Aaj ki tareek mai Email hona bothot jaroori hai, Online Banking, College ke admisson form bharne se lekar Aadhaar Card banate samye tak E-mail Id har jagha jaroori hai. Agar apke pass Email Account nahi hai to aap aaj ke smaye mai peeche reh jaoge kyoki internet ka koi bhi jaroori kaam e-mail id ke bina lagbhag asambhav hai.
Aapko email id chahiye ? Par behtar hoga isse pehle hum ye seekh le ki E-mail id hoti kya hai.
Email Id/Address kya hota hai
Apne Chitthi ya letter ke bare mai to suna hi hoga? Nahi, to jake apne bado sai poochiye 😀 . Email bilkul ek Chitthi (Mail ya letter) ki tarha hai, bas farak itna hai ki ye Electronic roop mai hai, tabhi ise hum E (Electronic) Mail (Chitthi) kehte hai.
Ab bilkul jis tarha humko Chitthi prapt karne ke liye koi pata cahiye hota hai. Ushi tarha hume Email prapt karne ke liye Email Address cahiye hota hai.
Email Address (online) internet par hota hai. Ab internet par kahi sari companies hai jo ki hum logo ko Email Address free mai deti hai. Inme sai kuch ka naam hai Gmail (by Google), Yahoo Mail (by Yahoo), Outlook ( by Microsoft), etc.
Sabse fayademand email id Google wale Gmail ke dwara dete hai, Kyoki Google wale kahi sari services jese ki YouTube, Android Phone, Calendar etc. dete hai jo sirf Gmail id ke se chalti hai. Aur Gmail baki sab Email companies se jada surakshit hai.
Jese hi aap Gmail par apna account bana lete hai, Apko internet par ek jagha miljaegi jaha par aap apne emails store karke rakh sakte hai.
Gmail Account Kaise Banate Hai :
Is article me mai aapko gmail id banane ki jankari hindi mai dunga ise padne ke baad apko Email account khulwane ke lie kisi aur ke sahare nahi rehna padega.
Apne Browser mai jake likhe mail.google.com
Apke samne ek form bana ajaega, ye form un logo ke liye hai jinke paas pehle se Email id hai. Hume apni nayi Email id banani hai to aap neeche “Create an account” (Accound banaye) par click kare.
Ek form khulega jime ki apko apne bare mai poori jankari bharni hai. Is form ko mai 2 hisso mai bant deta hun.
- Name: Sabse pehle apna poora naam daale.
- Choose your username: Doosri “Choose your username” wala hissa jaroori hai. Kyoki yahi hamara email address banega. Ab aap isme kuch bhi naam daal sakte hai koi rok tok nahi hai, dikkat ye hai ki do Email id’s same nahi ban sakti aur aap apna email banane mai bohot late hogae hai. Ab apko koi esa naam (address) sochna padega jo kabhi kisi aur ke paas na ho (jiske assar bohot kam hai) or jese aap kuch naam dalenge Gmail apko batadega ki naam uplabdh hai ke nahi. Chalo mai apko kuch sujhav dedeta hun :
- Aap ek dot (.) use kar sakte hai apne naam ke beech mai
- Kuch number bhi jod ke dekhe, jese ki jony.jackson22
- Apna Date of birth bhi jod sakte hai jony.kashyap1991 (ladkia esa naa kare kyoki isse logo ko aapki umar ka andaja ho sakta hai 😀 )
- Or mai apse haat jodke binti karta hun ki koi bhi yoyohoney99 jesa naam mat chune, kyoki kal ko apko kisi job dene wali ya official bande nai apka email dekh lia na wo apka resume padne sai pehle hai apko reject kardega aur Bejati hogi alag se.
- Create a password: Ab password isme thoda dimag mare. Kyoki agar aap apna mobile ya gadi ke number ko password rakhne ka soch rahe ho to aap bewakoofi kar rahe hai, koi bhi kalko apka account kholkar ulte seedhe kaam karlega or fass aap jaoge. Jitna mushkil password hoga unta hi surakshit apka account rahega. Chalo thode nuskhe password ke lie bhi dedeta hun.
- Passwork kum se kum 8 words ka hona cahie.
- Mannlo apne password rakhna hai sachin89ipl ab ye password thoda assan hai
- Hum isme “a” ki jagha “@” use kar sakte hai, “i” ki jagha 1 use kar sakte hai, “l” ki jagha “!” laga sakte hai. Ab apka password ekdum strong ban gaya hai – s@ch1n891p! dekho ab apka password surakshit bhi hai or aapko yad bhi rahega.
- Confirm your password: Jo upar password likha hai bilkul wahi password yaha bhi dale.
- Birthday: Apni janam din ki date bhare, Date of birth.
- Gender: Male/Female bhare
- Mobile Phone: Yaha apna mobile number daale, or ye number abhi apke pass hi hona cahiye kyoki isi number par message aega.
- Your current email address: Agar apne apna phone number sahi dala hai to is field ko app khali chod sakte hai. Aur apke pass koi aur email hai to yaha daal sakte hai. Agar aap kabhi apna password bhool jate ho to isi email id ka istimal karke aap password dubara laga sakte ho.
- Prove you are not a robot: Yaha par tick naa kare, bas neeche di gai photo mai jo likha hai bilkul same dekh kar neech khali jagha mai likh de. Isse capcha bhi kehte hai, ye is baat ka saboot dene ke kaam ata hai ki ye Gmail ID banane wala sach mai wyakti hai koi robot to nahi.
- Location: Ye pehle sai hi India hogi.
- I Agree: yaha par tick karde.
- or akhi mai Next Step par click karde.
Ab agar aapne sabhi details sahi bhardi hogi to aap naye page agle page par aa jaege.
Ye page verification ke lie hota hai. Verification mai Gmail ye sunishchit karta hai ki ye Email id nakli nahi hai. Iske liye Gmail apka mobile number mangta hai, ye wahi number hai jo pichle form mai apne dala tha.
Yaha par do options hote hai Text message aur Voice Call. Agar app Text message par click karege to Gmail apko mobile par code message karega. Jab aap Continue par click karege to apko Google ek code bhejega.
Uss code ko aap neeche di gai Enter verification code field mai dalde. Isse ye pakka hojaega ki phone number asli hai aur apka hi hai. Continue par click kare ab apka Gmail account ready hai 🙂
Chalo ab hamne account banalia. Agle step mai hum seekhege ki is account ko use kese karna hai.
Gmail Account Ka Upyog Kaise Kare
Hame Gmail chalane ke lie pehle apne account mai login karna hoga. Jese ki hume apni chittia check karne ke liye ghar ke bahar laga letter box khol ke dekhna padta hai, Theek usi tarha apne Emails check karne ke lie hume apne account mai login karna padta hai. Agar aap pehle se hi login hai to firbhi dekh ligiye ki login kese hota hai.
Login karne ke like dubara se mail.google.com par jao.
Yaha ek form aega isme apni ID (jo username apne banaya tha) aur apna password daldo, ab click karo “Sign In” button par. Agar ye apka hi computer hai aur app cahte hai ki aapko is computer mai jab kabhi dubara Gmail khole to login na karna pade neeche die gae “stay signed in” box par tick kardo.
Yahoo mail par ID/Account kaise banate hai ?
Login karte hi jo pehli screen khulegi ye apka Inbox hota hai. Inbox ek esa page hai jaha par logo ke dware bheje gaye Emails ki list apko mil jati hai. Sabse naye sabse upar or purane neeche.
Yaha se aap apne kisi bhi email ko padh sakte hai.
Aap email ko select karne ke liye iss checkbox par click kar sakte hai. Jese hi aap kisi email ko select karte hai, upar 3 button bane aa jate hai, jo ki fesla karthe hai ki selected Email ke sath kya karna hai. Ye teen buttons hai d Archive, Spam aur Delete.
Ab mai apko 2 buttons (spam aur delete) ke bare mai batauga ( archive abhi apke kaam ka nahi hai).
Kisi bhi email to delete karne ke liye email select karke is button par click kare. Delete ka matlab hai ki hame ye email nahi cahiye. Delete hone ke baad ye email Trash mai chala jata hai. Trash bilkul dustbin ki tarha hai yaha hamare sabhi faltu deleted emails pade rehte hai. Agar aap cahte hai ki aap is Email ko hamesha ke lie delete karde to trash me jakar delete forever par click karde.
Trash left mai list mai kahi milega
humara delete kia hua email
Select karke hamesha ke lie delete karsakte hai.
Ab spam ke bare mai baat karte hai. Agar apko koi faltu ke emails karke pareshan kar raha hai. To app use apne Gmail sai hata sakte hai spam ki madad se. Jiske email to apne hatana hai uska email select kar aur is button par click karde. Abse ye email apko pareshan nahi karega.
Email Kese Khole
Email kholne ke lie apne Inbox mai jakar, Emails ki list mai se kisi bhi email ko select karo. Kholne ke baad apka email kuch iss tarha ka dikhega.
Ab is Email ko wapas javab (reply) dene ke lie ya ise ki aur ko agge bhejne ke lie (forward) hum neeche die gae box ka prayog kar sakte hai.
Kisi ko Email Kese Bheje
Aap jisko bhi Email bhejna cahte hai, sabse pehle apke pass uska Email Address hona cahiye. Mail likhne ke lie side par die gae compose button par click kare. Click karte hi neeche ek box bana ajaega jisme ki aap apna Email likh sakte hai.
- Sabse pehli feild mai jisko aap email bhejna cahte hai uska Email Address dale.
- Fir agli field mai Email ka Vishaya (Subject) dale, jisse ki Email prapt karne wale ko pata chal sake ki ye Email kis bare mai hai.
- Bhir Aap badi field mai jo apka message hai wo likh sakte hai.
- Akhir mai aap Send par click karege to apka email chala jaega. Aur kuch hi seconds mai dusre vyakti ko mil jaega.
Jaaniye : CC aur BCC mai kya farak hai?
Jese aap apne phone mai dekh sakte ho ki apne akhiri call kise kise ki th, issi tarha aap check kar sakte ho ki aapne email kise kia tha, Ye check karne ke lie aap left mai die gae Send Email link par click kar sakte ho, aur apke samne apke dwara bheje gae Emails ki list ajaegi.
Draft: Kabhi kabhi esa ho jata hai ki hame Email likh ke rakhna hota hai aur kisi ko bhejna nahi hota. Ese Emails ko hum likh kar drafts mai save kar sakte hai. Draft mai pade emails ko hum kabhi bhi send kar sakte hai.
Gmail ke inbox mai emails 3 shrenio mai bate hote hai.
Sabse jaroori email primary mai ate hai, Social Network jese ki facebook, twitter ke emails social mai ate hai aur jo offer wagara hai wo promotions mai ate hai.
Gmail sai logout kaise kare
Agar aap apne account ko surakshit rakhna cahte hai to account sai nikalte samaye logout jaroor kare (ye bilkul anpe letter box ko tala lagane jesa hai) ki koi aur vyakti apki id khol ke na dekh pae.
Logout karne ke lie sabse upar right mai jaha apki email id likhi hai waha click kare. Ek box kulega waha par Sign out likha hoga (Sign our aur logout ek hi baat hai). Jese hi aap signout par click karege aap apne account se bahar ajaege.
Aur ab agar dubara account mai jana cahte ho to phir se mail.google.com par jakar id, password dalkar dubara login kare.
Kafi lamba article ho gaya haha. Mujhe lagta hai ki ab aapko Gmail par email id banani agai hogi, Mai cahata hun ki aap apni email id ke sath sath apne dosto ki Email id banane mai bhi help kare. Agar aap apne Gyan ko banto ge to wo usse kahi guna jada wapas aega. Jesa ki duniya ke sabse amir vyakti Warren Buffet ne kaha hai.
Aage Padhe :
The more you Learn, The more you Earn. (Jinta jada seekho ge, Utna jada kamaoge).
[sociallocker] FREE OFFLINE ARTICLE DOWNLOAD KARE [/sociallocker]
Isliye Seekhte raho. Aur agar ye article apko acha laga to aap is article ko apne dosto se share kare.
Thank you Seekhne ke lie. 🙂
Ayush Sharma says
Hello sir Ye bata dijiye ki email aur gmail me anter kya hota h(email account kaise banaye and gmail account kaise banaye)
Vikas Plus says
Email bilkul ek Chitthi (Mail ya letter) ki tarha hai, bas farak itna hai ki ye Electronic roop mai hai, tabhi ise hum E (Electronic) Mail (Chitthi) kehte hai.
aur Gmail wo Address (Pata) hai jis jagh se aap ye E-mail bejte hai ….yani ke ek tarah se aapka ghr .
Email Account hi Gmail Account hota hai usko banane de liye aap hamara ye article padh sakte hai
Shiba says
Thanks
Vikas Plus says
Article padhne ke liye Dhanyawaad, ese hi aur articles ke liye hamara Facebook page like kare.
vikas kumar says
nice job sir
Vikas Plus says
Thank you 🙂 Esi hi aur jaankari ke liye hume Facebook par follow kare.
AJAY says
Thanks
Vikas Plus says
Thank You for reading 🙂
pooja bawa says
aaj maine bhut kuch sikha hai aapse tnx sir
Sunny Singh says
your welcome pooja
keep following vikas plus for good knowledge.
lakhan patidar says
Nice sausages
Vikas Plus says
thank you lakhan patidar
Farman khan says
Humne apni gmail id par jo number dala hua hai wo hum bad me kaise dhekenge?
Vikas Plus says
Farnan khan humara ye Article aapki bhut madad kar sakta hai .
https://vikasplus.com/google-2-step-otp-verfication-kaise-kare/
raunak gupta says
hello
Vikas Plus says
Hello Raunak
Rajendra risode says
Jay hanuman
Farhan khan says
Hello sir Ye bata dijiye ki email aur gmail me anter kya hota h(email account kaise banaye and gmail account kaise banaye)..sir mere pass gmail to bahut hai but email nhi hai .sir mere bhai mujhse mera email pochte hai to mai confused ho jata hun ki email kon sa bhai ko kuch bhi mere pass bhajan hota hai to kiya sir mai bhai ko apna gmail de dun to .jo bhi bhai ko massage send karna ho to sab uspe a jaega na ..only gmail de de to woh massage a jaega gmail par …or ha sir bhai ko khali gmail hi .dena padega ya fir .gmail ka password bhi dena padega
Vikas Plus says
Apki jo E-mail ID(gmail-ID) hogi wo toh gmail par bani hui hoti hai yani ke aapko address jisse aap E-mail(letter) bejte ho ..
aur jo E-mail hota hai wo letter type hota hai jo aap kisi ko bhi send kar sakte ho..
aap jab bhi kisi ko apna E-mail Address dete ho toh aapko koi password nhi dena hoga. sirf e-mail ID hi deni hogi.
Humra ye article aapki bhut help kar sakta hai.
Ek accha email kaise lekhe ?
Jeetu says
nice site
Vikas Plus says
Thanks jeetu
Nishant Gupta says
Hello sir mujhe aap ki site ki jankari bahut achhi lagi thanks a lot dear
Vikas Plus says
Thank you Nishant Gupta.
Humare article se aapki help ho saki yahi humare liye bhut badi baat hai.
Nishant Gupta says
Sir kya aap mujhe google adsense ke bate main kuch tips de sakte hai
Vikas Plus says
Hum Adsense par abhi research kar rahe hai, aur jaldi hi Adsense series shuru karege jisse apko aur aapke jaise bhut saare humre viewers ko kahi aur dusri site par jaane ki koi jarurat nhi padegi. Adsense se related sabhi jaankari aapko isi site ke though mil jaygi.
Thank you
kirti says
It’s very helpful. Thanks
Vikas Plus says
Your welcome kirti !
Keep reading
Munsharif says
Thanku sir
Vikas Plus says
your welcome Munsharif