Internet par itni saari websites aur blogs hai. Aur sambavna hai ki bohot se log aapse milte julte articles likh rahe hoge. Ab itni bhid me aap alag kaise dikhoge? Bohot se log sochte hai ki ek accha design aur content website par traffic lata hai, ye cheeze fayada deti hai lekin Headline aapke article ka sabse jaroori hissa hai. Kyoki agar Headline achi nahi hogi to aapke article par koi click hi nahi karega.
Title ya Heading hi wo cheez hai jo aapko article padhne ki aur aakarshit karti hai. Ye sab baate TV, Magazine aur Newspaper me bhi lagu hoti hai, Hum wahi article padhte hai jiska title acha lagta hai.
Jabtak aapko apne article ke liye ek achi Headline na mil jaye, tab tak aapko apna article publish nahi karna cahiye. Is article ko padhne ke baad aapko andaza ho jayega ki ek achi headline kis tarha ki hoti hai.
Aakarshak Headline Kaise Likhe
Maine dekha hai ki bohot se log headlines par dhyan hi nahi dete. Wo bas article likhne mai mehnat karte hai aur wo cheez chod dete hai jo sabse jaroori hai. To chalo dekhte hai ki achi headline kaise banaye.
Headline ko Chota aur Spast(clear) rakhe
Headline ko hamesaha chota rakhe kyoki Google ke search result me lagbhag 65 alphabets ke baad headline cut jaati hai, aur mobile par to isse bhi jada cut jaati hai. Iska matlab ye bhi hai ki aapko article ke sabse jaroori keywords ko Heading ke starting me daalna hoga.
Agar kabhi apne aap ko notice karege to aap payege ki hum log un heading par hi click karte hai jo choti aur spast hai.
Aage padhe:
Numbers ka istimaal kare
Aapne dekha hoga ki Internet par jitni bhi badi badi websites hai wo apne title me number ka use jaroor karti hai. Jaise ki “Duniya ki 10 Adbhut Tasveere”.
Number use karne ke peeche kuch karran hai, Number dekh kar logo ko post ki lambai ka andaza ho jata hai. Aur number ko hamesha Digits me hi likhe kyoki ye logo ka dhyan kheecha hai.
Kayi baar ulte seedhe numbers bhi bohot bhadiya kaam karte hai, jaise ki “37 paise kamane ke tarike”.
Negative Words use Kare
Vaigyaniko dwara ki gayi research me ye saabit hua hai ki Negative words positive words se jyada prbaav daalte hai. Agar parent apne bacche ko kahe ki “Class mai first aane par mai tumhe nayi cycle lekar dunga” ye positive hai, lekin agar wo kahe ki “Agar tum class mai first na aye to tumhari cycle wapas le lijaegi” ye negative hai, aur ye jada powerful effect daalega.
Insaan ki fitrat hai ki wo Positive cheez ki taraf jaane se jada Negative cheezo se bachne ke koshish karta hai.
To aap apne article mai “se bache”, “kharab”, “bina”, “roke” jese negative words use kar sakte hai.
Kuch udharan hai:
- Facebook Id Hack Hone Se kaise Bachaye
- WhatsApp ki Lat se bachne ke 5 tarike
Aakarshak Shabdo ka Prayog Kare
Aakarshak shabdo se mera mutlab ye hai ki aise shabd jo ekdum se dhyaan ko apne taraf kheech lete hai, jaise ki “Free”, “Aasaan”, “Tricks”, “Cauṅkānē vālā”. Agar aap 10 min TV khol kar kisi bhi News channel ko dekhge to aapko pata chalega ki ye log kis tarha in shabdo ka best use karke logo ka paagal banate hai.
Mai aapko kuch shabdo ke sujhaav de deta hun:
- Free
- Chaunkane vala
- Tricks
- Aasaan
- Jarrori
- Mazedaar
- Azeeb
- Facts
- Ideas
- Rahasya
- Kaaran
Sach aur Sahi Bole likhe
Upar diye gaye sabhi tarike aapke Headline ko bhadiya banayege, lekin agar aapke reader ko Headline padhkar ye nahi pata chal paa raha ki article kis baare me hai to duniya ke saare tarike bikar hai.
Aapki Headline se ye bilkul sahi spast ho jana cahiye ki reader ko article mai kya milega. Agar aap headline me bhada chadha kar bolege aur article me kuch nahi milega, to reader ka aapki website ke vishvaas uth jayega, aur sath hi Google ranking par bhi farak padhega.
Galat Headline : Paisa Kamane ke Tarike
Sahi Headline : Internet se paisa kamane ke 7 Tarike
Logo ko dhokha bilkul pasand nahi hai to Headlines ko jara dhyaan se banana. Achi headline dwara aapki mehnat se likhi hui post ko logo dwara padhe jaane ka ka jada moka milega.
To Headline sochne mai bhi thoda time de, mujhe lagta hai ki aapko headline ki importance ka pata chal gaya hoga. Agar aapka koi bhi sawaal hai to aap neeche comment box me pooch sakte hai.
Aisi hi aur posts ke liye aap hamare Private Facebook Group ko bhi join kar sakte hai.
Ye bhi padhe:
- Laptop khridne se phele in 9 Baato ka rakhe khyaal …
- Website aur Blog me kya fark hai ?
- Resume aur CV me kya fark hai ?
vipul goswami says
story main title ke saath saath kya kya chiz jruri hain
Vikas Plus says
Story me sabase Important part hai uska Title aur content. Aap jo story likh rahe hai wo Easy to understand honi chahiye, means jo reader aapki story padh rahe hai wo usko assani se samj sake.
Rabiya says
good after noon sir,
sir mai bachpan se gazal our story likh rahi hu jo bhi padhta hai wo yahi kahta hai ke isme age badho ap bahut hi accha likhti hu kabhi kbhi to log yakeen nahi kar pate hai so plz sir mujhe koi aisa rasta btiye ke mai is line me ek alag pahchan bna saku plz halp me sir
Sunny Singh says
Rabiya agar aapko gazal likhna itna pasand hai, aur aapki gazal logo ko itni acchi lag rahi hai toh aap online blog banakar isko next level par le ja sakti hai, ya phir youtube par apni gazal ko suna kar(upload) bhi aage badh sakti hai.
ovekush says
Mei article likh raha hu mujhe much hint do
Sunny Singh says
Aap humara ye article padh sakte hai, isse aapki kaafi help hogi.
Ranjan says
Bahut Acche Lage Raho!!
Vikas Plus says
Thank you Ranjan
Rabiya says
sir mai bahut accha likhti hu mai gazal and story dono bahut acchi likhti hu mere jaisa koi nahi likh sakta hai news pepar aour magjeen me meri gajal story aa chuki hai logo ne kaafi pasand bhi ki hai mager mai isme bahut age jana chahti hu sir rasta nahi mil raha hai kiya karu plz halp me sir . my email id rabiyarabiya511@gmail.com
sarfraz says
sir aapko comment form jo hai aisa hi mai bhi lagana chahta hun .sir iska code hai hamare paass magar sir ise apne template me kaha lagana hai
Vikas Plus says
Blog spot par sirf google ka hi comment system chalta hai.
shubham says
Nice apka post aacha hai.
Vikas Plus says
Thank you shubham !
Sandeep Kumar says
Thanks mughe aise hi post ki jarurat thi
Sunny Singh says
Your welcome Sandeep kumar ji
pushpendra katara says
sir, kya facebook k page p likhe blogs ko logo k dwara padne se pese milte h….or agar milte h to kese milte h thoda detail m share kare plz
Sunny Singh says
Nhi
preet khannewala says
Shayri k liye kaisa title hona chahide…?
Sunny Singh says
keyword me jaakr search kare ki log kis type ki shyaari ko padna pasand karte hai. Thodi mehnat aapko karni hogi tabhi kuch acche result aapko mil paayge.