Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Blogging dila sakti hai aapko ek acchi job

August 26, 2016 By Sunny Singh

Aaj apne is article me hum aapko batayge ki kaise blogging aapko badiya job provide kara sakti hai.

Jaise ki humne apne pehle article me bhi bataya tha ki kaise college students ko blogging se faayde ho sakte hai, kaise wo blogging ke jariye kuch aisa kar sakte hai, jisse ki unki life bilkul change ho sakti hai.

Jab bhi aap blogging karte hai, chahe phir wo kisi bhi topic par kyu na ho, tab aap ye nhi dekhte ki, jo blog aap bana rahe ho ya jo post aap kar rahe ho wo logo ko pasand hi aaygi.

Kuch log us post ko pasand karege, toh kuch aapko criticise bhi karege. Lekin is criticism me bhi aapka hi faayda hai. Kyuki isse aapko ye pata chalta hai ki aap kaha par galti kar rahe hai, aur aapko kaha par improvement ki zarurat hai.

Jisse ki aap apni post ko aur attractive bana sakte ho aur zaada se zaada readers ya visitors ko apne blog par la sakte ho. Jaise ki maine pehle bhi aapko bataya tha ki, ager aapka blog ek baar famous ho gaya toh aapko iska full time bhi kar sakte ho.

Lekin jo log abhi college me hai, aur job ki talash kar rahe hai, toh unke liye bhi blog ek important role play kar sakta hai.

Jab bhi mai college se pass out fresher ko un-employe dekta hu toh mere ko bhut dukh hota hai, kyuki itni acchi study krne ke baad bhi humare desh me unke liye ek acchi job tak nhi hai.

Kuch freshers ko toh apni league se hatkar job karni padti hai, jisse ki unki salary bhi kam hoti hai aur kaam bhi apni manpasand ka nhi hota.

Toh kuch toh interviews bhi clear nhi kar paate. Jo ki ek first aur important step hota hai kisi bhi job ko paane ka.

College ke students ko blogging kyu karni chahiye.

Aise kuch fresher ke sawaal humre pass daily aate hai, jo ki kuch karne ke liye bhut confuse rahte hai.

Aise hi kuch sawaal hai :

Sir jab bhi mai kisi interview me jaata hu toh mai bhut ghbra jaata hu aur jo answer mere ko aate bhi hai, unko bhi sahi dhang se nhi de pata ?

Sir fresher ko interview me kin kin cheezo ka dhyaan rakhna chahiye ?

Mai aapni language ko kaise improve kar sakta hu ?

Aise hi bhut se sawaal humare pass daily aate hai.

Toh in sabhi sawaalo ka jawab aap sirf ek accha blog bana kar pa sakte hai.

Kaise ??

Aapke mann me ye swaal zarur uth raha hoga.

Toh chahiye shuru karte hai.

Blog banakar kaise paaye acchi job :

Skills improve kare :

Jab bhi aap blog banate hai, toh wo aap apni skill se related hi banane ki kosis kare. Jaise ki aapne Online Market Research ki hai, aur aapko koi accha topic mil gaya hai, jaise ki humara blog education se related hai.

Toh agar aapka interest journey, travelling me hai toh aap Photography, Travels, Journey etc se related blog bana sakte hai. Isse kya hoga ki aapka interest skill me convert ho jaayga.

blog-post-

Jaise ki aapko nayi nayi jagaho ke baare me jaane ka bhut accha mauka milaga, aur aap iska faayda, job ke liye apply karne ke time me bhi kar sakte hai.

  • Free Blog banane ke 8 best platforms
  • WordPress.com par Free Website/Blog kaise banaye

Aap kisi bhi tour and travel company me as guide, manager ki post ke liye apply kar sakte ho. Ager aapki knowledge acchi hai toh aapko ek accha package bhi mil sakta hai.

Language Improvement :

Blog banakar aap apni English ya phir dursi languages me bhi ek acchi command pa sakte ho. Jo ki aapki madad interview ke time karti hai.

Blog par aap jo post daalte ho, aur uske reply me toh comment aapki pass aate hai, wo english aur hindi dono language me aate hai, jisse ki aapko ye pata chalta hai, ki language ko proper flow me kaise bola ya likha jaata hai.

Aur jaise jaise aap readers se intract karte hai, unse baat karte hai, toh aapki language me improve hoti hai. Jiska faayda aap job ke liye apply karne ke time le sakte hai.

Hesitation door hoti hai :

Interview me sabse common problem jo ki sabke samne aati hai wo hai Hesitation.

Ye ek aisa word hai, jisse aaj kal lagbhag har naye bande ko tension me daal diya. Aap interview me sabhi swaalo ke jawaab aate hue bhi, aap kisi bhi swaal ke jawab sahi se nhi de pate.

Jisse aapko rejection ka muh dekhna padta hai.

Toh blogging me problem ka ilaaz bhi hai.

Jab bhi aap koi blog banate hai aur comment me aap logo ke swaalo ka jawab dete hai, toh aapko ye pata chalta hai ki aap kis parkar apne blog ko improve kar sakte hai, ki kya kya galti hui hai.

Kuch reader aise bhi hote hai, jinse aap phone ke through baat karte hai toh yaha se aapki hesitation door ho sakti hai, shuru me 1-2 baar aapko thoda nervous  feel hoga, lekin dheere dheere aapke ander ek confidence gain hone lag jaata hai, ki aap kisi se bhi baat kar sakte hai.

Aur jab aap reader se baat karte hai toh aap different tone me baat karte hai, toh isse aapke bolne ke tarike me bhi badlaav aata hai, jisa faayda aapko nayi job karne ke time me milta hai.

Communication Skill improve hoti hai :

Ye ek important part hota hai, jab aap job kar rahe hote hai.

Kabhi kabhi badi company aapko sirf isliye heier kar leti hai, kyuki aapki communication skills acchi hai, aur aapko unko acche clients lakar de sakte ho.

Toh aapki ye quality bhi blogging ke jariye acchi ho sakti hai, Blogging ke dauraan aap different types ke reader se baat karte ho, unke jo bhi doubts hai unko clear karte ho. Isse aapka client/readers se ek accha interaction ban jaata hai.

pic-2

Aapko ye pata chal jaata hai ki client ko kaise impress karte hai, aur wo aapke blog ya product ke baare me kya kya puch sakta hai.

Isliye aapke pass unke sabhi sawaalo ke jawaab pehle se hi tyaar rahte hai.

Toh ye thy blogging ke kuch behtarin faayde, jinko aap apni professional life me apply karke, ek acchi job pa sakte ho.

Aise hi behtarin article padhne ke liye vikasplus ko follow karte rahiye.

Ager aapke koi sawaal ya sujaav hai toh aap hume neeche diye gaye comment box me bata sakte hai.

Thank you,

 

Filed Under: Basics

Comments

  1. सक्सेस गुरु जी says

    August 26, 2016 at 7:31 pm

    बहुत ही अच्छी जानकारी है आपकी मेरा एक प्रश्न है की मेरे ब्लॉग को गूगल से बिलकुल भी ट्रैफिक नही मिल रहा जबकि सभी SEO नियम को फॉलो कर रहा हूँ

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 27, 2016 at 1:27 pm

      Iske liye ek baar aap humari seo series ko follow kar sakte hai.

      Reply
  2. सक्सेस गुरु जी says

    August 26, 2016 at 7:55 pm

    एक प्रश्न और अभी मेरे ब्लॉग पर 19 पोस्ट हैं तो क्या अभी एडसेंस के लिए अप्लाई करना ठीक रहेगा या कुछ और पोस्ट्स लिखे

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 27, 2016 at 1:27 pm

      Abhi aap kam se kam 40-50 article ho jaane de uske baad hi adsense ke liye apply kare.

      Reply
  3. lucky says

    August 26, 2016 at 10:06 pm

    Sir mai ne blogger par Blog banaya h lekin vo Maine phone se banaya h sir mujhe apna blog website ko Google search engine mai Aad karna h sir kase hoga phone se.

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 27, 2016 at 10:48 am

      Blog post ko Google, Bing, Search Engine se kaise jode
      Aap is article ko follow kar sakte hai.

      Reply
  4. Umesh Chavan says

    August 28, 2016 at 5:01 pm

    बहुत ही अच्छी और उपयोगी जानकारी दी है. पार्ट टाइम ब्लॉग्गिंग से अच्छी इनकम भी कर सकते है. कॉलेज के साथ ब्लॉग्गिंग करना बहुत अच्छी सोच है. इससे आपको लेटेस्ट technology के बारे में पता चलता रहता है.

    Reply
  5. Sabina says

    August 31, 2016 at 9:15 pm

    Ye ek achha information hai. America ki ek news company mujhe 6 mahine pehle job offer kiya tha. Par us time busy hone ke karan me join nahi kar payi.

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 1, 2016 at 10:28 am

      Sabina opportunity ek baar hi milti hai, waise aap us job ke liye dubara try kar sakti hai.

      Reply
      • Sabina says

        September 1, 2016 at 11:08 am

        Han kar sakti hun, par mujhe freedom chahiye, jo ki mujhe apne blog se milti hai.

        Reply
        • Sunny Singh says

          September 1, 2016 at 1:52 pm

          Hmm ye sahi baat hai, ager aapka interest blogging me hai toh aap isko hi continue kr sakti hai.

          Reply
          • Armaan hussain says

            April 26, 2020 at 11:41 am

            Nice information ye article bahut upyogi tha

  6. lucky says

    September 5, 2016 at 6:57 pm

    Sir 3rd Party Android App kya hora h

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 6, 2016 at 1:19 pm

      Wo apps jo play store se nhi milti.

      Reply
  7. Daya shankar maurya says

    September 9, 2016 at 2:29 pm

    Nice information Bro keep writing this Type posts.

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact