- Agar aap ye article padh rahe hai to mai maan leta hun ki aap ek Hindi blogger hai aur Adsense se earning kar rahe hai, ya phir earning karne ki soch rahe hai.
- Ye article un logo ke liye hai jinka adsense account approved ho rakha hai, aur agar nahi ho rakha to bhi aap is article ko extra jaankari ke liye padh sakte hai ya phir humare pechle aritcles ko pad kar approve kara sakte hai.
Adsense Account Zald Approve karaye !
Pehle mai aapko ye batana cahta hun ki Google adsense aapko payment tabhi bhejta hai jab aapki earning ek limit ke upar chali jaati hai, is hum payment threshold bhi kehte hai, aur adsense publishers ke liya payment threshold $100 hai.
Ek aur baat ye hai ki Google adsense aapki ek mahine ki payment agle mahine ki 21 tarik ke baad hi bhejta hai.
Maan lijiye ki aapne is mahine Google adsense dwara $200 earn kiye, ye limit se upar hai, Toh Google aapko ye $200 ka amount next month ki 21 tarik ke baad transfer karwa dega.
- Pehle India ke banking system jada accha naa hone ke kaara pehle google adsense ke payment check dwara bhejta tha, jisme payment aane me 15-20 din lag jaate the aur kaafi problem hoti thi
- Leking ab internet aur banking system ke sudhar ki wajha se Google india me EFT payment system shuru kar diya hai.
Infolinks se paise kaise kamaye ?
Affiliate marketing se kyu hai paise kamana asaan ?
EFT kya hota hai?
- EFT ko hum Electronic fund transfer kehte hai, ye ek tarike hai jisme wire transfer ke dwara Google paise directly aapke bank account me transfer kar sakta hai.
- Iske kuch fayade hai jaise ki
- Wait nahi karna padhta: Jaisa ki maine pehle bhi kaha ki check pahuchne me kaafi time lag jaata tha. lekin EFT me payment internet dwara hoti hai, jiske kaaran aapki payment nikalne ke 1-2 din ke andar aapke account me pohoch jayegi.
- Kam paise kat te hai: Check clear karne ke liye bank EFT se jaada paise kaat ta hai, EFT me transation fees to bachthi hai sath hi aapki bank aane jaane ki aur check sambhalne ki tension bhi nahi rehti
Agar apaki earning $100 se upar ho gayi hai aur aap adsense se payment apne bank account me direct transfer karwana cahte hai to aapko aapna bank account adsense ke sath jodna hoga.
Google Adsense ke saath apna account kaise jode:
Step 1: Apne google adsense account me login kare.
Step 2: Setting me se payment setting par click kare, aur waha jaakar add new payment method par click kare
Is form ko fill karne ke liye aapko chaar chizo ki jaroorat hai:
- Account holder ka naam
- Bank ka naam
- IFSC code
- SWIFT code
- Account number
Ab mai aapko is list ke baare me kuch jaankari deta hun. Isme se 3 items ka to aapko pata hi hoga. Lekin IFSC aur SWIFT code kya hai, hum iske baare me hum thodi baat karege.
IFSC code
Har bank ki branch ka IFSC code alag alag hota hai, aur ye 11 digit code bank internet se paise transfer karwane mai kaam aata hai, is code ke istimaal se ye sunischit ho jata hai ki payment sahi haatho mai hi gayi hai.
IFSC code aapko aasaani se apni bank book par likha mil jayega.
SWIFT code
Ye code international wire transfer karwaane ke kaam ata hai, jis tarha IFSC code sirf National level par kaam karta hai, SWIFT code internationally bank identify karwaane ke kaam ata hai.
Apne bank ki branch ka SWIFT code dhundne ke liya aap http://indianbankdetails.com/ si website par jaa sakte hai. Aur paakka karna ke liye aap apne bank ki customer care par bhi baat kare.
Agar aapko aapke bank ka SWIFT code nahi milta hai to aap aapne bank ki kisi aur najdiki branch ka swift code istimaal kar sakte ho.
Meri branch ka bhi swift code nahi tha, isliye maine apne bank ki head branch ka code use kar liya tha.
Step 3: Form bharne ke baad aapko apni agli payment ki wait karni hogi. Bas ye pakka rakhe ki aapki account details sahi hai aur aapko aapki monthly payment pohoch jayegi.
Google Adsense kaise kaam karta hai ?
Payment aane me kitna time lagta hai ?
Aapki payment Google dwara bheje jaane ke 3-4 dino me aapke account me pahuch jaati hai. Kuch cases mai ye time jaada leti hai, lekin ek hafte ke ander ander paymet aa jaati hai.
Agar aap adsense user hai to aapko ye kuch baatin dhyaan me rakhni cahiye:
- Google adsense me apni di gayi jaankari ekdum real rakhe.
- Aapke Adsense account aur aapke bank account par naam same hona cahiye
- Aap apni payment detail to har mahine ke 20 tarik se pehle update kar sakte hai, kyoki 20 tarik ko payment nikal jaati hai
- Aaapki earning dollars me hoti hai, aur Google aapke bank ko seedhe $ mai hi paise bhejta hai, aur bank aapki currency ko convert karne ke kuch paise leta hai.
Agar aapke aur bhi koi sawaal hai to is article ke neeche comment karke pooche.
Thank you,
GK_GURU says
Please; I have confuse that Kya Page ke undar aur Page ke Bahar dono milakar hi 03 Ads [include “01 Content Ads Unit” + “01 Link Unit” + “01 Search Box”] lagana hai..
ya
“03 content ads unit” + “03 link unit” + “02 search box” = “Total No. of Ads”
please please please, give me suggestion…..!!
Sunny Singh says
Aap ek page par 8 ads unit laga sakte ho. lekin aapko ye tabhi lagani chaiye jab aapka article 2000 words se bada ho. Normally aapko 3-4 ad unit hi lagani chaiye jisse ki aapki website par aane wale visitor ko koi dikkat na ho.
GK_GURU says
Please; Visit/Check my Blog/Site;
&
Bataye ki Maine Other “Link Unit Ads” Kanha Laga sakta hu..
Give me any Suggestion 😀 ……!
Sunny Singh says
Hum zald hi iske liye article publish kar rahe hai.
So keep following vikas plus for further information.
GK_GURU says
Sir; Maine apna Adsense & Bank A/c check kiya hai, jiske Payment Setting me “SWIFT Code” sahi hai, Bank ke es “SWIFT CODE” A/c me mera March & April ka Payment dikha rha hai….But Bank ne bataya ki mera dwara dale gaye “SWIFT Code” [By Given Branch] 04 Years palhe “BANK HEAD OFFICE” dwara Access hota tha, jo ab Active hai, lekin Access [No password] nai kar payenge….[No payment Received By Me]
……Bank se mujhe Naya accessible “SWIFT CODE” diya gya hai….
QUE : Kya main Purane “SWIFT CODE” first Primary [Wire Transfer to Bank Payment Setting] Remove kar Naye “SWIFT CODE” dal Wire Transfer Form fill kar sakata hu……?????
Adsense Account Disable to nahi hoga; because “Fill Payment Form Setting” is primary [Wire transfer to bank]…!!
If Yes; So Please Remove karne ka process bataye….!!
Deepika Dey says
Meri sbi ka account hai par swift code nhi h mre branch ka.. Please help me main kese apna form fill karu payment k liye?? Please reply