.
Agar aapko ye account pasand aya to isi tarha ki aur update ke liye hamara page https://www.facebook.com/vikasplus like kare.
Is article mai apne seekha ki Google account kaise delete karte hai,
Dhanyawad.
Ye bhi Padhe:
- Facebook par ID kaise Banate hai ?
- Twitter par ID kaise Banti hai ?
- Facbook ID ko kaise Delete kare ?
Google acaunt sequrti seting me otp pasward kaise set kare kripya bataye
Just aapke liye maine ek post likhi hai, is padhe : Google mai 2 Step OTP verfication kaise ON kare ?. Thank You for Visiting Vikas Plus.
kase pta chalega ke gmail account delet ho gaya
plz is ke bare me btay
Jab aap apna account log in karoge toh wo chalega hi nhi.
Gmail delate ki achhi jankari ha
mere I phone me gmail I’d padi this jab Maine apna set khareeda to usme gmail I’d shop wale me dal ke diya tha Maine apna mobail farmet kar diya to WO wahi gamail mang rahai hai air mai WO gamail bhool gaya hu air password bhi mera mobail khul bhi nahai rahai hai mai kya karo plz help
Toh aap apni nayi gmail ID se log in kar sakte hai.
Google Account delete kiya hua open kese karte hai brother bataye please
Delete kiya hua account open nhi ho sakta.