Vikas Plus par seekhne wale jadatar log Facebook par hai to humne socha ki kyona us purane ghise pite comment box ko hata kar Facebook comment system laga diya jaye, Facebook comment system ka ye fayada hai ki logo ko baar baar comment karte samaye Email Id nahi bharni padegi, aur jab koi unke comment ka javaab dega to comment unhe turant Facebook par notification aa jayegi.
Is article me mai aapko sikhauga ki WordPress par bani website me Facebook comment system kaise lagate hai.
Facebook Comment WordPress Me Kaise Install Kare ?
Sabse pehle aap apni WordPress website par Facebook Comment naam ka plugin install kare. Install karne ke liye aap Plugins >> Add New par click kare.
- Plugins par click kare
- Add New click kare
- Right side me upar ek search box diya hai usme “F” likhe
- Facebook comments plugin aa jayga, uske box mai se “Install Now” par click kare
Install karne ke baad activate plugin par click kare
Ab aapka plugin activate ho chuka hai.
Plugin ki setting karne ke liye setting >> Facebook comments par click kare
Plugin ki setting karne ke liye aapke pass Facebook ka developer account hone jaroori hai. Developer account banane ke liye is article ko padhe.
Hum Facebook Developer ka account use karke Facebook Application banayege jiske dwara hum apni website par Facebook comments ka use kar sakege.
Facebook Application banane ke liye https://developers.facebook.com/apps/ par jaye.
Is page par Create new aap par click kare
click kate hi ek dialog box khulega
Is box mai apni Facebook application ki jankari bhare.
- App ka naam
- App ke liye namespace, is app ke naam me space mat dale
- Category select kare
- Create ID par click kare
ab aapke samne app ka dashboard aa jayga, is dashboard me left side par Settings par click kare
Setting me jane ke baad. Kyoki hum is application ko apni website par use kar rahe hai. + Add Platform par click kare.
Aage Padhe:
Add platform click karne ke baad website select kare
neeche ek site url ke naam se field aa jaygi, usme apni website ka naam bhare. Aur Save Changes par click kare.
Ab sabe upar di gai apni App ID ko copy karle.
Is id ko apne WordPress mai Facebook comments plugin mai daal de.
aur plugin page par sabse neeche jakar save par click kar de.
Ligiye ab apne apni WordPress website par comments system laga liya hai.
Is comment system se apki website par traffic bhadega, kyoki jo vyakti ispar comment karega uski post dosto mai bhi share hogi, aur is comment karne wale ke dost bhi apki website ko dekhege.
Thank you 🙂
Padte Rahiye:
- Facebook par ID kaise Banate hai.
- Internet se Books Download krne ki Best Websites
- Facebook Page kaise Banate hai.
- Twitter ID kaise Banate hai.
jasvir says
Sir ap ki site bahut pasand ayi.bahut bahut shukarya.aap mujhe ye bataye ki WordPress par roman hindi language ho sakti hai ya nhi.jese me abhi likh raha hu agar ho sake to plz sikha do.
Vikas Plus says
Jese aap abhi likh rahe ho theek waise hi aap WordPress editor mai bhi likh sakte ho. Agar aapko wordpress par jaada jaankari cahiye to aap mujhse Facebook par Personally bhi baat kar sakte hai.
Abhishek says
Hello this the very helpful articles but if any person using subdomain like website.wordpress.com so how to install plugin
Vikas Plus says
Aap wordpress.org par plugin install nhi kar sakte hai kyu ye free website hai ispar apko wordpress ke hisaab se chalna padta hai.
Wordprss.com ek paid website hai is par different tarike ke plugin install kar sakte ho, jisme se kcuh plugin free hai aur kuch plugin aise bhi hai jinka aapko payment karna padta hai.
hindimejankaari says
hellow sir,
mai apse ye puchna chahta ho ki, mere wordpress pe plugin ka option hi nahi aa rha hai to fir m kaise plugin karu?
Sunny Singh says
WordPress do tarh ki hoti hai 1- jo aap use kar rahe ho. 2- Jo hum log wordpress.org se download karke uske liye hosting purchase karke us par chalate hai. aur ha ek baat aur agar aapko apni website par plugin lagane hai toh wo paid hote hai aur uske liye aapko kuch paise bhi kharch krne pad sakte hai.