Aaj hum aapko batayege ki aap Data Entry Job ko karne se pehle aapko kin kin baato ka khyaal rakhna chahiye.
Adhunik yug me hum jab bhi online paise kamane se sambandit koi bhi kaam karne ke baare me sochte hai, ya phir kisi ko suggest karte hai toh, sabse pehle jo dimaag me aata hai wo hai
Online Data Entry work !
Hum yahi sochte hai ki Data entry work se hum online bhut sa paisa kama sakte hai, aur kuch had tak ye sahi bhi hai.
Data Entry work me paise toh bhut hai, lekin iske sath sath bhut si problem bhi hai, jis par hum log itna dhyaan nhi dete. Lekin phir bhi koi bhi kaam ( Date Entry ) bina kuch enquiry ke karte rahte hai, jiska result end of the day kabhi kabhi zero bhi ho sakta hai.
Toh aapki inhi baato ko samjte hue hum aapke liye lekar aaye hai, kuch aisi jaankari jiske baare me aapko online kaam karne se pehle pata hona chahiye.
Toh chaliye shuru karte hai.
Data Entry work karte samye dhyaan dene wali kuch baatin :
Enquiry kare :
Hum jab bhi online work karne ke baare me sochte hai toh humare dimaag me sirf paise ki baat hi aati hai, jaisa bhi kisi ne kah diya waise hi manne lagte hai. Hum thoda sa bhi ye nhi sochte ki kya sach me hume isse itni asaani se paise mil sakte hai ?
Sabse pehle aap jis kisi company ki online ya phir offline entry kar rahe hai, uske baare me aapko sab kuch pata hona chahiye.
For Example : Company office kaha hai ? Agar company durse country ki hai toh, uska yaha par regional office kaha par hai ?, Payment kaise karti hai ? currency kya hai ? Dollar or rupee etc.
In sab cheezo ke baare me aapko sab kuch pata hona chahiye.
Kyuki agar aapko ye sab kuch pata nhi hoga, toh company koi na koi policy banakar aapko paise kam ya na dene ke bahane dhudti rahti hai.
Toh humesha kaam karne se pehle terms and conditions ke baare me poori jaankari le kar chale.
Choice rakhe :
Jab bhi aap kisi bhi kaam ko karne ke liye jaaye, jaisi ki data entry toh uske ander aap companies ki choice rakhe. Kyuki aisa nhi hai, jis company ka kaam aapke friend ya relative ne kiya hai, waisa kaam aapke liye bhi sahi ho.
Kon se computer courses hai aapke liye
For Example : Data Entry me jo kaam hote hai, unko karne ka ek alag tarika hota hai, jaise ki agar aapke dost ne english ya math ki data entry ki hai toh wo aapko is work ko hi recommend karega, kyuki agar usne ye kar li hai aur usko isse acchi earning ho gayi hai toh aap bhi isko karna chahoge.
Computer keyboard ki short cut keys ki poori jaankari
Lekin agar aapki is par command acchi nhi hai toh aap iske ander bhut si galtiya kar doge, ya phir aap is kaam ko beech me hi chod doge. Isme aapka time bhi aur mehnat dono lagegi aur kuch hoga bhi nhi.
Toh jab bhi koi kaam (date entry ) karne ke baare me soche toh ye dekh le ki ye aapke bas ka hai bhi ya nhi, kyuki aisa na karne se aapki mehnat bhi bhut lagti hai aur kuch milta bhi nhi hai.
Accuracy :
Aapko data entry se kitne paise milege ya phir aapka apne work me kitne perfect hai ye sab aapke kaam ki accuracy par depend karta hai.
Zaada tar data entry work me aisa hota hai ki, aap apna sabhi kaam complete karne ke baad submit kar dete hai, lekin uske baad bhi aapko ya toh kam paise milte hai ya phir paise milte hi nhi hai.
Aisa isliye hota hai ki aapke kaam ki accuracy jo company ko chahiye thi, waise nhi hai, ya phir bhut kam hai, toh wo uske according hi aapko aapke kaam ka payout karte hai.
Toh kaam online ya phir offline le waqt aapko ye dekh lena chahiye ki company ya ko govt. department us kaam me kitne accuracy maang raha hai, kaam ke according wo accuracy sahi bhi hai ya nhi.
Data Entry work ke liye kuch important tips :
- Agar ko company ya firm aapse data entry karane ke bhane se paise ki demend karti hai, toh mere khyaal se ye sab kuch ek dum galat hai, toh yadi aap bhi data entry karne ke baare me soch rahe hai, toh aise company se savdhaan rahe.
- Yadi aap koi online data entry work karna chahte hai toh, aap Freelancer sites jaise :- Freelancer, Upwork, Elance etc me aapko register karna hoga. In websites me fraud ka 1% chance bhi nhi hota. JIsse ki aapko apne kaam ka poora paisa mil jaata hai.
- Data entry ke liye aapko computer ki Basic jaankari toh honi hi chahiye.
- Typing, Data entry me bhut maayne rakhti hai, kyuki is par depend karta hai ki aapki data entry se hone wali income kam hogi ya zaada. Agar aapko typing nhi aati hai, toh aapke liye data entry work karna bhut muskil sabit ho sakta hai.
Toh ye thi kuch aisi baatin jinko aapko data entry work karte samye dhyaan me rakhna chahiye, kyuki aaj kal bhut si fraud companies data entry ke bahane logo ka bewkuf bana rahi hai.
Agar aapke kuch swaal ya sujaav hai jo humne is article me nhi likhe hai toh aap unko neeche diye gaye comment box me likh kar hume send kar sakte ho.
Aap hume facebook par bhi join karke humari daily update le sakte ho.
Thank you,
Asween says
Jo data entry work ke baareme soch rhe he yaa abhi halme data entry work kar rhe he unke liye yah tips bahut hi upyogi he.aapne sabhi chij bahut vistar se samjai he.
Rashid Ansari says
nice post aapne zabaab nahin diya earning ka
Sunny Singh says
Kis type ki earning ka ?