Hum sabhi log 3D video dekhne ke liye Cinema hall jaate hai, lekin har roz bahar movie dekhne nahi jaa sakte aur na hi roz roz 3D movies release hoti hai. Upar se 3D movie dekhne ke liye hume mehngi ticket bhi leni padti hai.
Acha hota ki hum apne laptop ya computer par hi 3D movies dekh paate…
Kya ye sambahav hai?
Is article me hum seekhege ki kis tarha hum bina ticket ke ghar bethe 3D movie ka anand le sakte hai.
Apne computer me 3D movie chalane ke liye sabse pehle humare pass
- Computer hona cahiye jo HD movies chala sake
- 3D movie honi cahiye (Youtube par bhi uplabdh hai)
- 3D Glasses hone cahiye.
Laptop kharidne se pehle in 9 baato ka rakhe khyaal
3D Glasses Kya hai?
3D movie ya Video do hisso ko milakar banti hai jo 3D effect banate hai. Is 3D effect ko humari ankhe nahi dekh sakti.
Is effect ko dekhne ke liye hame ek 3D Glass cahiye hota hai. Is glass ka ek lense Lal rang ka hota hai aur doosra Neele rang ka.
Aap cellophane sheed ka use karke apne normal chashme ko 3D chashme me convert kar sakte hai. Aur agar aap cahte hai to Internet se bhi 3D glasses kharid sakte hai.
3D Video Kaise Chalaye
Agar aapke pass theek speed ka Internet hai to aap online Youtube player par 3D video ko chala sakte ho. Jaise is video me NASA ke international space station ko 3D mai dikhaya gaya hai.
Ya phir aap 3D movies ko Internet se Download karke KMPlayer me chala sakte ho. KMPlayer 3D movies chalane ke liye sabse famous software hai.
To agli baare se jab bhi kabhi aapki theater me 3D movies miss ho jaye to aapko koi bhi tension lene ki jaroorat nahi hai. Bas Internet se 3D movie download karo, apne 3D glasses lagao aur pop corn ke saath Movie ka maza lo.
Maycon says
Haahaaaa such a cute poem n such a good article my tip for evonreye is to make a healthy diet a part of your life .that way it won’t remain a special diet for occasions’ ..of course we all can have the tasty unhealthy food guilt free occasionally .
Vishal says
Sir Maine new hp ka laptop Liya h usme Mai store chla tha Hu pr Vo connect bhi hora
Sunny Singh says
Store kis type ka ? Aapne ye nhi bataya .
Anurag rajan topno says
Dusra tarika nahi hai kyu