Ye article Computer ke basic jaanne ke liye hai, Bohot se logo ko copy paste nahi karna aata hai aur khaskar ki Mobile me kaise copy paste kare.
Is article me hum Copy Paste karna seekhege.
Internet par Copy Paste Kaise kare?
Copy Kaise Kare
Kisi bhi text ko copy karne ke liye hume sabse pehle use select (Highlight) karna hota hai.
Select karne ke liye hume jaha se text ko select karna shuru karna hota hai waha par apne mouse ko click karke rakhte hai. Aur jaha tak select karna hota hai waha tak click ko bina chode apne mouse ko lejate hai.
Ab text select ho gaya.
Is text ko copy karne ke liye ham selected text ke upar right click karege. Phir jo menu khulega usmese copy par click kar dege.
Aap text ko keyboard par Ctrl + C button dabakar bhi copy kar sakte hai.
Paste Kaise Kare
Jab ham apne text ko copy karlete hai, to wo copy kia hua text ek jagha chala jata hai jise ki hum Clipboard kehte hai. Jab kabhi bhi paste button dabate hai tab is clipboard mai pada text waha jaakar paste ho jata hai.
Hum Text ko esi hi kahi bhi paste nahi kar sakte. Text ko paste karne ke liye hume koi jagha cahiye hoti hai, is jagha ko hum Input Field ya Input box kehte hai.
Google ka jo Search box hai wo Input Field ka udharan hai, Facebook ka status update box bhi.
To text ko paste karne ke liye Kisi bhi input filed par right click kar. Aur Menu mai se Paste select karlo.
Text ko paste karne ke liye aap Ctrl + V keyboard shortcut ka bhi use kar sakte hai.
Images Dwara kaise kare Google Search
Android Mobile par Copy Paste Kaise kare?
Android Phone mai Copy Kare
Jab bhi aapko apne android mobile par kisi text ko copy karna hota hai, to aap use text par 3-4 seconds ke liye touch karke rakhe, jese hi aap touch chodege to text par do bindu bana aa jaege.
Aap in binduo ko adujust karke apne text ko select kar sakte ho.
Selected text ko copy karne ke liye aap upar se Copy button par click kare.
Android Phone me Paste kaise kare
Paste karne ke liye aap Kisi bhi input filed par 3-4 second touch karke rakho, Touch hatate hi waha paste ka button bana aa jaega.
Paste button par click karte hi text paste ho jaega.
Esi hi choti choti useful tips ke liye hume Facebook page par follow kare.
Thank you.
But sir Maine Jo apne clipboard Jo TeX copy kiya hai usko Kaiser dekhenge
Usko kisi page par paste karke.
Sir ham comments karte hai app bataye ki websites me kaya bhare
Sir ham comments karte hai to website me kaya bhare
Apna sawal ek baar clear kijiye ?
mera cell m paste ka option nhi ata h copy select to aa rha h pr paste nhi ho rha h
Aap kis software me use kar rahe hai .
(1)-Sir mujhe yah batao ki ager ham kisi or ki wapsite ke product ki discription copy karte hai or use ham apne Microsoft Office word me paste karte hai or usko ham apni wapsite ke product me dal sakte hai koi problem to nahi hogi
(2)-Sir dusra sawal ager ham kisi or ki wapsite me se product ki image dawunload karte hai or use apni wapsite me upload kar sakte hai koi problem to nahi hoti hai plz. bhai zarooor batana
Sir android me fb lite me kisi page we text copy paste kese kre
Kisi bhi text ko press kare, iske baad jo do curical bane hue aa jaayge, phir aapko jitna bhi text copy karna hai aap waha se kar sakte hai.
Hm kisi bhi web site ya koi news aur hame uska link chahiye wo hm kaise copy kare q ki waha to link show nhi krta h so plz help me sir iska jawab mujhe mail bhi kr dijiyega plz
Are agar wo link facebook ya whatapp par hai toh unke ander aane wali pic par aap right click karke copy link address ko select kar sakte hai.
Kisi bhi msg ko paste karke usko WhatsApp ma kaise late Matlab Jo paste kiya usko status banake WhatsApp ma dalana hai
Jitna matter aapko paste karna hai, utna aap curcel ki help se select kar sakte hai. Aur whatsapp me jakar blank field ko long press karke, us matter ko paste kar sakte ho.
Main apne android 4g mobile me ,, hindi pdf file k text ko facebook k comment me hindi me kaise post kr skta hun?
Please jarur bataiyega , it’s very important for me
Ye sab aap google input device se apne keyboard ko hindi keyboard me convert karke aisa kar sakte hai.