Internet par blogging karne walo ka ek lakshya to jaroor hota hai, ki wo apni website par traffic bhadana cahte hai. Apni website ki ranking dekhna jaroori hai, website ki ranking agar badh rahi hai to wo aapko batati hai ki aapki website sahi disha me ja rahi hai.
Alexa ek chrome ki extension data hai jo apko aapki website ki ranking batati hai. Dunia me caroro logo ne apne browser me Alexa toolbar laga rakha hai, in sabhi logo ki jaankari Alexa walo tak pohchti rehti hai ki wo konsi website par ja rahe hai, aur isi jaankari se Alexa ye andaja lagata hai ki websites ki ranking kya hai.
Alexa ki Chrome Extension kaise lagaye:
Ab me aapko batauga ki aap kis tarha apne chrome browser me alexa ki extension laga sakte hai.
Step 1: https://chrome.google.com/webstore/detail/alexa-traffic-rank/cknebhggccemgcnbidipinkifmmegdel website par jaye.
Step 2: Add to chrome par click kare
Aur popup khulne par dubara se Add par click kare
Aage Padhe:
Step 3: Ab upar Alexa ka icon add ho jayega, is icon par click kare.
Is page par se “Accept and Enable” par click kare. Aisa bas aapko pehli baar plugin activate karne ke liye hi karna hoga.
Step 4: Ab aap kisi bhi website ki Alexa rank check karne ke liye is icon par click kar sakte hai.
Alex ranking kaise bhadaye
Mai bas is baare me do hi shabd kahunga “Quality Articles“. Agar aap apni website par quality ke article nahi likh rahe hai to aap jitna margi time laga le aapki website par na to kabhi traffic aayega aur na hi kabhi iski ranking bhadegi.
Ha aap kuch dino ke liye apni website ki ranking bhada sakti hai Internet se faltu ki tricks laga kar, lekin agar aapko lambe samye me kaamyaab banna hai to aapko Quality posts hi likhni padegi.
Quality se mera matlab hai aisi cheeze jo aapki website par aane waale logo ko seekhaye, kuch de. Aapme se bohot se log ye sochte hai ki hum internet par website banayege traffic layege aur paisa kamayege, par bhaiya traffic to insaan hi hai, jabtak aap use kuch nahi doge to wo bhi aapko kuch kyo dega.
Ab agar aapke pass quality posts hai to aap ye kuch steps kar sakte ho:
- Social media jaise ki Facebook, twitter, google plus par regularly apni website se sambandhit kuch na kuch update jaroor kare.
- Aagar aap apne blog par kabhi kuch daalte hai aur fir kahi din tak gayab rehte hai to alexa aapke blog ki ranking kam kardega. Aapko ranking bhadane ke liye time to time kuch an kuch daalna padega
- Logo ke comments ka jaroor reply kare, isse unhe jada madad milegi aur wo aapki website ke regular readers ban jaege.
Asha karte hai ki Hamare is Article se apko Alexa Ranking ko samjne me madad milegi . Aise hi aur bhut se article ke liye hamara facebook page zaroor join kare .
Thank you ..
ye bhi padhe:
ramesh kumar sharma says
namskar sir ,
uper aapke bataye step ke anushar alexa ki site open karte hai. aage aapne bataya add to crome par click kare lekin hamare pass esaa aata hai. available on crome us par click karte hai tab new window khuli hai. aapke step 3 me bataya hua aata hi nahi hai. plz. help me.
thanking you
karan says
No Alexa rank kyu Ho rhi h meri website Ki 2 days Ho gye website upload karey huye
karan says
Verify bhi krdiya Gaya h
Sunny Singh says
abhi thoda time lagega aapko kyuki alexa ranking aane me thoda time zaroor lagta hai. keep waiting
chaitanya says
Thanks bhai nyc
dharmendra kumar says
muje apne blog ke kuch back link jo blogvarta or hamari vani par hai usko delete karna he wo me kaise karu
http://www.digitalnewhunt.in
Sunny Singh says
Jis website ke backlinks hai aap unko e-mail karke bhi bol sakte hai. jisse ki wo aage aapke blog par backlinks nhi dege.
rohit says
muje alexa ki rank kam karni h
http://www.allhelpinhindi.com
Sunny Singh says
Alexa rank kam tabhi hogi jab aap quality post apni website par daaloge.
anuj godara says
aap alexa tool bar apne blog par laga sake hai jisse, alexa aap ke blog par najar rakhegi…
Shuvam kar says
bhai mere facebook page pe itna likes he phir bhi alexa rank bohot upar he
Sunny Singh says
Alexa ranking aapke fb page ya phir us par aane wale likes ko count nhi karta hai. wo dekhta hai ki aapki website par content kya hai aur aap itne time baad us par article post karte ho.
yash jat says
Hello sir mere blog pr pahle golobal renk or rank in india dono hi show ho rhi thi lekin kuch time se sirf golbal rnk hi bata rha he alexa me ab me kya kru jisse inda ki renk bhi bataye
Sunny Singh says
Aap Alexa rank ko dubara re-install karke dekh sakte hai.
yash jat says
Thanks sunny
Narayan Soni says
Sir Me Roz Apni Website Par Post Dalta Hu Lekin Meri Website Ki Alexa Rank Bahut Jyada He Kya Karu http://Www.hindihelppoint.in
ek baar aap chack kijiye
Sunny Singh says
Itni zaldi nhi hogi post se kuch nhi hoga google ye bhi dekhta hai ki aapke articles ki quality kya hai aur us par traffic kya aa raha hai. phir hi aapke blog ki ranking deta hai.
shubham sharma says
nice post bhai….. muje apne blog ko wordprees me chang karna he.. paji ho jayega kiya??????? plz help me