Agar aap mobile kharidne jate hai ‘3G’ aur ‘4G’ mobile jaroor dikhte hai, lekin aap jaise jadatar logo ko pata nahi hai ki inme farak kya hai. Chaliye jaante hai.
G kya hai?
‘G’ ka matlab hai Generation (jise hum Hindi me Peedhi kehte hai). Generation apke mobile par konse level ka network hai use darshati hai. Jitna naya ‘G’ hoga utna hi Fast apne mobile par internet chal sakta hai. Lekin kayi log ye ‘G’ ke chakkar me padhkar mehnga mobile kharid lete hai. Mobile kharidne se pehle dekhe ki aapki jaroorat kitni hai, aur aapke area me us Generation ka signal bhi aata hai ya nahi.
Chaliye ek ek karke India me uplabdh hum saari Generations ke baare me jaante hai.
1G Networks
Kya 1G ?? kabhi suna hai 1G ke baare mai? Sunege kaise kyoki aksar TV par wahi baate batai jati hai jo bikti hai. Abhi sab log ‘4G 4G’ isliye kar rahe hai, ki wo companio ko logo ki jeb se jada paise nikalne me help karta hai.
Apne main mudde par aate hai, 1G kya hai. 1G Network sabse pehla cellular network system mana jata hai. Ye network sirf Voice calls ke liye banaya gaya tha. (1G signal Analog the Agar aap signals ke baare me kuch jaante hai to samajh aa gaya hoga)
2G Networks
2G pehle digital cellular system hai, jisme ki behtar quality ki awaj jati hai, aur ye 1G se jada surakshit bhi hai. 2G ko hi hum GSM, CDMA bolte hai (aapke mobile ke box par kayi likha hoga GSM).
Is Network ka use abhi bhi jaadatar mobile networks me hota hai.
Aage Padhe:
2.5G Networks
Haha 😀 ye shayad aapke liye naya hoga! 2.5 G network 2G ka naya version hai. Iski speed lagbhag 144kbit/s hoti hai.
2.5G ko hum GPRS kehte hai. Jab hum aam 2G internet ki baat karte hai to is 2.5G ke bare me hi keh rahe hote hai.
3G Networks
3G ko hum “3rd generation” bhi kehte hai. Ye network high speed internet chalane ke liye kaam aata hai. 3G network aapko lagbhag poore India me mil jayega.
3G Network ke dwara aap bina kisi problem ke apne mobile me teji se data download kar sakte ho. 3G ko hum mobile broadband bhi keh sakte hai, kyoki iski speed broadband ki tarha kafi acchi hoti hai.
4G Network kya hai
4G ka matlab “4th generation” ye network sach mai bohot fast hai, India ke bade sehro mai 4G teji se fel raha hai. 4G 3G se kahi guna tej hai. Aur 4G ka ek aur roop ata hai 4G LTE (Long Term Evolution) jiske ki hum asli 4G keh sakte hai aur 4G LTE ki speed 3G se lagbhag 10 guna jada hoti hai.
VoLTE kya hai ?
VoLTE ka pura naam hai Voice over LTE. Is technology me aap LTE network ko use karke baat karte hai, is procesiger ko shortcut me VoLTE kehte hai. LTE ka pura naam hai Long Term Evolution.
Ye high speed se data idhar udhar bhejne ke liye bana hai. Ye waise toh GSM/EDGE aur 3G ki hi technology use karke bana hai, par iski frequency kafi jyda hai unse. Toh iski speed aur quality bhi achi hai.
LTE ko hum 4G bhi kehte hai toh hum VoLTE ko 4G calling bhi keh sakte hai.
Konsa Mobile le 3G ya 4G
4G ke saath 2 problem hai ki ye abhi India ke har seher me uplabdh nahi hai. Is poori tarha se Hindustan me aane me kuch samye lag sakta hai. Aur doosri problem ye hai ki 4G support karne wale mobile abhi mehnge hai.
Agar aap budjet par ho to abhi aapko 4G mobile ki jaroorat nahi hai, abhi aapke liye 3G hi kaafi hai. Aur agar aap aise sehar me rehte hai jaha 4G network na ho to 4G mobile ka koi fayda nahi hoga. 12-15 mahine me sabhi mobile purane hojate hai to abhi wahi mobile kharide jo aapke budget mai ho.
Agar aapke kuch sawaal hai to neeche comment kare. Aur agar aap apne dosto ko bhi batana cahte hai mobile networks ke baare mai to is article ko Facebook par jaroor share kare.
Thank You.
Ye bhi Padhe:
Harsh Sharma says
Aapke post acche Lage sir..And Mai aapse rewuest krta Hin K aap Mujhe Member Banaye…
Thank You ..
Vikas Plus says
Jaroora aapka swagat hai 🙂 Member banne ke liye aap Hamare Facebook Group ko join kar sakte hai.
saurabh gangwar says
Hi i am saurabh gangwar
Irshad 5 says
me dehli me rehata ho or mera phone bhi 4G hai lekin me 4g uess nahi kar pa raha hu
Harsh Sharma says
Aapke post acche Lage sir..And Mai aapse request krta Hun K aap Mujhe Member Banaye…
Thank You ..
Irshad 5 says
mere problem ka koi to answer hoga?
Sunny Singh says
Iske liye aap apne service provider se contact kar sakte hai, kyuki dehli me toh 4G hai toh wahi aapko iska sahi tarika bata payege.
Mahendra says
Hello Sir apki muje 3G aur 4G Networks kya
hai? ki post kafi achi lgi…
Sir mera apse ye que h ki kya 2G Or 3G Sim Card aate h agr aate h to inke bareme concept detail me bataiya h…..or saath jo 2G or 3G Internet data recharge k bareme detail me bataiye…
Vikas Plus says
Jo normal SIM cards hote hai wo 2G 3G hi hote hai. Aur agar aap Recharge karane ki jaankari cahte hai to ye article padhe 2G, 3G, 4G Mobile Recharge aur Internet Plans Kaise Pata Kare
irshad ahmad says
4g kitne city me hi
please hame inform kijeye
or,kitna prize hi.
Thanku
Vikas Plus says
4G abhi tak sirf Metro cities me hi hai. Chote cities me aane me isko abhi thoda time lag sakta hai.
Aur plans ke baare me Humara ye article padhe.
4G plan ke baare me jaankari
Hafiz Muhammad Asif says
:(:):(:(:):(:(:):)
ankush pal says
Sir apki jankari pad kar accha laga thank you
Vikas Plus says
Dhanywaad
Agar aapko is article se kuch help mili ho toh apne friends ke sath zaroor share kijiye.
sonia saini says
hi sir kea koi aap h jisse secful signl aae hamre jahan signl ki boht problm plz help
Vikas Plus says
Aisi koi app toh nhi hai, waise aap jaha par rahte hai us area me hi toh network problem nhi ( ek baar ye zaroor confirm kar le )
sagar says
sir 3g idia wifi dongle main 4g chal sakta hai ?
Vikas Plus says
Depand karta hai ki apki city ya area me 4G network aa rhe hai ya nhi .
sonu says
mera 2g mobile hai aur 3g sim 1m me 1mb downlod hota kya kare
Vikas Plus says
Iske liye toh aapko 3G mobile hi lena hoga. kyuki aaj kal sim se koi farak nhi padta bas mobile ki configuration acchi honi chahiye, aur apne operater ke network acche hone chahiye
Balchand tomar says
4G me 3G support karega ki nahi
3g network per chal sakega ki nhi kya mtlb fir 4G ka.
Vikas Plus says
4G ek network hai agar aapke area me 4G network hai toh hi 4G support karga nhi toh aap usme simple 2G, 3G bhi chala sakte ho.
Sanjit Nayak says
Sir mera mbl 3G supported he hamara seher me abhi idea ki 4G lunch hua he (3G nahi he hamara seher me )
Mereko 1GB 4G data mila he kya me meri 3G set me 4G chala sakta hum..?
3G mbl pe 4G chalane kelia kya koe application he download karake chalane kelia..
Vikas Plus says
4G internet chalane ke liye aapka mobile aur sim card 4G hona zaruri hai.
Prince mishra says
Sir aisa koi app hai jisase android phone hang na kare
Vikas Plus says
Aise bhut se app hote hai. Lekin aapko sirf wahi app download karna chahiye jo app aapke kaam ka ho. Faltu ke aap download nhi karne chahiye.
Rahul says
Kya 4G mobile phone jlagon jamod me kam karta hai aur kitne teji se
Vikas Plus says
4G abhi kuch hi cities me hai aur khass kar metro cities me.
pradeep says
sir ji kya hm 4g mobile PR 2g net chala skte he plz btaiye
Sunny Singh says
Ji ha bikul aap 4G mobile par 2G net chala sakte hai.
Bhuwan kumar dhruw says
Hi sir mera ek sawal hai ki 4g pure india me kab tak aa jayega.
Sunny Singh says
Iska jawaab bhut muskil hai kyiki abhi toh poore india me 3G bhi dhagh se nhi aaya hai.
rishi kesh says
sir hamara city ma 4G launch haua ha aap hama bata Santa ha ki kyon sa 4G phone aacha rage ga 5000 under
Sunny Singh says
dekhiye agar aapko koi bhi 4G phone lena hai toh meri salah ye hai ki aap kam se kam 8000 se uper ki range ka hi le. kyuki 5000 wale hand set itne acche perform nhi karte hai.
vimlesh singh says
good . Vikash achha likh rahe ho ,aapke blog pe aake aisa laga jaise abhi india me bahut se log anbhigya hai internet se .hamari ray to yahi hai ki aap nichle star se hindi me logo ko bataiye ,is_se aapko bhi adsense se fayda milega. aap mere blog par ek nazar dalna jarur
Sunny Singh says
Thanks for your suggestion
I defiantly try this .
aakash dhurw says
Kya main intex aqwa 3g+ mobaile se idea 4g chala sakta hu….
Sunny Singh says
Nhi , uske liye aapke pass 4G supported mobile hona chahiye.
ajij says
sir kya 2g sim ko 3g ya 4g m bdla ja skta ydi h to kse aur ydi nhi to kyu pls btaai sir….
Sunny Singh says
Nhi.
kyuki 2G sim 4G support hi nhi karta hai.
pradeep says
sir kya 3g data jaldi kharch hota he 2g ke tulna me ?
Sunny Singh says
ji ha bilkul
pradeep says
sir ek question or . Mobile fields me ye REM ROM or processers se kya hota he or in Ka kya kam hota he mob. me plz inke bare me bataiye
Sunny Singh says
ROM toh mobile ki internal memory ko kahte hai,jisse aapko kuch bhi storage karne ke liye MB card ka istemaal nhi karna padta hai.
Sher m khan says
Sir call ke liye jio me volte kese bnegi
ajij says
sir jo mera question tha ki 2g ko 3g nhi bdala ja sakta to sir aap koi 2 ya 3 reason de dete sir ki codes ya waves ya other any problems bta dijiye…… kyu ki mera project h about this….
Sunny Singh says
Mere ko iski technicality toh bilkul nhi aati hai kyuki mai ek web designer hu na ki software engineer.
V K Shukla says
4G main LTE or VoLTE main kya fark hai pl explain
Sunny Singh says
4G ki speed Upload aur download me baaki connection ke mukable bhut acchi hai, jabki Lte ek wirless network me sabse tez connection uplabdh hai. haal hi ki dino me.
saru says
Sir bhut acha likhte ho ..m apki site ki member bnna chahti hu to kse bnu.plz tell me
saru says
Sir m is site ki free member bnna chahti hu plz
Sunny Singh says
plz follow vikas plus facebook group
Vishnu bishnoi says
Mero ko new mobile Lena h Samsung ya koi other
Vishnu bishnoi says
Plzzz btae konsa mobile lu 15000 tak
Sunny Singh says
Coolpad note 3
Lenovo k4 Note
Ye phones acche hai aur iske review bhi badiya hai.
shyam nandan says
Reliance CDMA sim Jo 4g sim me convert hoga ya kiya jayega. Uske baad ye hand support karega ya nhi ….moto g CDMA handset hai
Sunny Singh says
Iske liye aapka Handset bhi 4G ko support karna chahiye.
firoz says
mera hend set 3g hai kya mai isme 4g reliance ka sim bat karne ke liye chala sakta hu.
Sunny Singh says
Baat karne ke liye toh aap chala sakte ho lekin internet ki speed whai 3G wali ya phir usse bhi kam aaygi.
rahul says
kiya me apne 3g phone ko 4g kar sakta hu
Sunny Singh says
Nhi.
hasnain says
main libya main hu or jis shehr main mrin rehta hu wahan 3g signal bhi bht kamzor hain
mere pas samsung grand prime he or jab net data on krta hu to 3g ki bjaye (h+) show hota hai
jis ki waja se net kam krta hi nahi
kia is ka koi hal hai k sirf 3g hi chaly??
Sunny Singh says
Agar aapki city me 3G service hai hi nhi, ya phir 3G ke kamzor signal hai toh aap kaise net chlaoge, iska abhi toh koi hal nhi hai
Nitesh Kumar verma says
Main 4 g mobile kharidna chahta hu lekin mere sahar me 4 g avi chalu nhi hua h to kya us mobile PR 2 g or 3 g chal Sakta h Ki nhi
Sunny Singh says
Ha kyu nhi Agar aap 4G mobile bhi khridte hai toh bhi aapko kisi parkar ki koi dikkat nhi aaygi, 2G ya 3G mobile ko chalane me.
Manwar singh says
Thanks vikasplus team to help us and spreading knowledge to all among us…..
I have a question sir: mere pass reliance lyf wind 4 handset h….but sim card idea 2g h…..kya m isse 3g chala sakta hu…..and how??
Manwar singh says
Thank you vikasplus team to help us and spreading knowledge to all among us
I have a question: sir mere pass reliance lyf wind 4 handset h….but sim card idea 2g ka h….kya m issi sim card se 3g chala sakta hu….pls must reply
Sunny Singh says
Ji haa aap chala sakte hai aapko bas apne mobile me 3g ka recharge karwana padega.
shreyas patil says
sir 3g unlimited 3gb katam hone ke bad sabhi ki speed 80kbps 64kbps bolake 10kbps se 15kbps dete hai ……to kya 4g me 3gb katam hone ke bad kitani milegi
Sunny Singh says
Jitni 3g me aati hai wahi speed aaygi.
Syed tasleem says
3g sim ko 4g karne k liye kya karna hoga
Sunny Singh says
Iske liye aap naya sim lena hoga.
Kartik singhal says
Are you great boss ap ke article padke baht hibahut achha lagta he….. Ap bahut achhe he jo aap bam sabki itni help kar rhae he i really thankful to you…. Main member ship ke liye request bheja he agar ap accept kar le to me apka abhari rahunga
Sunny Singh says
Thanks for appreciating my work
ms.shaikh says
3g mobile me jio 4g ka sim chalmega kya
Sunny Singh says
Nhi 4G sim chal bhi gaya toh net nhi chalega 4G .
ms.shaikh says
3g mobile me jio 4g ka sim chalane ke liye koi app hai kya
Sunny Singh says
Nhi
Amit says
mera pass Compaq HP laptop ha aur us mai GTA San Andreas game nahi chalta aur kuch app instal nahi hote 2gb ram ha dual processor ha ky koi problem ha
Sunny Singh says
Kuch games ko chalane ke liye graphic card ki zarurat hoti hai, shyed aapke laptop me graphic card nhi hoga aur agar hoga toh kab configuration ka hoga.
pankaj says
android or smartphone mai kya farak hai
Sunny Singh says
Operating system ka fark hai.
Smartphone me aapko zaada applications nhi milti, jab android me aisa nhi hai aapko bhut zaada applications bhut hi asaani se mil jaati hai.
abdul says
kaya smmsung E7 me jio 4g ka sim chal sakta he koi tarike se???
Sunny Singh says
4G sim chalane ke liye cell phone 4G enable hona chahiye.
Ravi pandit says
Mera mobile 4g ka intex wing ka hai pr us se call nhi ho pati or mene pta kiya to pta chlaki ye LTE ki wjha hai kya me us ko LTE bna skta hu
Sunny Singh says
Wo feature toh mobile me pehle se hi aata hai, aap mobile ke box par dekh satke hai ki ye Lte supported hai bhi ya nhi .
Maheep yadav mahi says
maein ek smart phone lena chahta hu 8000 ki prais me kuon si lu
amit kumar says
Sir
gionee marathon m5 lite
Mobile k bare me bataiye.
Iska review kya h.
Or iske camera kaisa h.
amit kumar says
Sir
Gionee marathon m5 lite k bare me jankari bataiye. Iska reviews kya h. Or iska camera kaisa h.
Sunny Singh says
Iske reviews toh aapko filpkart ya amazon jis site par bhi ye mobile avaliable hai waha par mil jaayge.
sachin says
mujhe ye btaiye ki ager hum broadband me 2mb ka plane lete h to humari download speed kitni aati h …… matlab kitne kb se download hoti h file
Sunny Singh says
Aisa ko particular data nhi hai ki hum aapko poori calculation ke according bata sake, lekin kam se kam 500kb/s toh aani hi chahiye.
akash raj says
Mera phone 3g hai but main main isko 3g jaisa mahsus nahi kar pata ye slow chalta hai .what I do.
Sunny Singh says
Mere khyaal se aap iske ander jo internet connection use karte hai wo 2G hai. Isliye hi ye aisa behave kar raha hai. Toh humari advice yahi hai ki aap iske ander ek baar 3G net recharge kara kar dekh sakte hai.
Rinku says
Hii..
Sir kya 3g mobile me 4g network chal sakta hai..
Sunny Singh says
Nhi, 4G ke liye aapka handset 4G hone zaruri hai.
Rohit says
Hum laptop me 4g kaise use krenge,kya uske liye 4g modem lena pdega,
Rohit says
,sir..Hum laptop me 4g kaise use krenge,kya uske liye 4g modem lena pdega,
Sunny Singh says
Ji, ha laptop me 4G use karne ke liye toh aapko 4G modem lena hi padega.
Raj says
Sir i want 4g set,kaun better hoga
Sunny Singh says
Abhi tak toh reliance jio hi sabse best hai.
Rubi says
Mer a ph Samsung galaxy ST 231 ha 3G TO chlta hai isme , kya isme 4G v chl skta h
Sunny Singh says
Nhi.
muzammil ahmad says
sir 4g mobile mei 2 g sim support karega, 2g sim se net kaisa chalega, calling me farak hoga ya nhi ya 2g ko convert karana padega . reply fast sir please.
Sunny Singh says
4G mobile me 2g, 3g dono support karte hai, lekin yaha aapko ye jaane ki zarurat zaroor hai ki wo sirf 2G ke jaise hi kaam karta hai, isliye 4G mobile hone se uski speed me koi fark nhi padta.
amit sahu says
Sir aaj kal news paper mein tower lagane kay jo adds aa rahe hai
kya ye sahi hai ki fake hai.
mera no. 9838916955 hai.
Sunny Singh says
Wo sab ads fake hote hai.
Çøœlz Manjeet says
Sir mera ek question Jo mujhe dukhi kar raha Hai me salora zeppar ka 3g dongal computer me use karta hun speed bhi thik deta Hai but mujhe ye paroblam Hai ki broadband best Hai bats sakte ho aap kyo
Sunny Singh says
Broadband kuch hi companies ka best hai jaise airtel, reliance etc
manjeet dhariwal says
Sir broadband modem she kyo best hai
Sunny Singh says
Kyuki broadband connection me aapko ek device aur modem ki zarurat hoti hai, lekin phones me aisa kuch nhi hota, ye wifi se connect ho sakta hai.
balveer says
Kiya h+ 4g hota he
Dilip Das says
Respected sir,
Mujhe ek information chahiye. Agar internet ke jariye kuch send Kia jaye ek sat 3G aur 4G mobile par. Toh konsa mobile main pehle milega 3G yah 4G main.
Actually main ek cab chalata hu jiska booking internet ke jariye hota hain. Toh sabhi cab me 3G use karte hain. Toh main 4G net use Karna chahta hu. Toh kya 3G cab se pehle 4G ka booking milega. So please reply me Thank you.
Sunny Singh says
Oversley 4g ki speed acchi hoti hai toh uske jariye aap jo send karoge toh wo zaldi hi jaayga aur cab companies 3g isliye use karti hai, kyuki 4G abhi itna zaada faila hua nhi hai, jaise jaise time change hoga waise hi log 4G ka use karne shuru kar dege.
Ayan says
Sir mere pas 2g phone h to koi aisa app h jisse me 3g net chala sku
Sunny Singh says
Aisi koi app nhi hai
Madhu sudan dabral says
मेरे पास 4g lte मोबाइल है और कालिंग करने के लिए जियो 4g वौइस् कालिंग app का इस्तेमाल करता हूँ पर कभी कभी ये app काम नहीं करती जिससे काल नहीं हो पाती । क्योंकि जब ये app ठीक से काम करती है तो मोबाइल के ऊपर बाएं तरफ इस app का logo हरा हो जाता है और ऑनलाइन लिखा हुआ आता है पर जब ये app काम नहीं करती तो confugation चेक करने का msg आता है जबकि confugration सही है फ़ोन को कई बार स्विच ऑफ करके और ऑन करके भी देख लिया पर प्रॉब्लम ख़तम नहीं हो पा रही है……ये कमेंट लिखते वक्त तक ये प्रॉब्लम बनी हुई है प्लीज मेरी मदद करे ।मेरे पास माइक्रोमैक्स कैनवास xpress 4g है ।
Sunny Singh says
Ye problem sirf aapki nhi balki un sabhi users ki hai, jo Jio 4G use kar rahe hai, toh ye problem company ki service error hai, is par wo shudhaar kar rahe hai, aapko iske result zald hi dekhne ko mil sakte hai.