Humne apne pechle article me aapko bataya tha ki college students ke liye blogging, kaise nayi jobs ke darwaje khol sakti hai aur kaise college going students apna self confidence pa sakte hai.
Aaj hum aapko batayge ki Ek blog ke liye uska Design kyu accha hona chahiye ?
Jaise jaise hum technology ki tarf ja rahe hai, internet iske ander ek aham role play kar raha hai. Aaj hum apne ghar bathe internet ke jariye kahi, kisi bhi jagah ki knowledge ko apne Laptop, PC, ya phir mobile me seconds me dekh sakte hai.
Kahi bhi kisi bhi desh ke logo se ek hi click me baat aur photos, documents share kar sakte hai.
Foreign countries me logo ne internet ko apni part time ya phir full time kamai ka jariya bhi bana liya hai. Jisse ki wo apni job toh karte hi hai, lekin sath me internet ke through blogging, sales, affiliate etc jaise tariko se ek acchi khaasi extra income bhi kar lete hai.
Abhi ke samye me india me bhi internet se paise kamane ka ek daur/trend sa chal gaya hai. Sabhi newcamer students ya phir jo log job me hai wo bhi internet ke jariye apni kuch extra income kamana chahte hai.
Internet par jo sabse zaada trendy tarika chal raha hai. woh hai Blogging.
Aaj kal har koi banda jisko internet ka thoda sa bhi gyan hai wo blogging ki field me apna career banana chahta hai. Lekin ye sab kuch itna asaan bhi nahi hai.
WordPress.com par free website/blog kaise banate hai ?
Kyuki agar aapko thoda sa bhi blogging ka gyan hai toh aapne ye toh dekh li liya hoga ki, iske ander competition kitna zaada hai.
Isliye aapko apne blog ke liye acche content ke sath sath, blog ke design par bhi mehnat karne ke bhut zarurat hai.
Jisse ki aapka blog aapko acchi healthy earning de sakta hai.
Toh aaj humara article iske baare me hi hai ki kaise aapke blog ka design behtar hona chahiye.
Toh chaliye shuru karte hai.
Blog design ko kyu behtar banaye :
Zaada visitors paane ke liye :
Aapne aksar ye dekha hoga ki, kisi ke article bhut acche hote hai, easy to understand hote hai. Phir bhi uski earning zaada nhi hoti, aur log uski website ya blog ko itna pasand nhi karte.
Aur wahi dusri tarf dusre blog ka high quality content na bhi ho, lekin uska design attractive hone ke karna us par visitors ki bhut zaada bheed rahti hai.
Free Blog banane ke 8 best platforms
Toh humara bhi matlab bilkul saaf hai ki, acche content ke sath sath ek behtar design aapke blog ko top par pehucha sakta hai.
Ad networks ke ads ke liye :
Hum aksar vikasplus, facebook, twitter ya apne youtube channel par logo se baat karte hai, toh hume kuch question hai, jo baar baar repete hote hai.
For EX – Sir hume apne blog par adsense lagaye hue 1-2 month ho gaye hai, lekin abhi tak hume koi earning nhi hui hai ?
Sir adsense ads ke liye koi best position batayiye, jisse ki humari earning ho sake ?
Mere ko lagta hai ki ye problem bhut hi common si ho gayi hai, khass kar hindi blogging me.
Toh iska ilaaz me bhi aapke blog ka design, kyuki kabhi kabhi blog ka design itna complicated ho jaata hai ki aapko ye samj me nhi aata ki aap post me ads kaha par lagaye.
Jisse ki visitors ko aapna ad dikhta hi nhi hai. Jiska aapki earning par bhi asar padta hai.
Blog design ko kaise behtar banaye :
Blogging ke liye paid platform chune :
Aksar log blogging ke liye free platform chunte hai, jaise ki blogger.com, wordpress.com, tumblr.com etc. Lekin ye blogging start karne ke liye sahi hai, jab tak ki aapko blogging ke baare me itni knowledge nhi hai.
Lekin ager aapko blogging ko professional banana hai toh aapko koi na koi paid blogging platform toh chunna hi padega.
Wo isliye kyuki free version ke mukable paid platform me aapke pass option bhut zaada hote hai. Jaise ki free platform me 3-5 themes hi available hoti hai, jabki paid platform me bhut si themes hoti hai jinko aap kuch paise dekar kharid sakte ho.
College ke students ko blogging kyu karni chahiye.
Free platform ki saari authority google ke pass hoti hai, wo jab chahe aapka blog bina kisi warning ke band kar sakta hai, jab paitform me aisa mumkin nhi hai.
Paid platform me aapke pass theme ke sath sath plugin, back up, SEO, site stats etc ke bhut hi acche plugin free available ho jaate hai, jab free me aisa kuch nhi hota hai.
Paid website banane ke liye wordpress.org sabse best platform hai, jiska use india me bhut zaada ho raha hai. Toh aap isko bina kis tension ke use kar sakte hai.
Quality Content :
Jab bhi aapko koi naya blog banaye toh is baat ka dhyaan zarur rakhe ki, us blog ka par jis kisi bhi field se related content ya article, post jo kuch likhe uski quality bhut hi acchi honi chaiye.
Kyuki aaj kal lagbhag sabhi field se related blog ki ek baadh si aa gayi hai, isliye aap jab bhi kisi topic par post likhe toh uski quality ko maintain rakhe.
Iske liye aap apne visitors se baat kar sakte hai aur unke reviews aur feedback le sakte hai.
Website ki ranking kaise badaye
Unka kya pasand hai ya nhi, aapki pehli post se unko kya faayda hua, ager nhi hua toh kyu nhi hua ?
In sabhi baato ke baare me market research karke apne next article ko apne pehle article se behtar banane ki kosis kare.
Kyuki agar aap apni galtiyo se seekhge nhi toh chahe wo blogging ho ya phir aur koi field aap kabhi successful nhi ban sakte.
Blog ki speed :
Jab aap kisi naye design ko apply kare, toh sabse pehle ye dekh le ki uski speed kya hai ?
Matlab ye ki jab aapke net ki speed slow hai tab bhi ye usi tarike se open ho jaise ki normally open hota hai.
Page Rank kya hai Aur ise Kaise Bhadaye
Kyuki humare yaha india me abhi bhi zaadatar hisso me 2G net hi chal raha hai, aur zaadatar humare visitors mobile ka use karte hai, toh heavy website hone ke karan, websites mobile par nhi khul paati hai.
Jisaka nuksaan blogger ko uthana padta hai. Toh isliye design aisa ho ki 2G net connection me bhi asaani se open ho sake.
Mobile Responsive design :
Jab bhi aap apne blog ko design kare ya phir kisi designer se design karwaye, toh is baat ka khass dhyaan rakhe ki blog ka design mobile responsive ho.
Kyuki india me zaadatar log mobile par hi internet use karte hai, aur blog par bhi sabse zaada traffic mobile ke through hi aata hai.
Agar aapka blog mobile me nhi chalega toh iska bhut bada nuksaan aapko utna pad sakta hai.
Toh ye thi kuch aisi baatin jinko aap apne blog me apply karke apne blog ko top blog list me shamil kar sakte ho.
Ager aapke koi sawaal ya sujaav hai toh aap hume neeche diye gaye comment box me humse puch sakte hai.
Thank you,
Leave a Reply