21 Century me internet bhut tezi se badh raha hai aur hum sab iska ek hissa hai. Aaj kal lagbhag sabhi log internet ka istemaal kar rahe hai. Yaha tak ki india me shahro ke sath sath ab internet villages me bhi popular ho raha hai.
Jaise – jaise ye badh raha hai waise hi humari information bhi daily update hoti ja rahi hai. Ab hume agar kuch cheez ki jaankari bhi chahiye, toh wo hum internet ke jariye apne mobile se bhi parpt kar sakte hai, aur iske liye hume kahi jaane ki bhi zarurat nhi hai. Bas hume apne mobile ka internet start karna hai, aur jo cheez hum search karna chahte hai, usse related words search box me daalne hai, baaki kaam toh aapka search box hi kar dega.
Jaankari ke sath sath ab hum ghar bathe bhi internet ke jariye paise bhi kama sakte hai, bas hume uske baare me thodi knowledge honi chahiye.
Internet se paise kamane ke bhut se tarike hai, inme se hi ek bhut famous tarika hai wo hai Youtube. Jo ki aaj kal Internet se paise kamane ke tariko me top 3 me aata hai.
Aap aksar youtube par videos toh dekhte hi hoge, aur koi koi videos toh aap baar baar dekhte hoge. Lekin kya aapko pata hai, “jo videos aap dekhte ho usse koi paise bhi kama raha hai, aur wo bhi sirf aapke dekhne bhar se ? “
Ji ha bikul aap bhi youtube par apna ek channel bana kar us par videos upload karke paise bhi kama sakte ho.
Lekin humare bhut se visitors ne hume is baare me bhi pucha hai ki, unhone channel toh bana liya hai lekin unse videos upload nhi ho rahi hai.
Toh ye article unke liye hai.
Chaliye shuru karte hai :
Youtube par videos upload kaise kare :
Sabse pehle aapko www.youtube.com par login karna hoga.
Website par jaane ke baad aap Right Side par bane Upload button par click kijiye.
Jaise hi aap upload button par click karte ho toh, aapke samne Select files to upload ka ek red color ka arrow bana hua aa jaata hai, aapko us par click karna hai.
Iske baad aapke samne ek page open ho jaata hai, jaha par aapki videos save hui hoti hai, inme se kisi bhi videos ko choose karke open par click karke us video ko select kar sakte ho.
10 Tarike Youtube par jada subscribes laane ke
Ab aap dekh sakte hai ki aapke samne uploading ho rahi hai, yani ki aapki video ab upload honi shuru ho chuki hai. Video upload hone ke baad aap right hand side par diye gaye, Publish button par click karke, apni video ko publish kar sakte ho.
Iske baad wo sabko dikhni shuru ho jaygi.
Description me aap video se related kuch quotes bhi likh sakte ho.
Youtube par kis tarh ki videos aap upload nhi kar sakte :
Youtube par bhut si videos hoti hai, jinko hum upload nhi kar sakte, kyuki unko upload karne se hume nuksaan ho sakta hai, ya phir wo banned videos bhi ho sakti hai, aisi hi kuch videos ki mai aapko jaankai dena chahta hu, jo aapko jaanne ki bhut zarurat hai.
Copyright Videos : Koi bhi aisi Videos upload na kare, jiske copyright kisi aur ke pass ho, agar aap aisa karte hai toh aap badi problem me pad sakte hai.
Sound Recordings : Kisi bhi parkar ki Sound Recording ya music upload nhi kar sakte hai. Agar aisa ho bhi jaata hai toh youtube isko apne aap hi delete kr deta hai.
Games and Software : Hum kisi bhi parkar ke game aur software ko youtube par upload nhi kar sakte, ha ek kaam kar sakte hai ki aap Screen record karke software ya games ko kis tarike se handle karte hai ye zaroor bata sakte hai.
Porn Video : Aap kisi bhi parkar ki porn movie, clips ko youtube par upload nhi kar sakte, isse youtube aapka channel ban kar sakta hai aur aapke against claim bhi kar sakta hai.
Ladayi dange ya aisi badkau videos : Ladai ya dange se related kisi bhi parkar ki videos aap youtube par nhi daal sakte, kyuki isse log badak jaate hai. Aisi videos daalna kanoon ke khilaaf hai, aur aisa karne se aapko jail tak ho sakti hai.
TV Serial and Movies : Aap Tv Serial ya Movies ki tv recording karke bhi upload nhi kar sakte ho, kyuki ye sabhi copyright videos hoti hai. Yadi aap aisa karte ho toh Tv serial ya movie ke producer aapke against case kar sakte hai aur claim ki maang bhi kar sakte hai.
Toh dekha aapne “Hai, na kitna asaan youtube par video upload karna” . Bas video upload karte samye aapko uper di gayi baato ka dhyaan rakhna hoga.
Aapko humara ye article kaise laga aap hume neeche diye gaye comment box me likhkar bata sakte hai.
Aap hume Facebook par bhi follow karke humari daily updates ko pa sakte hai.
Apne aane wale articles me hum aapko youtube se sambandhit bhut si knowledgeable information dege, jisse aap youtube se paise kama paayge.
Thank you,
kartik says
I really thankfully sir…….. ?
siddhartha roy says
youtube video pe download images use kiya ja sakta hai kya?
Sunny Singh says
Ji bilkul lekin wo images free images download website se download ki hui ho, aur copyright na ho.
siddhartha roy says
ok.but free images ka site konsi hai?and agar mai kisi vi image ka scren capture use karu toh ?
Sunny Singh says
Blog ke liye free images
Manesh singh says
kya mai koi bhi movie ka video cut karke fir usme song change karke video ko upload kar sakta hun please help me sir
Sunny Singh says
Toh aap iske liye youtube par apna ek channel bana sakte hai.