Aaj hum apni Make Money Guide ke is naye article me aapke laye hai, ek naya Ad Network jiske baare me humare naye blogger ne abhi tak shyaad suna nhi hoga.
Yadi Aap me se bhut se log un hazaro bloggers me ek hai, Jo Google Adsense dwara ban kiye ja chuke hai, kyuki shayed aapne google ki terms and conditions ko follow nhi kiya. Toh aapko nirash hone ki koi zarurat nhi hai kyuki hum aapke liye laaye hai ek naya ad network hai, jo ho sakta hai ki “Google Adsense ka best alternative ho.”
Toh chaliye bina samay gawaye shuru karte hai :
Revenuehits kya hai aur ye kaise kaam karta hai ?
Revenuehits ek Ad Network hai, jo MyAdWise Ltd company dwara operate kiya jaata hai. Iski shuruwat 2008 me hui thi. Revenuehits ki team me experienced Tech Professionals, finance experts aur kamyaab online marketers as a joint team kaam karte hai. Aur duniya bhar me log Revenuehits ko hi Google Adsense ka alternative mante bhi hai.
Revenuehits kaise kaam karta hai :
Revenuehits ek pure CPA ( Cost Per Action ) platform hai. Toh isme ye baat matter nhi karti ki aapki website par kitne click/impressions aaye hai, chahe wo 1 lakh click ho ya phir 1 lakh impressions, kyuki ye CPC ya CPM ke method par kaam nhi karta hai. Isme hume jo bhi paisa milta hai wo hume apni website ke visitors ke action par milta hai. Jiska matlab hai ki jab bhi website visitor ad par click karega toh usko ad me dikhya jaane wala ek particular software install karna hoga. Don’t worry ye software 100% safe aur genuine hote hai.
Revenuehits kiske liye hai :
- Un Bloggers ke liye jinhone Google Adsense try nhi kiya hai ya reject ho chuke hai.
- Jinhone liye jo 100% paise kamane ke liye hi blog banaya hai.
Chitika kya hai aur isske paise kaise kamaye ?
Affiliate Marketing ke jariye, Flipkart, Amazon, snapdeal se paise kaise kamaye ?
Revenuehits par Account kaise banate hai :
Sabse pehle hum har baar ki tarah RevenueHits ko Google Search Engine me search karte hai aur jo website shuru me ya ye bole ki 1 number par aati hai us par click karte hai.
Website ka Home page khulne ke baad hum Right Side ke last button Login par click karte hai.
Jaise ki aap dekh rahe hai ki ye form Publisher ka Sign In mang raha hai. Lekin aapka toh abhi Revenuehits par account hi nhi hai, toh aap Create an account here par click karke naye account ke liye apply kar sakte hai.
Jaise hi aap Create an account here par click karte hai toh aapke samne New Publisher Registration form aa jata hai. Isme aap sabse pehle Site/App information par apni website ki information ko fill karte hai. ( dhyaan rahe ki ye jaankari bilkul sahi honi chahiye )
Next step me aapka option aata hai Partner Information jisme aapko apni personal information fill karni hoti hai.
- Username : Ye kuch bhi ho sakta hai.
- Name : Website/Blog run karne wale ka naam .
- Password : Ye aapke Revenuehits account password hai, jaise ki aapka facebook ka password hota hai thik waise hi. Isko apply karne ke baad hi aapka Revenuehits account open hoga.
- Email : Ye bikul sahi hona chahie.
- Phone No : Aap apna phone/mobile no isme fill kar sakte hai.
- Skype : Aapka Skype address
- Referred by : Agar aap Revenuehits ke kisi publisher dwara referred kiye gaye hai toh, waise isko fill karna zaruri bhi nhi hai.
Apne Blog se paise kamaye 2016 ?
Billing Preferences :
Is field me aap apna payment method select kar sakte hai, jiske dwara Revenuehits aapko payment bejegi.
Fill up karne ke baad aap continue par click karke next step par ja sakte hai.
Continue par click karne ke baad aapke samne Terms and policy ka ek page khul jayga. Jisme saaf saaf likha hua hai ki aap RevenueHits ke ads ko kisi adult site par tag nhi kar sakte hai.
Is par click karne ke baad hi aap I Agree To These Terms and Condition par click karke aage ja sakte hai.
Iske baad aapko aapki Email ID ( jo aapne form me fill up ki hai ) par ek email aayega. Jis par Activate My Account likha hua hoga. Is par click karne ke baad aapka Revenuehits Account active ho jayga.
Active ho jaane ke baad aap Sign In me jaakar apna Username aur Password daal kar Sign In button par click karke Account ko open kar sakte ho.
Jaise hi aap Sign In karte ho toh aapka Revenuehits Account ka Dashboard open ho jayga. Isme aap Reports, Placement, Payment etc sabhi parkar ki jaankari le sakte ho.
Isme aap apni website par Desktop ya Mobile Placement me jakar Ad place kar sakte ho.
Desktop ads me aapko bhut se ad placement format milte hai, jaise ki is picture me dikhya gaya hai. Toh aap inme se kisi bhi option ko choose kar sakte ho.
Thik Desktop ke jaise Mobile me bhi aapko 5 tarike ke ad placement option milte hai. Jisko ki aap apni website me apply kar sakte ho.
Revenuehits ke Fayede :
- Sign Up karte hi ek dum approve ho jata hai.
- Apne hisaab se Ads Choose kar sakte hai ( Isme bhut se option bhi hai )
- Isme aap minimum 20$ Payout le sakte hai.
- Revenuehits CPA par kaam karta hai, Isliye iska CPM baaki Ad network se behtar hai.
Umeed karte hai ki aapko humara ye paryas zaroor pasand aaya hoga. Agar aapke koi sujaav ya swaal hai toh hume neeche diye gaye comment box me zaroor likhe, isse hume aapka point of view samjne me madad milegi
Aap hume social media par bhi follow karke humare daily update parpat kar sakte hai. Humare Social Media addresses hai :
Thank you.
Alkesh says
Revenuehits se add lene ke liya humari website ki pojision kya hone chaye iske niyam kya he sr btae.
Sunny Singh says
kahi par bhi jaha par zaada se zaada click aa sake kyuki ye CPA par kaam karta hai toh aapke visitors ko ads par click karna zarori hota hai.
Iske liye aap Revenuehits ki terms and condition ko follow kar sakte hai.
Quick Knowledge says
Mujhe ye janna hai ki koi bhi visitor Software ko install krega???
Mujhe nahi lagta hai…
Kya aur koi upay hai visitor ko Ad. par click krwane ka…