Jab bhi aap koi naya blog banate hai, sabse pehle aapki soch yahi hoti hai ki aap “Apne Blog se Paise kaise kama sakte hai ? “
Ji ha mai bikul sahi kah raha hu aur aap me se zaadatar visitor mere se sahmat bhi hoge.
Kyuki wo jamana chala gaya jab log sirf logo tak apni baat pahuchane ke liye Blog banate thy. Aaj kal sabhi naye blogger, Blog sirf isliye banate hai ki blog se kuch income kar sake. Jo main manta hu ki sahi bhi hai.
Aaj kal Blog banane ke liye bhut si website aapko free blog banane ki facility(platform) bhi deti hai. Ex. WordPress, Blogger, Tumblr etc.
Lekin mera aapke ek sawaal hai. “Kya sirf Blog banakar ya kuch post karke hi aap paise kama sakte hai ?”
Iska jawaab hai “nhi”.
Aap me se hi bhut se naye blogger humse rozana yahi sawaal puchte hai ki “Sir mere blog ko bane hue 6 month ho gaye hai, lekin usse kuch bhi income nhi ho rahi hai, jabki meri website par quality article bhi hai, lekin phir bhi mere blog ka traffic badh hi nhi raha hai, mai kya karu ?”
Aur I’m really very sure ki aapke sath bhi aisa zaroor hota hoga ya hua hoga.
Aise hi kuch naye visitor se mai ye swaal zaroor puchuga aur ye zaroori bhi hai ki, “kya Google Search Engine ya kisi aur Search Engine me aapke website First page par aa rahi hai ? “
And I’m really very sure ki aapne ab tak is baat par kabhi dhyaan hi nhi diya hoga.
Apne Blogger Blog Ko Webmaster Se Kaise Jode
Toh aaj mai aapko batauga ki aap kaise apni new website/Blog ko Google Search Engine me la sakte ho. ( Blog ko First page par kaise laate hai, iske baare me baad me baat karuga.)
New Blog/Website ko Google Search Engine ya Dusre Search Engine(Yahoo, Bing) me kaise laaye :
Aapko apne blog ko search engine me laane ka koi charge nhi dena hoga, kyuki ye bilkul free suvida hai, chahe koi bhi search engine kyu na ho.
Toh aayiye ab shuru karte hai :
Blog ko Google Search Engine me kaise laaye :
Sabse pehle aapko Google me jakar google.com/uddurl link ko search karna hoga.
Link par click karte hi aapke samne Search Console ke naam se ek page open hoga, jisme aapko apni website ka URL daalna hoga.
URL daalne ke baad aapko Google ke tarf se ek confirmation message aaye ki aapki request receive kar li gayi hai.
Next step me aap Add a property me jaakar apni website ka URL dobara daal kar Continue par click karege.
URL add karne ke baad aapke samne ek message open ho jayga ki aapki property add kar li gayi hai, baaki ke steps aapko e-mail ke jariye bataye jayge.
Next page me aapke smane ek page khulega, Jisme aapko Alternate methods par click karke, HTML tag par jakar diye hue code ko copy karna hai.
Copy kiye hue HTML tag ko aapko apne Blog ki Template me jakar Edit Template karke, head ke ander isko copy karna hoga.
HTML Code copy karne ke baad aapko Verify par click karna hoga, Iske baad aapke samne ek aisa massage aayga. Jo is baat ka confermation hoga ki aapka code approve kar liye gaya hai.
Iske baad dekh sakte hai ki aapka blog google search engine me aa jayga.
Toh dekha aapke kitna asaan hai apne blog ko Google Search Engine me laana.
Agar aapke koi swaal ya sujaav hai toh aap hume neeche diye gaye comment box me likhkar de sakte hai.
Thank you,
Shibam Kar says
Very informative post. Thanks for sharing.
Abhay soni says
Sir mera ak blog hai jisame jab maine blog banaya tha tab maine uska name interestedknowledgecom name rkah but bad maine blog ki setting ne jakar mai http://www.information.com kar diya to blog me upar http://www.information.com dikh raha hai but google me interestedknowledgecom search karne par hi mera blogmilta hai kya karoo more meri pahale post ko chhodkar maine usi bad wali link par blog banaya hai ti jab stats me http://www.information.com me jakar check karta hoo tabhi kitane visitor aaye hai batata hai kya karoo please help kijiye
जमशेद आज़मी says
बहुत ही बढि़या जानकारी। सच में हम बिना सर्च इंजन में अपने ब्लाग को लिस्टेड कराए न तो पैसे कमा सकते हैं और न ही अपने ब्लाग को दुनिया की नजरों के साामने ला सकते हैं।
Zoya Kazmi says
It is really good to know for a nebiew blogger to understand how to index his/her blog on search engines. Your posts are always helpful. keep sharing more.
Sunny Singh says
Thanks for appreciating my job
VIVEK XESS says
सर जी,
अपने ब्लॉग को गूगल,bling में कैसे ऐड करें वाली पोस्ट में,,जो add प्रॉपर्टी अपने बताया ये मुझे कहा मिलेगा??
मुझे search console वाले में your request has been received and will be processed shortly…show kr rha h..