Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Facebook Page Kaise Delete Kare

August 23, 2015 By Nikhil Arora

Facebook page ko delete karna bohot simple hai, par ek baar page delete ho jaye to wapas nahi aa sakta. Ek aur tarika hai ki aap apne page ko unpublish kar sakte hai, isse aapka page logo ko dikhega nahi aur delete bhi nahi hoga. Aap jab bhi chaho apne page ko wapas publish kar sakte hai.

Is article me mai apko page delete karna bhi sikhaunga aur unpublish karna bhi.

Facebook page me login kare

Kuch bhi karne se pehle hme Facebook page par login karna hoga. Login karne ke liye upar right corner me down arrow par click kare. Dropdown me se Manage Pages par click kare

2015-07-29 21_38_29-Vikas Plus

aapke sabhi pages ki list khul jayegi, jis bhi page me aap login karna cahte hai us page ke age likhe Login button par click kare.

login-kare-page

Ab aap apne Facebook page mai login ho chuke hai. Upar likhe Settings button par click kare

setting-par-jaye

Setting page se hum apne Facebook page ko unpublish ya delete kar sakte hai.

Facebook page ko un-publish kaise kare?

Agar aap apne page ko kuch samye ke liye band karna cahte hai to aap page ko unpublish kar sakte hai.

Unpublish karne ke liye:

page-unpublish-kare

  1. Page Visibility option par click kare
  2. Unpublish Page checkbox par click kare
  3. Save Changes kar de

Aisa karne ke baad apka Facebook page unpublish ho jayega

Facebook page ko hamesha ke liye Delete kaise kare?

Facebook page ko hamesh ke liye delete karne ke liye neeche diye gaye Remove Page option ke aage like “Permanently delete PAGE KA NAAM” par click kare.

permanently-delete-click-kare

Delete button par click kare, aur aapka page hamesha ke liye delete ho jayega.

delete-kare

Agar apke pass faltu ke Facebook page bane hue hai to aap unko upar diye gaye tariko se Delete kar sakte hai.

Agar apko Facebook se sambandhit koi bhi jankari cahiye to hume apna sujhav neeche diye gaye comment box me bheje.

Thank You .

Ye bhi Padhe:

  1. Facebook Group kaise banate hai ?
  2. Facebook Auto Play Videos kaise band kare ?
  3. Facebook par Status update kaise kare ? 

Filed Under: Social Network Tagged With: delete, facebook

Comments

  1. Mohit says

    December 23, 2015 at 5:23 am

    Thanks bro

    Reply
  2. vijay panara says

    March 1, 2016 at 10:57 pm

    Sir maine facebook page ko to add kar liya hai lekin ek probal hai ke humne jo last post facebook page mai sher kiya hai wo humare blog mai show ho raha hai mai un ko hide karna cahta hu to kaise hide karu batavo na plz….

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 2, 2016 at 11:35 am

      Wo toh aapko Facebook page se hi hide karni hogi.

      Reply
  3. Ashfaq says

    March 14, 2016 at 4:39 pm

    Sir Menay Apni Face Book ID Say Aik Page Banya Tha Aap Mey Is Ko Apni ID Say Alag Kar K Use Karna Chata Hoon Tu Kaisay Karoo Baray Mehrbani Rahnomai Farmai.

    Reply
    • Ashfaq says

      March 14, 2016 at 4:45 pm

      Sir Menay Apni Face Book ID Say Aik Page Banya Tha Aap Mey Is Ko Apni ID Say Alag Kar K Use Karna Chata Hoon Tu Kaisay Karoo Baray Mehrbani Rahnomai Farmai.

      Reply
      • Sunny Singh says

        March 15, 2016 at 1:16 pm

        Ashfaq aisa nhi hota hai, kyiki wo page aapki website se connected hai.

        Reply
  4. Harish godara says

    May 28, 2016 at 10:48 am

    Sir mera page unpublished ho gya aur me use wapas published krna chahta hu kya yh ho skta h n tarika btaye plz

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 1, 2016 at 12:37 pm

      Toh settings me jakar publish kar sakte hai.

      Reply
  5. Badan singh says

    June 28, 2016 at 6:52 am

    Sir mene apne blog par fb like box lagaya hai us me post status bhi dikh rahi hai me hide karna chahata Hu kya karu please help me….

    Reply
  6. salman says

    August 17, 2016 at 11:35 am

    Mobile se Fb page delete kese karu jo mene banaye the ab mai unhe nahi rakhna cahta hu to use mobile se hi kese delete karu help me

    Reply
  7. DEEPAK says

    October 1, 2016 at 8:54 am

    FB PAGE KAISE OPEN KARE?

    Reply
    • Sunny Singh says

      October 1, 2016 at 11:50 am

      Facebook page kaise banate hai ?

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact