Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Zip Documents kya hai aur Unzip kaise kare

December 22, 2015 By Nikhil Arora

Agar aap Internet se cheeze download karte rehte hai to aapni kabhi na kabhi ‘zip’ file download ki hi hogi. Mai to kahuga agar aap internet se sambandhit koi bhi kaam karte hai to aapko jadatar zip files hi download karne ko milegi.

Zip file ki extension .zip hoti hai.

Zip File kya hai

Zip file waha use hoti hai jaha aapko kayi saari files ko ek file ki tarha download karna padhta hai.

Zip files Internet par un jaghao par use hoti hai jaha se hume multiple files ko ek file ki hi tarha download karna hota hai.

Iska ek aur fayada ye hai ki is file ka size iske ander ki sabhi files ke size ko milkar size se chota hota hai. Is size kam karne ke tarike ko hum compression bhi kehte hai.

Compress karne se hum internet se choti file bhej sakte hai.

File compress karne ke sath sath aap Zip file ko protected banane ke liye uspar password bhi laga sakte hai.

Zip File Banaye Kaise

Agar aapke pass kuch files hai aur aapne unhe Zip file me convert karna hai to ye steps follow kare.

Step 1: Jin jin files ko aapne zip me daalna hai un files ko select kare.

file-ko-select-kare-zip-karne-ke-liye

Aage padhe :

  1. Cyber Attack se bachne ke tarike ! 
  2. Free PC games kaise download karte hai ?
  3. Top 10 mobile under 2000 ! 

Step 2: Files ko selected rakhte hue right click kare aur Send to > Compressed (Zipped) folder par click karde

sent-to-compressed-folder-kare

Step 3: Apni nayi Zip file ko rename kare aur apki zipped file ready hai.

file-ko-rename-kare

Ab aapne dekha ki kis tarha hum zipped file banate hai. Ab aapko alag alag tukdo me file bhejne ki jaroorat nahi hai aap is file ko aap logo ko Email dwara bhi bhej sakte ho.

File to UnZip Kaise kare

Zipped file ko kholne ko unZip karna kehte hai. File ko unzip karne ke baad hame ek folder mil jaata hai jiske ander hamari zip ki hui files alag alag apne normal roop me aa jaati hai.

Step 1: File ko unzip karne ke liye file par right click kare aur Extract All par click kare

extract-all-par-click-kare

Step 2: Ab computer aapse file ko extract karne ki location poochega, location set kare aur Extract par click karde.

extract-button-par-click-kare

Step 3: Aap dekh sakte hai ki extract ki hui files aapke is folder me wapas aa gayi hai.

Log aksar files ko zip karke apne computer par space bachane ke liye karte hai, aur kahi baar apni files ko protect karne ke liye bhi karte hai.

Agar aapko Zip files ko lekar koi bhi doubt hai to neeche comment karke jaroor pooche.

Ye bhi padhe :

  1. Wikipedia kya hai ?
  2. PDF file kya hai ?
  3. Android kya hai ?

Filed Under: Computer Tagged With: file

Comments

  1. Arya says

    February 5, 2016 at 3:50 pm

    Bro
    Plz tell me
    Free domain kaha se le aur kaise blogger me connect kare

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 8, 2016 at 6:44 pm

      Free domain bekar hoti hai, aur wo SEO mai rank nahi karti.. 199 ki to hai sirf, lene mai kya problem hai bhai..

      Reply
  2. A.K.JEE says

    February 12, 2016 at 10:03 am

    Zip file me pass lagaye the wo pass bhi gye hai
    koi upat de sakte hai
    usme meri bahut si important file sab hai

    Reply
  3. A.K.JEE says

    February 12, 2016 at 10:04 am

    Zip file me pass lagaye the wo pass bhool gye hai koi upay de sakte hai usme meri bahut si important file sab hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 15, 2016 at 12:47 pm

      Iska koi proper solution nhi hai, Lekin phir bhi aap internet se password unlock ke naam se bhut se software aate hai, usko use karke aap Zip file ka password unlock kar sakte hai.

      Reply
  4. piyush kumar says

    March 7, 2016 at 7:05 am

    Zip file ka password kya hota h

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 7, 2016 at 11:49 am

      Password waise hi hota hai jaise aapko facebook ID ya gmail ka password hota hai. jisko daale bina aapki file open nhi hoti hai.

      Reply
  5. piyush kumar says

    March 7, 2016 at 7:07 am

    Zip ka password kese kholte h mobile me

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 7, 2016 at 11:47 am

      Mobile me explore file manager me jakar aap apna password daal kar file ko open kar sakte hai.

      Reply
  6. Vishal says

    March 11, 2016 at 8:20 am

    Zip me file ke size ki kam kaise karte hai

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 11, 2016 at 11:18 am

      7 Zip ko download kar lijiye, isse aap file ko compress bhi kar sakte ho.

      Reply
      • Mukesh Kumar says

        April 7, 2016 at 12:05 pm

        maine watsapp ka msg, audeo, video pc per download kiya h jo zip file me h extract karne per bhi nhi khul raha h pass mang raha h per mujhe password pata nhi h kaise kholun. plz help.

        Reply
        • Sunny Singh says

          April 7, 2016 at 2:57 pm

          Iske liye aap Inernet se password braker software search kar sakte ho, ya jisse zip file li hai usse hi pata kar sakte ho.

          Reply
  7. sandeep says

    April 25, 2016 at 7:33 am

    Sir mujhe apna KitKat version lolipop me badlna hai lekien company update provide nahi di hai

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 25, 2016 at 11:24 am

      Jb tak company ki tarf se koi notification nhi aayegi, tab tak aap apna version change nhi kar sakte ho.

      Reply
  8. Sanjay says

    April 30, 2016 at 5:51 am

    Bro main apni zip file ka password bhul gya h use kaise khol.maine net par bhi search kr liya lekin software trail version me h aap search kr ke help me

    Reply
  9. Khurshid Alam says

    May 21, 2016 at 8:26 pm

    Mene physics animation download Kiya lekin usko dek nehi Pati ho scrin pe ati hay decompress or cancel, help please

    Reply
  10. Vishakha rajpoat says

    June 10, 2016 at 8:43 am

    Zip file ko open krne per extract all ka option nhi aa raha h just 4 option open cut copy del rename n properties ka option aa raha h plz help me

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 10, 2016 at 10:26 am

      cirsal ko blikul zip file ke uper karke right click push kare, zauru aa jayga.

      Reply
  11. Zahid Akhtar says

    June 11, 2016 at 10:52 pm

    Bhai ye bataye mujhe apni 300-400 pics ko google drive pe rakhna hai to kya main unhe zip file bana kar google drive pe rakh sakta hu

    aur lagbhag 1 gb pics ho to wo zip hone par kitne mb ki ho jayegi

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 13, 2016 at 10:52 am

      Ji ha aap pics ko Zip file banakar google drive me rakh sakte hai. ye toh pata nhi ki kitni ho jaygi lekin, is baare me sure hu ki kuch na kuch kami toh aaygi.

      Reply
  12. shashi says

    June 16, 2016 at 9:31 pm

    Bhai zip file kholne password mang raga hai but password kaise jane?

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 24, 2016 at 2:48 pm

      Iske liye aap password ko break karne ke liye software download kar sakte hai.

      Reply
  13. lal bahadur says

    August 11, 2016 at 9:09 am

    sir mujhe koi aesa tarika bataiye jisse me har andriod phone me softwere dal saku

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 13, 2016 at 11:08 am

      Aisa koi tarika nhi hai, kyuki sabhi android ki performance par depend karta hai ki wo kis application ke liye sahi rahega.

      Reply
  14. Vikash says

    August 13, 2016 at 10:08 pm

    Sir.. Zip file ka agr password yaad na ho, to zip file ko kaise open karte hain.. Agr koi software hota h zip file ko unlock karne ke liye, to plesase mujhe bata dijiye, software free Download hona chahiye.. agr aisa koi software h, to please link send kar dijiye, please help me.

    Reply
  15. nasir ali says

    August 14, 2016 at 3:28 am

    maine apna unpouck kar ke exract karni hai ye kese karo unpock ye hsi kaya

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 16, 2016 at 10:38 am

      Zip file par right click karke, extract all kar dijiye.

      Reply
  16. ravi kant says

    August 23, 2016 at 7:09 pm

    Plz mujhe use software ka naam bataiye jisse pass ko break kar sakte hai

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 24, 2016 at 11:01 am

      Aise kisi software me baare me toh hume knowledge nhi hai.

      Reply
  17. rinku vishwakarma says

    September 16, 2016 at 11:28 am

    Nokia 5130c2 v7.97 flash kaise kare flash file kaise download kare

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 16, 2016 at 11:52 am

      Iski jaankari toh aap internet se le sakte hai.

      Reply
  18. Naveed Ahmad says

    September 18, 2016 at 8:57 am

    Asala o alaikum
    Kia hal hi yar main ne firmwere download kia hy as ko zip kaise kron or mery mobile ka nam
    Huawei
    Model y530_u00
    As mobile ka softwere kaise kron

    Reply
  19. birju says

    September 24, 2016 at 9:19 pm

    M WhatsApp hack keke zip file download kiya h pr file open Nhi hota h mobile Lenevo p1m h

    Reply
    • Sunny Singh says

      November 4, 2016 at 11:00 am

      Ye phone is format ko support nhi karta.

      Reply
  20. birju says

    September 24, 2016 at 9:32 pm

    M WhatsApp hack krke zip file download kiya h zip file dekhna chahta hu kaise dekhu

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 26, 2016 at 11:18 am

      Article ko follow kijiye.

      Reply
  21. abhishek sharma says

    October 14, 2016 at 12:38 am

    Meri zip file ko extract krne k liye bo password mang rha h h to uske liye kya kru

    Reply
  22. Abhishek kumar says

    December 17, 2016 at 8:15 pm

    mai ek zipped file load kiya hu lekin chalu karne par password mang raha hai lekin password malum nhi hai usko torne ka koi upaye nhi hoga kya

    Reply
  23. ravimourya says

    December 28, 2016 at 10:20 am

    Ser maine zip file download ki hai lekin bo khul nahi rahi hai mera phone hai sony Xperia t3 ser maine pass bhi dala fir bhi nahi khuli aap mujhe ye batade ki ye phone ki problem hai ya koi softwer se hoi ager ha to us software ka name bhi bata dena plz ser

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact