Agar aapne abhi +2 kiya hai aur aap SSC ya kisi bhi competition ki tyaari karna chahte hai, lekin aapki english kamjor hai, toh hum aaj ke apne is article me isi topic par baat karege.
Kisi bhi competition exam ke liye aapki english acchi toh honi hi chahiye, jab baat SSC ki aati hai toh iski importance aur zaada badh jaati hai.
Kyuki SSC aur Bank exams me jo english aati hai, wo baaki competition exam ke according thodi tuff aati hai.
Aur yahi par humare bhut se Hindi Medium ke student peeche rah jaate hai, kyuki wo apne +2 tak ki classes me bhi sirf kaam chalau english hi padhte hai.
Jiska competition exams me zaada faayda nhi hota.
Isliye aapko competition exams ke liye acchi english aana bhut zaroori hai.
Yaha tak ki humara constitution, jitne bhi humare govt. job, private sector me jo computer software hai, wo sab zaada english ko hi support karte hai, toh english humare aaj aur future me bhut matter karti hai.
Toh aaj ke apne is article me hum aapko english seehne ke kuch easy tarike batayege, jisse ki aap apne ghar me bathe hi bahut easy tarike se english seekh sakte hai.
Toh chaliye shuru karte hai.
English kaise seekhe :
English seekhne ke liye aap daily kam se kam 10-12 english ke article padh sakte hai, ye article koi bhi ho sakte hai, jaise ki aapko newspaper, current affairs, novels etc me interest me hai toh aap wo padh sakte hai, kahne matlb ye hai ki aapko daily kuch na kuch english padni hai.
Hindi se English mai online anuvaad kaise kare
Ek English ka Newspaper lagwaye, Newspaper ke liye mai aapko recommend karuga “The Hindu”.
“The Hindu” abhi tak ke english newspapers me sabse best hai, English ke quality bhut hi acchi hai, toh isse aapko bhut kuch seekhne ko milega.
Aap acchi english speaking aur understanding ke liye English serials aur movies bhi dekh sakte hai, isse aapko kuch seekhne ko toh nhi milega, lekin aap english se familiar ho jaayge, jo ki aapki bhut help karegi.
Bhale hi aap english me perfect na ho, lekin aapko samj me aani bhut zaroori hai. Kyuki kam se kam dursa aadmi kya bol raha hai, ya toh aap samj hi sakte hai.
Kyuki SSC ya Banking me bhi trick question hote hai, jinko karne ke liye aapko usko samjne ki bhi bhut zarorat hoti hai, aur ye aap tab kar sakte ho, jab aap english se familiar ho jaao.
Toh ye thy kuch easy tips, jinki help se aap english ko seekh aur samaj sakte ho.
Thank you,
mayank agrawal says
thanku so much…………………….sir.
aryav says
Mai fan hun es website ka….Thank you very much sir