Kya aap kisi ko apne computer ki ko internet dwara apne screen dikhana cahte hai, ya phir kisi dost ke computer ko door bethe control karna cahte hai?
Ye sabh sambhav hai screen sharing apps dwara, screen sharing aap dwara aap dunia ke kisi bhi kone mai bethe vyakti ko apne computer ki screen dikha sakte ho ya phi computer control bhi kar sakte ho.
Bohot se Internet customers apne customers ko project dikhane ke liye esi apps ka use karte hai, aur mai bhi kayi baar apne kisi dost ko computer control karke uski kisi software sambandhit problem sahi karne me help kar deta hun.
TeamViewer
TeamViewer sabse bhadia aur famous remote desktop controlling app hai, ye app personal use ke liye free hai.
Is App ki khass baat ye hai ki ye cross-platform hai, iska matlab ye Windows, Linux, Apple OSx, Android, iPhone, iPad etc sabhi devices me kaam karti hai.
App screen sharing ke sath sath chat bhi kar sakte ho, aur whiteboard par kuch draw karke bhi kuch samjha sakte ho.
Is App ko use karne ke liye dono computer par app honi cahiye, aur jis computer se control karna hai us computer ki app me doorse computer ki App se diya gaya ID/Password daalna hota hia.
Mai aksar is App ko Skype ke sath use karta hun. Jisse ki mai apne client ko baat karte karte samjha saku.
TeamViewer is list me ek hi App hai jo ki Remote Desktop, Yani ek desktop ko doorse desktop control karne ke capability rakhti hai.
Skype
Skype dunia ki sabse famous Video chat service hai, aur ye abhi Microsoft ke pass hai. Skype ko aap screen sharing tool ki tarha bhi use kar sakte hai.
App skype se sirf screen share kar sakte hai, lekin team viewer ki tarha computer ko control nahi kar sakte.
Skype ka ye feature free hai.
Aur Skype un logo ke liye bhadia hai jo apni screen par kuch dikhana ya samjahana cahte hai.
Aage padhe :
- Laptop karidne se pehle in baato ka rakhe khyaal !
- Laptop ki Battery life badane ke kuch asaan tarike !
- Pdf document kya hai ?
Google Hangouts
Google hangout bohot jada use hota hai online community me, shayad aapne bhi kabhi ispar group video chatting ki hogi.
Google hangouts me bohot saare features hai, aur aap iska use screen sharing app ki tarha bhi kar sakte hai. Is app ko use karne ke liye aapke pass bas ek Google hangouts account hona cahiye.
Abhi 2015 ka jo latest trend hai wo hai ki Google hangouts par screen share karke sath hi Youtube par daal dena, aisa isliye sambhav hai kyoki Google Hangouts aur Youtube dono Google waalo ke hai. Is tarha ki video share karne ke bohot jada ache SEO benefits bhi bataye jaa rahe hai. Aur ye SEO trend aapne waale 2016 me bhi grow karega.
To agar aap is trend ko follow karoge to shayad aap kaafi aage nikal sakte ho.
Join.me
Join.me ek bohot is assani se use karne wali screen sharing app hai, iska unique point ye hai ki isme aapke viewers ko app download nahi karni padhti, Bas jise apni screen share karni hai use app download karni padegi.
Ye app aapko seconds mai screen sharing capability de deti hai.
Join.me ka free version aapko Instant screen sharing aur video conferencing call ki suvidha deta hai.
Aap free version me mobile app bhi use kar sakte ho, files transfer kar sakte ho aur white board ka use bhi kar sakte ho. Mujhe lagta hai ki free version me aapki jaroorat ke sabhi features hai.
Screen Leap
Screen leap ek screen sharing service hai jo ki apne free version me hume 1-2 hours/day use karne ki facility deti hai.
Screen leap bohot hi flexible app hai, ye app free version me aapko upto 8 viewers ke sath screen share karna allow karti hai.
Ye One-click screen sharing service hai, iski installation ke baad viewers ko ek code mil jata hai, jike use se wo laptop, tablet ya mobile phone kahi se bhi aapki screen dekh sakte hai.
To ye thi kuch screen sharing aur Remote desktop Apps, agar aapko lagta hai ki inse bhadia bhi koi app hai to hume neeche comment section me jaroor bataye.
Ye bhi padhe :
- Zip Document kya hai, isko unzip kaise kare ?
- Android kya hai ?
- Pdf ko compress karne ki kuch behtren aap !
Umesh Chavan says
bahut hi accha article hai vikas ji
Mohammad says
Sir website mai kyaa kyaa chise add kar ke Paise kamaa sakte hai
Mohammad says
Sir website mai kyaa kyaa chize add karke Paise kama sakte hai
Mohammad says
Sir website mai kyaa kyaa chize add karke paise kamaa sakte hai