Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Resume aur CV mai kya farak hota hai

September 18, 2015 By Nikhil Arora

Jab hum log naukri(Job) ke liye apply karne jaate hai to hamare haath me ek kagaj hota hai. Is kaagaj ko kayi log Resume bolte hai, kayi log CV aur kayi log is Bio-data bhi bol dete hai. Ab hum me se bohot se logo ko nahi pata ki in teeno me fark kya hai. Aur bohot se log toh in teeno ko ek hi baat mante hai.

Pehle me baat karta hun Bio data ki, bio data ka matlab hota hai Biography data. Biography ka hindi mai matlab jeevani. Bio data ka aap tab use kare jab aapko shaadi ke liye rishta bhejna ho. Bio data me aisi cheeze aati hai ki me kaha ka hun, mera religion/ gotra kya hai, mere papa kya karte hai, me kitna padha hun, ya kaha naukari krta hu etc.

Agar aap naukri ke liye apply kar rahe hai to galti se bhi bio data mat bhej dena kyoki wo log aapke skills me interested hai aapme nahi.

Jab bhi hum job ke liye apply karte hai to wo log hamare bio data se jada skill (hunar) me interested hote hai, wo ye jaana cahte hai ki hum is job ke layak hai ya nahi. Interview ke liye companies aapse Resume ya CV mangti hai. Ab jaante hai ki resume aur CV mai kya farak hai.

Resume

Resume ka matlab hota hai saransh ya summary. Aur resume bilkul specific (विशिष्ट) hota hai. Isme hum saransh matlab chota karke likhate hai, sirf unhi baato ko jo job se related hai, isliye resume sirf 1 page ka hota hai, maximum 2 pages lekin usse upar resume nahi hota.

Mai ek example deta hun: Agar aap Math teacher ki job ke liye apply kar rahe ho to aap sirf apne teaching experience ke baare me likhoge. Usme ye nahi likho ge ki mai Yoga expert hun. Sirf aur sirf job se sambandhit jaankari hi likhoge. Isi liye Resume chota hota hai.

Aage Padhe:

  1. Facebook Developer kaise bane ?
  2. Internet.org kya hai ?

CV

CV ka matlab hota hai curriculum vitae. CV me hum apni jindagi ki baare me likhte hai lekin bio-data ki tarha har cheez nahi, CV mai hum job aur apne baare se related jaroori cheeze likhte hai. Isme hum detail me likhte hai apni education ke baare me, awards, college ka naam, result, aur jo bhi aapne apni life me uplabdhia hasil ki hai. Isliye CV 3-4 page lamba bhi ho sakta hai.

Companies ke pass itna time nahi hota hai ki wo aapki poori details jaane, aur na hi unhe aapki details se jada matlab hota hai. Companies ko to sirf aapke skills se matlb hota hai. Resume aur CV dono applications companies ko bande chunne me help karti hai, inki madad se company ko ye pata chal jata hai ki kin kin logo ko interview ke liye bulaye. Kayi companies CV mangti hai aur kayi Resume.

CV vs Resume.

Curriculum Vitae (CV) Resume
Lam bai 2-4 pages 1 page, maximum 3 pages
Content Naam, Contact pata, Education, Experience aur Skills.
Apne kaam se related pichli jaankari, aap kaha padhe, kitne awards mile, kya kya research ki hai aur baki details
Naam, Contact pata, Education, Experience aur Skills. Sirf aur sirf kaam se related jaankari. Aap likh sakte hai ki aapne is field mai picheli kon konsi compaines me kaam kiya hai.
Jadata kaha mangte hai CV aap tor se Teaching ya research jobs ke liye maangte hai. Lagbhai sabhi Job application ke liye Resume mangte hai

To humne ye pta chala ki:

Bio data – poori ki poori jeevani
Resume – Related skill, target information
CV – General information apne baare mai.

Agar aapka koi dost abhi bhi inke beech ka farak nahi jaanta to unke saath ye knowledge share kr sakte h. Kyoki gyan bantne se gyan aur ijjat dono bhadti hai.

Dhanywaad.

Ye bhi Padhe:

  1. Google Drive kya hai ?
  2. WordPress par facebook commenting system kaise lagaye ?
  3. Faltu ke email kaise Subscribe kare ? 

Filed Under: Basics Tagged With: Job

Comments

  1. Abdali says

    November 10, 2015 at 5:07 pm

    Cv kahan banta hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 14, 2015 at 7:33 pm

      CV banvane ke liye Hume Facebook par contact kare.

      Reply
      • naveen says

        February 17, 2016 at 11:22 am

        cv banwana h sir full or esa ki usey koi rejected nai kr sake

        Reply
        • Vikas Plus says

          February 18, 2016 at 11:30 am

          Toh jaisa humne bataya hai aap in steps ko follow kijiye.
          Aapka cv zarur bhut accha banega.

          Reply
          • Dharmendra Kumar says

            August 3, 2016 at 11:07 pm

            Kaise filup krke bnye latast cv ko. Sir

          • Sunny Singh says

            August 4, 2016 at 11:00 am

            Aap iske liye article ko padh sakte hai.

      • Neelesh Yadav says

        April 23, 2016 at 3:31 pm

        Sir mujhe Resume & CV banana hair pls help m . Your Attention to this matter. Thank u sir

        Reply
        • Sunny Singh says

          April 25, 2016 at 11:32 am

          plz follow this article.

          Reply
      • VIKASH KUMAR DIXIT says

        August 23, 2016 at 9:35 am

        Sir, resume kaise bnate h tips de dijiye.

        Reply
        • Sunny Singh says

          August 23, 2016 at 10:42 am

          Article ko dhyaan se padiye maine iske ander bhut hi easy language me bataya hua hai.

          Reply
  2. Rajesh says

    November 28, 2015 at 12:06 pm

    Sir,maine net se loan ke apply kiya hain.agar loan request accept ho jaye toh kya mujhe unhe koi document dene parhenge?agar haa toh kon se documents?kya me mera loan amount net se hi le sakta hoon ya mujhe unke bank me jana parhega?

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 9, 2015 at 6:16 pm

      Mujhe nahi lagta ki aapko Bank jaaye bina loan milega. Internet par to bas form fill hota hai, baaki ka kaam local bank ke hath mai ho hota hai.

      Reply
  3. piyush yadav says

    December 26, 2015 at 2:14 pm

    Good afternoon sir, . Sir main ye janna chahta hu ki resume banane ka kya tarika hona chahiye.

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 27, 2015 at 3:59 pm

      Sujhaav dene ke liye Thank you, hum ispar jaroor article likehge 🙂

      Reply
  4. Piyush Yadav says

    December 26, 2015 at 6:58 pm

    Resume kis hisab se banana chahiye

    Reply
  5. shiv says

    January 9, 2016 at 1:44 pm

    key skill kya hai?

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 19, 2016 at 11:02 am

      Aapke aap jo apki natural skills hai hum unko hi key skill kehte hai, jaise ki web desiging, MS office, photoshop etc.
      zaroori nhi hai ki aapki skill inme se hi ho aapki key skill kisi bhi field me ho skati hai.

      Reply
  6. arunesh pratap singh says

    January 9, 2016 at 10:33 pm

    Aapke dawara bahut si jaankari jo mujhe nhi malum thi padhne ke baad bahut kuch shika maine aapka mai bahut sukragujaar ho..

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 11, 2016 at 10:48 am

      Thank you Arunesh pratap singh.
      agar aapko is article se help mili ho toh aap ye article ya aise hi aur knowledgeable articles apne friends ke sath share kar sakte hai.

      Reply
  7. Kapil says

    January 13, 2016 at 4:02 pm

    muze resum tyar karna hai
    hotel manazment housekeeping job ke liye

    maine 2 month ka training liya hai

    to resume kaisa hoga….

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 19, 2016 at 10:48 am

      Humne apne is article me saari jaankari di hui hai kariya aap article me diye gaye steps ko follow karke, apna resume tyaar kar sakte hai.

      Reply
  8. shobhitsingh says

    January 28, 2016 at 5:22 pm

    Coll center me job ke liye resume dalna hai kya likhe

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 29, 2016 at 10:28 am

      Is article me humne professional job ke liye resume banane ke trike diye hue hai. karipya aap article me btaye gaye steps ko follow kare. Isse aapki problem solve ho jaygi.

      Reply
  9. salman says

    February 1, 2016 at 1:10 pm

    sir ye article mere liye bht helpful raha
    main aapka bht shukrguzar hu
    thanks

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 1, 2016 at 1:28 pm

      your welcome salman
      agar hum aapki thodi bhi help kar paye toh hume is baat ki khushi hai.

      Reply
  10. santosh singh says

    March 3, 2016 at 8:12 am

    Sir,
    good morning aapne bahut acchi jankari di hai cv,resume aur biodata ke baare me aapka dhanywaad…..!!

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 3, 2016 at 10:13 am

      your welcome santosh ji
      jaise ki aapne bataya ki aapko humara ye article pasand aaya toh aap is post ko apne friends ke sath bhi share kar sakte hai, jisse ki wo bhi iska fayda le sake.

      Reply
  11. Amit singh says

    March 7, 2016 at 4:31 pm

    CV kaise banaye

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 9, 2016 at 10:43 am

      CV banane ka tarika humne is aritcle me bhi diya hua hai. aap waha se dekh kar apply kar sakte hai.

      Reply
  12. Watson says

    March 12, 2016 at 6:55 pm

    RRB ke exam kab or kese hote he Kya isme sirf railway se sambandhit questions aye he ya or bhi

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 15, 2016 at 2:55 pm

      Ji ha isme sirf Railway se related questions hi aate hai, jiska syllabus aap railway ki official website se ya apne pass ke kisi bhi book store se jaakar parpt kar sakte ho.
      Naye format me ye exam online ho chuka hai joki computer par conduct kraya jaata hai.

      Reply
  13. Gaurav arya says

    March 24, 2016 at 8:58 pm

    Thanku sir aaj apke dwara mujhe is sabki knowledge mil payi thanks a lot

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 25, 2016 at 12:11 pm

      Your welcome
      keep following vikasplus for more information.

      Reply
  14. amit jha says

    April 20, 2016 at 10:02 am

    Good morning sir,
    sir mujse apni best resume banani hai jo ki ek badi company hai usme sent karni hai uske liye mujse
    kya karna hoga

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 20, 2016 at 10:34 am

      Aapko bas is article me diye hue steps ko follow karna hoga.

      Reply
  15. Mohd.Rafik says

    May 19, 2016 at 5:12 pm

    sir mujhe biodata or resume banana h plz help kariye sir

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 21, 2016 at 11:23 am

      Article ko follow kijiye isme humne sab kuch details me bataya hua hai.

      Reply
  16. Dinesh ku meher says

    July 19, 2016 at 12:07 pm

    Sir mujhe ek resume banana hai kya me is resume me aapne biodata doon ya nehi ya phir aapna qualification hi lekh ke resume banaun

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact