Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Yahoo Mail Par Email Id ya Account Kaise Banaye

September 26, 2015 By Nikhil Arora

Maine aapko apne pichle article mai Gmail par account banana sikhaya tha. Jaise ki maine pehle bhi kaha tha ki Email ID hona bohot hi jaroori hai, Email id ke bina aap internet lagabhag kisi bhi suvidha ka theek use nahi kar sakte. Online banking se lekar job apply karne tak sabhi me Email id ka upyog hota hai. Email id prapt karne ke liye Internet par kayi sari companies hai jaise ki Gmail, Yahoo Mail, Outlook, etc.

Yahoo mail aapko free mai Email id banane ki suvidha deta hai. Gmail jada famous hai lekin Yahoo me kahuga ki Doosre number par ata hai, aur bohot se log Yahoo ki id use karte hai.

Ye article un logo ke liye hai jo yahoo mail par email id banana seekhna cahte hai.

Yahoo Mail aur Gmail mai kya farak hai?

Dekhiye Internet par Email aisa hai, jaise ki asli duniya mai Letter ya Chittiya. Jaise hum asli duniya mai Letter bhejne ke liye ek Address dete hai jaha par Letter Deliver hota hai, theek usi tarha hume internet par bhi ek address cahiye hota hai jaha Email deliver ho sake. Ab Internet par hume ye address kayi companies free mai uplabdh karati hai.

Aap ye free ka email address Yahoo mail, Google Mail (GMail), Reddif Mail, Outlook, kisi bhi company se le sakte hai.

Sabase jada famous Gmail hai, aisa isliye hai kyoki :

  • Jab hum Gmail par account banate hai to humara ek poora Google ka account ban jata hai.
  • Gmail account banane ka baad hume google ki baki sari suvidhaye jaise ki Maps, Android Phone, Google Plus, YouTube etc par account nahi banana padta.
  • Google jada surakshit hai

Lekin Yahoo mail mai aisa kuch bhi extra service nahi hai, agar aapke pass yahoo mail hai to aap sirf email hi use kar sakte.

Agar aapko Gmail account banana hai to aap is article ko padiye aur agar aapko Yahoo Mail account hi banana hai to aap ye article padhte rahiye.

Yahoo Account Kaise Banante hai

Ab mai aapko Yahoo mai account banae ke kuch aasaan steps batauga.

Apne browser mai mail.yahoo.com likhe

Yahoo - login

Aapke saamne ek form bana aajaega, ye form un logo ke liye hai jinke pass pehle se hi Yahoo Mail ki id hai. Aur jin logo ko apni nayi Id banai hai wo “Sign up for a new account” par click kare.

sign-up-par-click-kare

Ek form khulega jisme ki aapko apni jaankari bharni hai.

Aage Padhe:

  1. Skype ID kaise banaye ?
  2. Facebook par Video/Audio call kaise kare ?

form-fill-kare

  • Name : Yaha apna poora naam daale
  • Username: Yaha jo bhi aap daalege wo aapki Email ID ya address ban jaega. Yahoo Mail par kabhi bhi do address same nahi ho sakte, isliye agar aapko pehli baari me aapke naam se id nahi mili to aap kuch aur naam daal kar try kar sakte hai. Aap apne naam ke aage Number bhi jod sakte hai, aapko kuch farak dena hi padega jisse ki aapki id baki sabhi Yahoo Mail accounts se alag ho.Username daalte samaye Yahoo aapko batata rahega ki konsa naam uplabdh hai aur konsa nahi
  • Password: Yaha apna password bhare, password aapke Email account ki chabi(key) ki tarha hai, to password kuch aisa banaye jiska logo dwara andaja lagana mushkil ho. Aap password kuch number aur words ko milakar bana sakte hai. Kabhi bhi apna mobile number ya date of birth jaisi cheezo se apna password na banaye. Agar aapke password ka kisi ne andaja laga liya to wo aapke account ko hack karke uska galat use bhi kar sakta hai.
  • Mobile Number: Is field mai apna mobile number daale, ye mobile number aapke Yahoo mail account ki verification ke liye upyog hoga. Aur agar aap password bhool gaye to bhi ye number kaam aa sakta hai.
  • Date Of Birth: Yaha apni Date of birth daale
  • Gender: Male/Female select kare
  • Recovery Number: Maan lijiye aapka mobile number jo aapne upar daala hai wo kho gaya kabhi to aap apna Password recover karne ke liye is recovery number ka upyog kar sakte hai. Ye number aise kisi vyakti ka hona cahiye jispar aapko poora bharosa ho. Relationship mai us vyakti ka number daale.

Form bharne ke baar “Create Account” par click kare.

Ab agle page par Yahoo aapse Verification karne ko kahega. Send SMS par click kare.

phone-verify-kare

Aapke mobile me ek SMS aega, SMS mai se code copy karke agle page par daale. Ab aapka account ready hai.

Yahoo Mail mai login kaise kare

Login kare ke liye login.yahoo.com par jaye aur apna ID password bhare. Sign in par click kare.

sign-in-kare

 

Ab account me Sign In karne ke baad app Mail par click karke apne Yahoo mai account me jaa sakte hai.

mail-par-joa

Ab aap apne Yahoo Mail account se Email bhej ya receive kar sakte hai.

Email account banate samye koi bhi problem aayi hai to neeche Comment kare.

Thank You 🙂

ye bhi Padhe: 

  1. Gmail par ID kaise Banaye.
  2. Facebook par ID kaise Banti hai.
  3. Twitter se kaise jude. 

Filed Under: Basics Tagged With: Email

Comments

  1. deepanshu gupta says

    November 4, 2015 at 3:38 pm

    hay

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 10, 2015 at 10:36 am

      Hello 🙂 Welcome to Vikas Plus

      Reply
      • sarita gautam says

        June 1, 2016 at 6:37 pm

        hi,,,,…………

        Reply
        • sarita gautam says

          June 1, 2016 at 6:39 pm

          muje bnani sikhna hai

          Reply
          • Sunny Singh says

            June 2, 2016 at 10:32 am

            Toh aap article ko follow kar sakte hai.

      • dharma dangi says

        October 14, 2016 at 9:54 pm

        Hye

        Reply
      • rinku lakum says

        January 5, 2017 at 2:18 pm

        wow nice

        Reply
  2. vinayak kumar says

    December 18, 2015 at 9:34 pm

    how to get gamail to connect fb

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 24, 2015 at 11:46 am

      Gmai id banane ke liye is article ko pahde Gmail par Email ID ya Account Kaise Banate Hai

      aur Facebook id ke liye ye padhe : Facebook par Id kaise banti hai

      Reply
  3. faiyaz says

    December 21, 2015 at 10:13 pm

    mujhe email bananhai

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 22, 2015 at 10:18 am

      Faiyaz ji aapko Email ke baare me pata karna hai ya Email-ID ke baare me ?

      Reply
  4. raj says

    January 19, 2016 at 10:05 pm

    my new id create

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact