Apne aas paas ke mahol ko samjhna aur usse jaagruk rehne wala insaan hi jindagi me kuch kar sakta hai. Kyoki is jagrukta se wo apni jindagi me kisi bhi problem ko samajh kar use khatam kar sakta hai. Jaada jaagruk bannae ke liye jaroori nahi hume badi badi cheezo se shuru karna hai, hum phele choti cheezo se shuru karte hai, fir apne aap humari capacity badi cheezo ke liye bhad jaati hai.
Mai aapse poochta hun ki kya aap choti si cheez jaise ki apne keyboard par banse sabhi buttons ki jaankari rakhte hai? Esi choti si cheeze hi batati hai ki aap apne kaam ko lekar kitne utsuk ( उत्सुक ) hai. Is utsukta ko hi check karne ke liye Interview me aise sawaal pooch liye jaate hai.
Is article me hum apne keyboard ki sabhi function keys F1 se F12 tak ki jaankari seekhege. Ye kuch shortcut keys hai jo hamara kaafi kimti time bacha sakti hai.
Ek baat dhyaan rakhiye ki sabhi programs/software in keys ka use nahi karte, aur ye keys alag alag software me alag alag tarhe se bhi kaam kar sakti hai.
F1 Key
- Kisi bhi software mai F1 key press karte hi us software ka Help and Support center khul jaata hai, jaha se aap software sambandhit saari jaankari le sakte hai.
F2 Key
- Ye key kisi bhi file ya folder ko Rename karne ke kaam ati hai. Bas kisi bhi file par click kare aur F2 key press karde. File rename hojaegi.
F3 Key
- F3 Key dwara aap search kar sakte hai. Chrome browser khol kar search par click karege to search bar khul jaega. Aur agar aapne computer ke desktop par jaakar F3 dabaoge to Windows ka search bar kul jaega.
F4 Key
- Ye key apne aap mai jada kuch nahi karti leking agar
- Aapko kisi software ko bina cross dabaye band karna hai to aap Alt + F4 ek sath daba sakte ho
- Aur agar aapko kisi software ke ander ki tab ya window bund karni hai to aap Ctrl + F4 daba sakte ho.
- Chrome browser mai kisi tab ke upar Ctrl + F4 dabaoge to tab close hoga aur agar Alt + F4 press karoge to poore ka poora chrome hi bund hojaega.
F5 Key
- Ye bohot jada use hoti hai. F5 Key refresh karne ke kaam ati hai.
- Aap is key se browser refresh kar sakte hai
- Ya fir desktop ko bhi refresh kar sakte hai.
F6 Key
- Apne browser ke address bar mai cursor bar lijakar active karne ke liye is key ko press kare.
- Dubara is key ko babane ke baad ye cursor ko apni jagha par wapar le ati hai.
F7 Key
- Is key ka windows mai to kuch use nahi hai, lekin is key kisi software se judi ho sakti hai.
F8 Key
- Computer On karte samye Windows Startup Menu mai jaane ke liye is key kar use hota hai.
- Startup menu mai se hi Save Mode khola jata hai
- Agar aap kabhi Windows install karege to is key ka kaam jaroor padega
F9 Key
- Is key ka windows mai to kuch use nahi hai, lekin is key kisi software se judi ho sakti hai.
F10 Key
- Is use software ke pehle menu mai jaane ke liye hota hai, fir aap is menu me se arrow keys ke dwara select kar sakte ho
- Shift + 10 dabane kse Right click menu khul jaata hai
F11 Key
- Is key dwara hum kisi bhi browser ko Full Screen Mode mai daal sakte hai.
- Full screen mode mai browser full screen ho jata hai aur sabhi menus aur toolbars har jaate hai
F12 Key
- Is key ka sabse popular use Chrome browser ka Developer Tools kholne ke kaam ata hai.
- Normal logo ke liye is key ka windows mai to kuch use nahi hai, lekin is key kisi software se judi ho sakti hai.
Kayi programs jese ki MS Excel keyboard shortcuts ko aur jada kaam feature se jodne ke liye Function keys ka kaafi use karte hai. In shortcuts ko jadatar Ctrl + Key, Shift + Key ya Alt + Key ke combination mai use kia jaata hai. Ye combination bohot useful hote hai kyoki insme aap bohot jada time bacha sakte ho.
Agar aapko bhi koi aisa shortcut pata hai jo maine is article mai nahi likha hai to neeche comment karke jaroor bataye.
Thank You 🙂
- Laptop kharidne se pehle in baato ka rakhe khyaal !
- Laptop ki battery life badane ke kuch asaan tarike !
Leave a Reply