Aaj ke apne is article me hum aapko batayege ki kaise aap full safty ke sath online shopping kar sakte ho, aur wo bhi bhut hi asaani se sath, bina kaise confussion ke.
Abhi kuch saalo pehle tak hum log wahi purane pehle ke traditional tarike ko shopping karne ke tim follow kiya karte thy.
Jaise ki cash lekar apne local market me jaana aur jo lena hai wo le lena, aur aaj bhi humare bade aise hi shopping kiya karte hai.
Mai yaha ye nhi kahna chah raha hu ki ye sab tarike galat hai, kyuki aaj tak humne bhi aise hi shopping ki hai.
Lekin ab time badal gaya hai, ab sabko koi bhi cheez bhut fast chahiye, aur wo bhi bina koi time waste kiye, kyuki time aapka ho ya aapke parents ka wo toh kimti hota hi hai.
Toh aaj kal jo trend me chal raha hai aur jisko shayed aapne bhi kiya hua hoga, wo hai ONLINE SHOPPING.
Ji ha hum usi online shopping ke baat kar rahe hai, jo aapne ki hui hai.
Online shopping me offline shopping ke mukable bhut se faayde hai, jaise ki iske ander aapko kisi bhi product ki bhut si choices rahti hai, jo ki aapko offline shopping me dekhne ko nhi milti hai.
For Example : Yadi aapko koi mobile purchase karna hai toh aap apni range ke according shopkeeper ko bologe ki wo us particular range ke handsets dikhaye. Toh wo aapko sabhi companies ke handsets dekhayega.
Lekin agar aapko sirf micromax ke hi handsets dekhne ho toh, wo uske pass available nhi hoge. Kyuki Shop kitni bhi badi kyu na ho, lekin wo ek hi range ke bhut se mobiles phones nhi rakh sakti.
Aisa hi haal lagbhag sabhi cheezo ka hai, chahe wo cloths ho, shoes ho etc.
Lekin Online shopping me aapko aise bhut si choices mil jaaygi, jo ki aapke budget aur comfort ke according bhut acchi ho.
Jaise aapko ek particular range ke handsets me bhut si choices mil jaaygi, jo ki offline available nhi hoti, aisa hi baaki products ke sath bhi ho sakta hai.
Flipkart par id kaise banaye ?
Toh aaj ke time me Online shopping hi ek aisa tarika hai, jisse ki aap apne pasand aur brand ki cheeze bina ki tension ke ghar bathe order karke, mangwa sakte ho.
Toh aaj ke apne is article me hum aapko batayge ki kaise aap ghar bathie hi, online shopping kar sakte ho, aur ye kaise ki jaati hai.
Toh chaliye shuru karte hai.
Online Shopping kaise karte hai ?
About online shopping :
- Sabse pehle toh ye baat jaan le ki Online shopping kaise ki jati hai aur isme kya kya jaruri hai aur kaise payment kiya jata hain.
- Kaise aur kaha aapko apna product mileg.
- Kitne din lagenge aapko apna product milne me.
- Jaise ki koi product hume pasand nahi aaya toh, uske liye aapko refund policy ki jankari honi chahiye ki kaise product return kiya jata hai.
- In sabke liye aapko apne paas normally shop account, email id, phone number, payment ke liye credit aur debit card jaisi chizo ki jarurat hoti hai Jiski counting aapko pehle se kar leni chahiye. Kyuki kabhi kabhi aadhi adhuri jankari hone par hume problem ho jati hai,
Choice best online shopping sites :
Jitni teji se Internet badh raha hai utni teji se iske user badh rahe hain aur usse bhi jayada teji se Online Store Jo ki sabhi tarha ke hote hain jinka aashani se pata nahi lagaya ja sakta ki real hai yaa fake.
Internet se paisa, ecommerce website aur free blogging #AskVikas Episode 5
Iske liye aapko pehle unn best online shops ( websites ) ke baare me pata karna hoga, Jo ki real hai aur badhiya product milte hai .
Inme se kuch best online shops jaise ki Flipkart , Amazon , Snapdeal , eBay , Abof , Jabong , etc aise hain jinka ham HTTPS:// internet security dekh kar pata laga sakte hain ki, kon sa Real Hai aur konsa fake .
Jo online shops real hote hain unme humesa web address se pehle green color me https:// ki Security milegi jiska matlab hai ki ye website aapke liye safe hain.
Lekin dhyan ye bhi dena hoga ki kuch fake shopping Website bhi https:// security rakhti hain.
Apne Product ko uske price ke sath dhude :
Best online shops ke baad aapko uske andar a/c banane ke baad, Wo samaan select karna hota hai, Jo aap buy ( kharidna ) karna chahte hain.
Ex :- Clothing stores , Electronic , Lifestyle , Home , Application , Books And Other .
Kuch bhi cheez buy karne se phele product quality and company aur uske review ke baare me zarur jan lena chahiye. Aap chahe toh price ki tulna Offline Market aur Other Shooping Companies se bhi kar sakte hain, jisse aapko price aur Quality ka Pata chal sake.
Dhyan rahe real market auor Online Market me milne wale Product me bhut fark hota hain, kyuki kabhi kabhi online shopping me dikhta kuch aur hai aur milta kuch aur hai. Iske sath sath aap % Discount ka bhi dhyan kar sakte hain aur koi Coupons ho aapke paas usko bhi apply kar sakte hai .
Discount coupons Code se aapko kuch % kam Price me samaan mil sakta hai jisse ki aap paise ki bachat kar sakte ho. Waise bhi aapko un products ko hi buy karna chahiye Jinme pehle se hi kuch % discount mil raha ho lekin product ki quality zarur dekhe .
Payment method ka chunaav kare :
Jitna ho sake utna aapko ” Cash on delivery ” ka option select karna chahiye jisse ki 99% forud se bacha ja sakta hai. Agar Cash nhi hai toh aap Credit card ka option select kar sakte hai, jo ki ek best option hai.
Agar aapko pata hai ki Store real hai, Tab aap Debit card yaa Net banking ko use kar sakte hain aur payment complete kar sakte hain. Lekin jaldbaji naa karke dhyan me rakh kar payment kare .
Paytm kya hai aur Paytm par Account kaise banaye
Payment karne ke liye fast internet connection use kare nahi toh kabhi -2 server down ho jane par payment beech me ruk jata hai jiski wajha se problem hoti hain payment gateway se money company tak pahuchne me .
Isliye jayada lafde me naa padkar cash on delivery ka Option chune, jisse ki product jab aapke hatho me hoga tab aap payment kar sakte ho.
Track your Product :
Aapne ko samaan buy kiya hai usko aapke paas puchne me 2-7 din tak ka Time lagta hai, Jo ki aapki location par depend karta hai, ki aap kha rehte ho.
Purchase hone ke baad aapko ek mail milta hai jisme aapko tracking ID milti hai jisse aap apne dwara buy kiye huye product ko track kar sakte ho ki, kaha par hai aur kab tak aapke paas pahuch jayega
At last jis din aapke paas finally products pahuchega, toh aapke paas seller ki taraf se call aa sakta jo ki aapko batayga ki aapka buy kiya huaa samaan aapke paas kab tak pahuch jayga. Aur aapko batai gayi location par puchna hoga.
Toh ye thy kuch aise tips jinko aap online shopping karne ke liye apply kar sakte ho.
Aapko humara ye article kaisa laga, aap hume neeche diye gaye comment box me bata sakte hai.
Thank you,
Vishnu Kant Maurya says
Bahut achhi jankari.par bahut sare online shopping me COD ka option nahi hota hai .
Sunny Singh says
COD ki facility kuch city me avaliable nhi hoti hai, isliye website ya apps me us particular product ke samne COD ka option show hi nhi hota hai.
BHEEKHAM SAHU says
Dear Sir
Mai bahot try krta hu kuch online purchase karne ki jaise Amazon ya shopclus jaise shoping websit se par mujhse nahi hota please HELP me na please mere mail id bheekham.sahukurud@gmail.com pe example ke sath koi link bhe kar meri help kar dijiye na jise mai kar saku please sir help me.
Sunny Singh says
Flipkart par Id kaise bananye ?
Is article ke jariye aap flipkart par id banakar online shopping flipkart se kar sakte hai.
bhupendra says
bhai mere blog me Maine popular post aur blog achive aur aur bhi kuch add kiya hai par ye sab computer me to dikhai de rahe hai par mobile par show nahi ho rahe hai bhai plz help me aur agar ye templet ki kami hai to kon sa templet lagana chahiye Jo blogger par hi available ho bhai plz aur mere blog me read more ka option bhi nahi aata
RAHUL says
bahut hi acchi jankari di hai aapne ….bhai kya hum cod select karke ghr par card se payment kar sakte hai ?
Nikhil Arora says
Depend karta hai courier company par.