Hi Dosto kya aapne Affiliate Marketing ka Naam Suna hai? Agar suna hai toh achhi baat hai. Iss post me mai aapko Affiliate Marketing Ke Baare me Detail se Bataunga aur Yah bhi batunga ki aap kis tarah se Apne blog ya website se online paisa kama skte hain .
Agar aap Adsense ka use karte hain toh aapko aur maza aane wala hai kyuki Affiliate Marketing se aap adsense se bhi jyada paise kama skte hain .
Affiliate Marketing Kya Hoti Hai ?
Dosto sabse jaruri baat yah ki hum jaan lete hain ki Affiliate Marketing Kya Hoti Hai ?
Aaj kal online shopping ka bahut hi trend chal rha hai . Chahe wo Clothes, Shoes, Web hosting, Domain ya kuch bhi matlab lagbhab sab kuch online bikne laga hai aur India me bhi iska bahut hi jaada trend hai .
Toh jitni bhi online companies hai wo apna product bechne ke liye promotion karwati hai . Agar aap uske product ko promote karte ho toh Wo company aapko kuch commission deti hai . Commission depend karta hai ki product kis type ka hai .
Toh jab aap company ke product ke banners ya link ko apne blog ya website par lagate ho toh aur koi visitor uspe click karke shopping karta hai toh aapko uska commission mil jata hai .
India Me Best Affiliate Marketing Companies:
Affiliate marketing ko shuru karne se pehle ye janna jaruri hai ki kon kon si company Affiliate Marketing service deti hai. Aur ye bhi depend karta hai ki aapka blog kis topic par based hai.
#1. Flipkart: Flipkart India ki number 1 shopping website hai . Aur iss website par car , bike , clothes , fashion accessories , mobile phones , computer , laptops etc sab kuch milta hai . Toh yaha se affiliate marketing aapke liye beneficial ho sakti hai . Toh mera pehla suggestion Flipkart Affiliates hai .
#2. Amazon .:- Amazon.com pure world me famous hai . India me log isko Amazon.in ke naam se jante hai. To iska use karke aap sabhi country ke user ko target kar skte hain . Aur ispar bhi sabhi tarah ke products milte hai .
#3. Snapdeal :- Snapdeal bhi affiliate marketing ki service provide karti hai . Aur yah bhi Flipkart ke jaise hi hai . Iski bhi affiliate policy kafi achhi hai .
#4. Hostgator : Agar aap blogging ke field me thoda jyada experienced hai toh mujhe ummeed hai ki aapne Hostgator ka naam suna hoga . Ye ek web service company hai jo Hosting , Domains provide karti hai . Aur agar aap SEO se related post likhte hai toh yah affiliate marketing aapke liye kaam aa sakti hai .
Dosto Aise hi aapko aur company ke bare me janna hai ki kon kon si companies Affiliate Marketing Support karti hai toh Aap Google Me Simply uss company ke naam kea age Affiliates likh dijiye . Fir jo Google me first result hoga , usko dekh kar pata chal jayega ki wo affiliate marketing provide karti hai ya nahi .
Affiliate Marketing Ke Ads Lagane Ke Liye Set up:-
#1. Sbse phle aap apne blog ke topic ke according company ko choose kijiye .
#2. Agar aap Flipkart Ke liye apply karna chahte hai toh aap iss link se ja skte hai .
Link- Flipkart Affilate
#3. Aapko apne email se register karna hai .
#4. Registration Karne ke Baad aapko kuch jaruri personal information ko fill karna hai .
#5. Jab aapka profile complete ho jaye tab aapko apne webstie profile ko fill karna hai .
#6. Agar aapke pass website ya blog nahi hai toh aap affiliate link ko kahi bhi laga sakte hain jaise Facebook , Youtube par laga skte hain .
#7. Aap Dashbaord ke menu me overview option se jaker kisi bhi product ka link generate kar sakte hai . Aur usko apne blog par paste ka skte hai . Aap affiliate tool option me jaaker banner ads bhi laga skte hai.
Jis tarah se maine Flipkart ka example diya thik usi tarah se aap Amazon , Snapdeal se bhi set up kar skte hain .
Kya Hum Adsense Ke Sath Affiliate Ads Laga skte hai :-
Ji haa dosto!! Agar aap apne blog par adsense use karte hai toh aap affiliate ads bhi lga skte hai. Aur Google Adsense isko allow bhi karta hai. Aur ek secret aapko bata du ki aap apne Google adsense se jyada affiliate marketing se kama skte hain. Fir aapko adsense ke liye rona nahi pdega .
Affiliate ads kaha par lagaye :
#1. Blog:-Agar aapke blog par ache khase visitors hain toh aap affiliate ads apne blog par laga sakte ho aur aapko achha response bhi milega .
#2. Facebook Group:- Agar aapke pass ek jaada members wala facebook group hai toh aap uss group me bhi link daal skte hain . Lekin dhyan rahe links kaam ke ho . Jaise kisi ko jarurat hai tabhi link paste kare .
#3. Youtube Channel :- Agar aapke paas youtube channel hai . Aur aap kisi product ke bare me review kar rhe hain toh uss product ka affiliate link Description me daal skte hai .
#4. Agar aapke kisi friend ko mobile phone lena hai ya kuch bhi online shopping karna hai toh aap usse puch lijiye usko kya pasand hai aur fir uska link generate karke uss link se shopping karne ke liye boliye . Aapko uska commission milega .
Dosto Ummeed hai yah post aapko achha laga hoga . Agar aapko koi problem hai toh comment karke puch sakte hain . Aur agar aap Affiliate Marketing se achhi khasi kamayi kar rahe hai toh jarur bataye …!!
All the best
Thank you.
Satish Kushwaha says
Post publish karne ke liye aapka bahut bahut dhanyabaad !!
Sunny Singh says
Welcome Satish
rahul says
Sir phone root hone ke bad phone mai virus aur phone ko hack karne ka khatra badh jata h agar ye hota h to koi solutions bataye
Sunny Singh says
Iske baare me pta karne ke liye aap youtube par bhut saare videos available hai aap unko dekh kar seekh sakte hai.
rahul says
Sir aap bataye
Sunny Singh says
kya puchna chahte hai aap ?
rahul says
Sir mai ye puchna chata hu ki phone root hone ke bad mai phone koi virus to nhi aa jaye ga aur phone hack to nhi hoga
Sunny Singh says
Dekhiye phone root hone ke baad company ki koi guarantee nhi hoti, aur iske baad agar virus ya phone hack bhi hota hai toh wo phone bhar hi sahi hoga company me nhi. waise root hone ke baad virus aur hacking ke liye phone sahi ho jaata hai. mears hacker jaldi capture kar sakte hai.
helpfor36 says
bahut achhi jankari mili hai mujhe to pta hi nhi tha iske bare me thanks u…
Prashant Singh says
Mujhe ye jaan na hai ki bidvertiser mein kitna impression hone ke baad paisa milta hai
Sunny Singh says
kam se kam 1000
lucky Chaudhary says
Bhai mera adsense aprroval nhi ho RHA iska koi simple tarika btaye ki m kya kru Jo approval ho jaye………har be adsense kch na kch error btata h……orr ha sir mene apna side insurance k uppar bna rkha hhh
Sunny Singh says
Aap ek baar humari Adsense series ko padhe phir koi bhi dikkat ho toh hume zaroor bataye.
Mazhar says
Sir facebook groups me jyada link share karne se hamari id block ho jati hai. ek din me kitne groups me hum same link share kar sakte hain? please help
shweta sharma says
l m a new blogger mughe bloging k tittle or adress nam kya rku kuch smj nhi aa rha vse maine kuch nam soche h kya aap meri madad krenge nam kuch is parkar h kisse khaniya ,unnati ,my views plees aap inmse koi ek select karke btayye ki title or adress.m kya lagoooo
Sunny Singh says
Apne Blog ke liye ek Perfect naam kaise chune
Aap humara ye article padh sakte hai, isse aapko defiantly bhut help milegi.
lucky chaudhary says
Bhai mera website insurance s related h lakein m adsense approval dalta hu dal jata h lakein approval nhi milta iski kya wajh h bhai
Munu says
Me flipkart affiliate pe A/C banaya. par verify karne ke liye meri pass cancelld cheque nahi hai.
kiya koru. Please help